
Urdu – God's Light Nur like Laser Burning Away Sinful Rust in Iron of the Heart| R…
God's Light Nur like Laser Burning Away Sinful Rust in Iron of the Heart| Realities of the "Ayeneh" (mirror) and the reflection of La ilaha illallah to Muhammad Rasulallah (saws)
(Urdu Transliteration) Roman Urdu mien:
Kkhuda ki roshni, noor, gunaaho ko aisay mita deta hai jaisay laser ki rushni iron ( lohay ) ka zeng utarti hai | aaina ke haqaaiq aur" la ilaha illallah " ka" Mohammad rasool Allah " ﷺ) par aks
A’udhu Billahi Minash Shaitanir Rajeem Bismillahir Rahmanir Raheem, (I seek refuge in Allah from Satan, the rejected one In the Name of Allah, the Most Beneficent, the Most Merciful)
Ati Allah Ati Rasool wa Ulil amre Minkum
Allah ( azzwajal ) ki panah mangta hon shetan mardood se. Allah ( azzwajal ) ke naam se shuru karta hon jo nihayat meharban reham karne wala hai.
" imaan walo! Allah ( azzwajal ) ki itaat karo aur Rasool ﷺ) ki itaat karo aur –apne mein se ( ehley haq ) sahban e Amar ki" surah Nisa aayat 59
aur hamesha mere –apne liye aik yaad dehani ke Anaa Ana abdika, ajeeso, daeefo,miskeen, zhalim o jahal, ( ya rab, mein aap ka aajiz, zaeef, maskeen o zalim o jaahil bandah hon ) lekin Allah ( azzwajal ) ka fazl hai ke abhi bhi hamara wujood qaim hai. Hum ney fanaa honay ka rasta ikhtiyar kya hai. Mein Sheikh nahi hon, yeh nahi ya woh nahi, sirf Allah ( azzwajal ) ka bandah hon agar woh hamein qubool farmata hai, syedna Mohammad ﷺ) ka aashiq hon agar woh ﷺ) hamein qubool farmatay hain inshaallah . Yeh hamesha mere –apne liye aik yaad dehani hai ke, koi kahi gayi baat jo ( suneney mein ) bohat aasaan lagti hai lekin yeh phir bhi bohat mushkil ( qabil ghhor ) hai. Aaina aur aksbndi ka yeh ma-ani hai —aur jisay hum tamam islami huroof ( arabi huroof tahajji ), aur fann ( art ) mein dekhty hain jahan woh ( lafz )" hu" letay hain, aur woh is ki aksbndi karte hain. Woh" kalaam" ( alfaaz ) letay hain aur har aik kalaam ka doosri taraf mutanasib ( bilkul waisa lekin ulta lafz ) aks banatay hain— aur hum aik kaamil aaiine ( ke aks ) mein banayen gaye hain, tanasub mein banay hain ke seedha ( hissa ) baen ki jhalak hai aur hamara ulta ( hissa ) dayen ki jhalak hai .
Aur is aaeenay ka sab se ouncha darjaa aur is ka ma-ani" kalme" mein hai. Jo ke sab se pehla usool hai. Chunancha jab log yeh samjhtae hain ke woh pehla usool samajh gaye to unhon ney mehez" Shariat " ki satah ko choua hai. Har ilm ki ( agli manzil ) tareqat, haqeeqat, maarifat aur Azmat hoti hain . Aaina ( ki haqeeqat ) ki sab se unchee manzil jo ke sab se ahem hai," la ilaha illallah Mohammad rasool Allah " ﷺ) hai. Aur jab woh usay" laam alif ( laa )" likhte hain to aisa lagta hai ke woh ( laam- aur alif ) jurey huve hain, jabkay yeh ( alif ki ) jhalak hai. Aur hamara rasta is aaeenay ko samajhney par mabni hai. Aur uss haqeeqat ko samjhna jo Allah ( azzwajal ) chahta hai ke hum kisi aaeenay se, sheeshay se aur aksbndi se jaanen. Aaj jab hum aaina kehte hain to, hum aik aisay sheeshay ke barey mein sochte hain jis par chemical laga hota hai , aur is mein aapko jhalak nazar aati hai. Lekin uss waqt koi sheesha nahi tha, yeh dhaat ko polish karne ke mutaliq tha— yani lohay, aik dhaat ko le kar aur ussay is had taq polish karte they ke yeh bohat saaf ho jata aur bohat chamakdar ho jata ( ke jhalak nazar aati ). Aur yeh is ki ahmiyat thi ke aap nay kisi aisi cheez ko polish kya jo zang alood, kharab aur ganday ho jaanay ki tabiyat rakhti tha. Aur jab kisi cheez par zeng aa jata hai to is se kuch nahi jhalak sakta. Lehaza hum polish karte hain aur polish karte hain, aur polish karte hain, aur agar yeh zeng alood hai to is se kuch bhi nahi jhalakty ga .
Aur woh ( Awliya Allah ) hamari zindagion mein tashreef laaye aur hamein bataya," nahi, polish aur polish, aur polish karo. Polish karne ki haqeeqat yeh hai ke itni chamakdar hojati hai ke yeh jis ki taraf dekhatii hai is ka aks dekhati hai. To aaiine mein mojood tasweer mera aks dekha rahi hai. To jab mein khud ko haqeeqat ki taraf le jata hon aur mein khud ko Allah ( azzwajal ) ki taraf mutwajjah karta hon — kyunkay zindagi mein aap jis cheez par tavajja markooz ( focus ) karte hain woh darasal aap par focus kar rahi hoti hai .
. Kyunkay aap naay apni tavajja aur –apne dil ko mutwajjah kya. Lehaza woh ( Aolia Allah ) hamari zindagion mein tashreef laatay hain aur hamein batatay hain," hooshiyar raho, agar tum naay –apne dil aur apni tavajja ko duniya ki taraf rakha to yaqeenan duniya tumharee taraf mutwajjah ho gi, aur tumhe khech le gi" .
Isi wajah se Allah ( azzwajal ) un tamam filmon mein dekhata hai —kyunki ninanway feesad afraad masjidoon mein nahi jatay. Aap ko lagta hai ke Allah ( azzwajal ) ney unhen mohabbat se peda kya aur ( phir ) uss ney unhen julne ke liye chore diya? Balkay woh mukhtalif zraya ( media ) ke zariye se mutasir kar raha hai ke," meri makhlooq ko unke hawaas mein wapas bulaya jaye ". Aur un zraya ( media ) mein, woh un misalon ke zareya dikhata hain, woh yeh tamam haqayiq daikhatay hain ke jis par aap apni tavajja rakho ge woh aap ki taraf tavajja karta hai. Jab aap shaitniat aur buraiee, aur
Aur mout aur tabahi par tavajja dete hain to mout aap ki taraf palat kar nigah daalna shuru kardeti hai, kyunkay aap ko is ki tavajja haasil hogayi. Aap aag aur gandagi aur bad roohon aur shaitano aur azaab aur jahannum par bohat ziyada tavajja dete hain, aap jahannum par tavajja dete hain, ab jahannum bhi aap ki taraf Raghib hogayi. Jahannum ab aap ki taraf dekhna aur jhalakna shuru ho jaye gi, aur aap apni tabiyat mein bharakti aag jaisay bohat ghusse walay ban jatay hain. Kyunkay ( ab ) jahannum aap ke andar daur rahi hai aur aap ke zariye baat kar rahi hai. Aur har shaitaniat aur buraiee jis par hum tavajja dete hain woh aap ke zariye, apke suneney, appki aankhon se ( dekhnay ), bolnay ke zariye jhlkne lagti hai .
Chunancha woh ( Aolia Allah ) hamari zindagion mein tashreef laatay hain aur farmaya :" hooshiyar raho ( kyunkay ) aap ka wujood bohat taaqatwar hai, abhi aap ko is ki taaqat ka ilm aur idraak nahi hai. Is par tavajja markooz karen jo abdi hai aur jo khobsorat hai. Aur unhon neh hamein dars diya hai ke agar aap apni dhaat polish karte hain, apni dhaat ko polish karte jatay hain to aap itnay shafaaf aur itny saaf ho jatay hain, ke aap mein aik haqeeqat jhalky gi. To jab woh Allah ( azzwajal ) par tavajja den, syedna Mohammad ﷺ) ki mohabbat par tavajja den, tab woh un par tavajja markooz karne lagtay hain. Aap jitne saaf hain, jitna ziyada aap zikar kar rahay hain, aap jitna ziyada khud ko dho rahay hain, hum apni buri khwahisaat aur kharab kirdaar ko jitna kam day rahay hain, ( utna ziyada ) woh haqeeqat jhalak sakti hai. Yeh ( nazar ) zeng alood dhaat se nahi takrati. Yeh kisi chamakdar cheez se takrata hai .
Jab Allah ( azzwajal ) –apne bande ki taraf is roshni se daikhta hai, woh chamakti hai aur iss dhaat se takrata hai, aur is jhalak ke tor par, woh palat kar chamaknay lagta hai, aur Allah ( azzwajal ) is ko ( noor se ) malbos kar raha hai, aur usay dobarah malbos kar raha hai, yeh ( noor ) khalaa mein nahi ja raha, jahan yeh takraye aur fanaa ho jaye. Is ki jhalak ban rahi hai. Jab woh syedna Mohammad ﷺ) par tavajja markooz karte hain, tab Nabi akram ﷺ ki nazar unn ki taraf mutwajjah hoti hai .
Isi liye Rasool Allah ﷺ) nay yeh saari samajh aur raaz diye hain ke," tum par aik salawat ( duroood ) bhaijho, tum mujh par aienay mein aik baar dekho aur mein tum par das baar palat kar daimi nazar rakhu ga ". Aur jab paighambar akram ﷺ) aap ki rooh, aap ke wujood, aap ke tamam wujood par nazar daal rahay hain to quran kareem ki kin tajaliat ki Nawazish ho rahi hai." Inaa huwa zikar ", surah yaseen quran Majeed ka qalb hai aur Allah ( azzwajal ) syedna Mohammad ﷺ) ke qalb se quran ke saaray raaz ataa farma raha hai. Aur Allah ( azzwajal ) taleem day raha hai," Innaa hu Zikrun wa Quranun Mubeen "," woh ﷺ) tamam aasmanon aur zameen ka zikar hain. Aur hum ne unn ko ( yani Nabi mukaram sale Allah aleh wa-alehe wasallam ko ) shair kehna nahi sikhaya aur nah hi yeh unn ke shayanِ shaan hai. Woh to sirf zikar aur roshan quran hain .
Surah yaseen ( 36 ) aayat 69
aur woh ﷺ) mere chaltay phirtay ( zindah ) quran hain, jab woh ﷺ) aap ki tareef karen ge to aap kon hain? Koi nahi. Aur yeh usakee be hadd barri rehmat hai. Aur Allah ( azzwajal ) mutahair hai —" khuluq al Azeem" .
" aur be shak aap azeem al shan Khalq par qaim hain ( yani aadaab qurani se muzayyan aur ikhlaq Aliha se mutsif hain ) "
surah Qalam aayat 4
ke woh (ﷺ ) aap par wapas das baar tareef ( duroood ) bhejen ge, yeh aaina aap ko malbos ( dress ) karna shuru kar day ga. To phir is haqeeqat ka yeh formula tasawwur karen. Ke khud ko Sayedina Mohammad ﷺ) ki mohabbat ki taraf mutwajjah karen aur apni salawat ( duroood ) bhejna shuru karen aur saf hota rehta hai, saaf ho taa rhtahe, saaf hota chala jata hai. Yahan taq ke aaina itna pak ho jata, kyunkay sirf thori si Taharat , aap ki taraf se thori si koshish ( ki zaroorat hai ), isi wajah se Allah
( azzwajal ) ney farmaya :" tum meri taraf aik qadam barhao, aur mein tumhari taraf ninanway qadam brhhaon ga ". Yani aap ka zikar aur aap ke aamaal aap ko theek nahi karen ge. Yeh msg nah kya karen ke," ke mein 23 martaba karta hon, phir mein 24 karta hon, phir mein neechay ki taraf daikhta hon, phir mein oopar jata hon, aur phir mein dayen taraf jata hon, aur phir mein baen taraf jata hon ", mein nahi jaanta ke woh usay kya kehte hain" A. Personality" ?, jahan aap itnay bareek bain ho jatay hain ke aap ki samajh boojh khatam ho jati hai . Yeh is baray mein nahi hai ke aap khud ko kahin buland karne ke liye kuch karen. Aap waqai mein sochte hain ke aap khud ko zameen se asmanon par utha satke hain? Aap ko mehez aik qadam uthana tha. Sirf is niyat ke sath," ya rabbi, mein khud ko saaf karne ki niyat kar raha hon. Mein zikar karne ki niyat kar raha hon. Mein khidmat ke liye koi rasta talaash karne ka iradah kar raha hon. Mein aik Ana abdika, ajeeso, daeefo,miskeen, zhalim o jahal, hon. Mein khud par zulm karta hon, mein ghareeb hon, mein yateem hon, mein nacheez hon .
Mein khud ko nahi utha sakta, mein aik qadam utha raha hon. Aur mein sirf un aamaal ke sath polish karna shuru karta hon, yeh nahi sochta ke –apne zikar ke sath udaan bhar ke mein vaqatan aasmaanon par poanch jaoon ga," kya mujhe is terhan karna chahiye? Kya mujhe is terhan se saans lena chahiye? Kya mujhe iss ke zariye saans bahar nikalna chahiye? ". Yeh sawalaat jo aap pooch rahay hain, woh be naqaab kar rahay hain, jo ke achi baat hai, yeh aap ki ghalat fehmiyon aur dimagh ko be naqaab karte hain. Lekin yeh ( sawal ) poochnay ki hosla afzai ki jati hai. Kyunkay samajhney ke liye un ( swalat- ko ) bahar aana ho ga .
Yeh rasta aajzi ka rasta hai." yeh ke aap naay mujhe Awrad dyie gay hain aur Sheikh naay mujhe vazayf aur zikar diye hain, aur mein yeh har gaz nahi soch raha ke mein kahin poanch raha hon. Mein pyar aur mohabbat ke sabab yeh karne ja raha hon. Aur is pyar aur mohabbat se mein pairwi karne ja raha hon. Aur jab mein yeh karna shuru karoon ga, to woh aik qadam ( jiski zaroorat hai woh ) uth raha hai ". Is ka matlab hai ke aap thora sa saaf karen, Syedna Mohammad ﷺ) ki nazar ko –apne aaiine se takaraane den .
Woh roshni, jab woh is aaiine se takra jati hai, har cheez ko jalana shuru kardeti hai. Jaisay hum ne abhi pehlay kaha tha ke woh inn lasers ki yeh videos jari kar rahay hain, woh mazboot dhaat se ( laser ) guzarte hain aur woh dhaat ko nahi jalatay, woh zeng utaar dete hain ( Sayedi ( q ) laser jalanay ki aawaz dete hain ), jaisay is mein se koi aag nikal rahi hu aur yeh bilkul naye jaissa ho jata hai. Agar yeh Toshiba kar sakta hai to, aap ﷺ) ki rooh aur nazar ka tasawwur karen. Isi liye hum kehte hain, ( Ya rasool Allah )" Unzur Halana" ya Rasool Allah ﷺ) hum par nazar
Karam farmaen ". Aur be maghaz log yeh samajte hain ke yeh aik jismani aankh hai, yeh aankh un sab Kainaton ke mazboot tareen Sooraj se ziyada taaqatwar hai. Aur agar koi samjhna chahta hai ke roshni kya karti hai to sirf hamari apni kehkashan mein Sooraj ka mutalea karen. Sooraj kis qisam ki qowat aur taaqat rakhta hai? Is Sooraj mein roshni ka spectrum hai jo aap ko nasho o numa deta hai, aap ko malbos karta hai, barket deta hai. Is dharti par aap ko dekhnay, khanay aur peenay ke qabil banata hai. Agar aap thora bohat qareeb poanch jatay hain to yeh aap ko jala day ga aur aap ko raakh aur matti se bhi ziyada khaak karde ga, agar aap itnay qareeb chalay gay. Agar aap qadray qareeb aagaye to, yeh aap ko taabkari ( radiation ) ke zareya maar daaley ga. Sooraj se niklny walay roshni ke tamam spectrum tabkaar ( radio active ) hain, is ka beshtar hissa zameen se ( oopar ) filter karna parta hai, kyun? Kyunkay Allah ( azzwajal ) ne agr isy barqarar rakha to yeh haqeeqat zameen se takraye gi, is zameen par har shakhs fry ho jaye ga. Bohat saaray spectrum aur haqayiq hain, aur hum sirf roshni ke is poooray spectrum se aik chhota sa channel letay hain jo Sooraj se aata hai. Woh Sooraj syedna Mohammad ﷺ) ki haqeeqat ki taqleed kar raha hai, ( woh Sooraj ) Allah nahi ho sakta, Astaghfirullah , Allah ( azzwajal ) jaisi koi cheez nahi ho sakti, yeh aik mazhaka khaiz Tafheem hogi. Allah ( azzwajal ) is makhlooq ke feham se balatar hai. Yeh roshni, kitni taaqatwar hai ke yeh malbos kar sakti hai. Yani, yeh nazar, yeh aaina, is aksbndi ki haqeeqat yeh hai ke," mein apni poori salahiyat se sirf wohi karta hon jo unhon naay mujh se karne ko kaha hai ", bareek beeni ki fikar nah karen kyunkay yeh aap nahi hain jo khud ko kahin bhi utha len ge . Aap aisa karte hain taakay aap kuch gandagi ko daur karna shuru kar dein. Aur Nabi kareem ﷺ) ki yeh roshni har terhan ke zeng alood kirdaar ko jalanay lagti hai, Ya Muhyi al Qaloob, Ya mahi al dhundub, woh roshni jo rooh ko zindah karne ke liye aati hai wohi roshni hai jo har gunah aur har buray amal ko jala deti hai .
Akkaasi ki yeh haqeeqat hai ke unchee tareen manzil par kya hai" la ilaha illallah", kyunkay yeh do aaiine hain. To hamari zindagi mein aap pehlay kis darwazay par aeye? Jab Allah ( azzwajal ) aap ko mutasir kere ga ke" un tamam khudaon ko chore do jin ki tum ibadat aur khidmat karte ho ". Aur har koi bohat se khudaon ki khidmat karta hai. Woh tambaku noshi karte hain woh tambaku noshi unkaa kkhuda hai kyunkay woh usay tark nahi kar saktay. Woh sharaab peetay hain, woh nashay ki kkhuda hai. Koi bhi cheez jo aap par girift rakhti hai woh aap ka" rab" hai. Aur Allah ( azzwajal ) farmata hai," un sab rab ko jhutlao, aur sab se aala zaat" Rabbi al Aa’la" ke paas aajao ". Aur hum sab ke dilon mein ilham hwa" la ilaha illallah " ki taraf brhho, har shye Allah ( azzwajal ) ki wahdaniyat ( ka Mazhar hai ).' ya rabbi mujhe kuch nahi chahiye, un tamam buraiyon aur un tamam khwahisaat se, jo mere peeron mein zanjeeroon jaisi hain, jab yeh mere paon se lipti hain aur mere haath pakar layte hain. Jab mere haath aur paon jakarti hain, yeh zanjeeren mujhe zameen pay khinchti hain aur tamam burii khwahisaat, aur phir shetan aik bohat bara tala phankta hai' — ho sakta hai aap ko aik khawab aaye jahan shetan aap ko gardan se pakar raha hai. Aur ghar ghar jaakar logon ki gardanon par zanjeeren phankta hai, aur phir un ke sath chalta hai. Matlab shetan ney tumhe pakar liya. Jab Allah ( azzwajal ) hamein anay ki targheeb deta hai, to hum khud ko" la ilaha illallah" ke aaiine ki taraf Raghib hona shuru kardete hain. Aur jab aap dekhte hain aur aap mukhlis hain, aur aap mohabbat se aeye hain to, Allah ( azzwajal ) pehli haqeeqat ki akkaasi karna shuru kar deta hai," aaiine mein dekho aur yeh kya hai jo tum dekh rahay hain ". Kya, jab bhi aap aaiine mein dekhte hain, aap aaiine ko nahi dekh rahay hotay. Mujhe nahi maloom ke aaiine ke tasawwur ko koi samjhta hai ya nahi. Jab aap aaiine mein dekhte hain to aap aaina nahi dekh rahay ho. Aap Allah ( azzwajal ) ko nahi dekh rahay, aap woh di dekhte ho jiski Allah ( azzwajal ) aap par akkaasi kar raha hai. Aur jab Allah ( azzwajal ) ke sab se Alla mazhab ( islam ) ki taraf atay hain to sab ko kon si zaat deekhaee deti hai. Unhon nay aaiine mein dekha to unhon nay paaya," Mohammad rasool Allah " ﷺ) .
Har aik jis nay islam qubool kya, jo islam mein peda hwa, Alla deen mein aaya, jo ke deen ISLAM hai, unhon nayla ilaha illallah" ke aaiine mein dekha, aur Allah ( azzwajal ) nay unhein dekhaya :" Mohammad rasool Allah ﷺ) ke paas jao. Lehaza unhon nay is aaiine mein dekha jo kay haqeeqi toheed hai, hamaray pounchanay ke liye, sab se ooncha kaamil maqam. Unhon nay “la ilaha illallah" par nigah daali, aur unhon naay poooray khuloos ke sath dekha," mere rab mujhe apkee zaroorat hai, mere rab, aap mera matloob hain, mein aap se mohabbat karta hon, mere rab, mein aap se mohabbat karta hon. Dosray log jo taleem day rahay hain, mujhe nahi ( rab ) nahi mil raha." aur bohat se mazahab se ( log ) aaye aur kehte hain," mein naay suni hai jo woh tableegh karte hain aur mein usay qubool nahi kar paata, mein kkhuda ki wahdaniyat jaanta hon. Aur mein kkhuda ki wahdaniyat ki khidmat
Karna chahta hon. "
woh kaisay islam mein daakhil hue? Kya kehnay se ?
" la ilaha illallah" nahi, balkay unhein kehna parala ilaha illallah Muhammad ur Rasool Allah ﷺ) .
Kyun ?
Kyunkay aaina ishara day raha hai, woh dekh rahay hain, aur Allah ( azzwajal ) jhalak dikha raha hai —" Mohammad rasool Allah ﷺ) ke paas jao ". To hamari zindagi mein samajhney ke liye yeh aaina sab se ahem hai. Agar tum yeh samajh gaye to tum samajh jao ge ke yeh tamam raah Maarfat aaiine ki yeh haqeeqat hai. Yeh koi asaan baat nahi hai aur" mujhe –apne bachon ko padhana para ". Aap" la ilaha illallah" ke paas aeye, aur aap poooray khuloos ke sath dekh rahay hain, Allah ( azzwajal ) aap ko kya jhalak dekha raha hai," Muhammad ur Rasool Allah ﷺ) ke paas jao, woh ﷺ) kya? ( woh ) meri
Haqeeqat ko rakhtay hain, mein unhen is haqeeqat se aarasta kar raha hon. Nah zameen par aur nah hi jannat par, balkay mein –apne momin ke dil mein hon jo kay woh chairag hain .
To" laam alif" ( laa ) is ka raaz hai. Aap is" alif" ( a ) ki taraf arhay hain, aur Allah ( azzwajal ) ki" Izzah ", Allah ( azzwajal ) ki wahdaniyat, Allah ( azzwajal ) aap par aqs ki jhalak day raha hai. Farmata hai :" is haqeeqat par meri taaqat aur Azmat qaim hai, khud ko" Muhammad ur Rasool Allah " ﷺ) ki taraf Raghib karo ". Ab woh" toheed" aur" kalma tayyiba" ( la ilaha illallah Muhammad ur Rasool Allah ﷺ) ke samndron mein daakhil hain, jahan unhein is" kalma" aur is ki haqeeqat se saaf kardiya gaya hai. Nabi Mosa ( aleh salam ) yeh haqeeqat chahtay thay," mein nahi chahta jo mujhe kam darjay se diya gaya hai, mein is haqeeqat ke raaz se chahta hon jo tamam haqayiq se balatar hai." kyunkay yeh Azmat aur Allah ke raaz mein jata hai. Allah ( azzwajal ) is aaeenay mein chhupa hwa aik makhfi khazana tha, chahta tha pehchan liya jaye, aaeenay mein posheeda tha .
Aap kabhi bhi" la ilaha illallah " ke parday taq nahi poanch payen ge. Koi bhi, aur woh baghair maghaz soch rahay hain ke woh Allah ( azzwajal ) ke paas ja rahay hain, woh sirf aienay ke paas ja rahay hain. Aur Allah ( azzwajal ) –apne mukhlis bundon ke liye farmata hai, “kia aap ko ehsas hai ke aap ke liye aik had aur sarhad hai aur ae meri makhlooq, aajzi ikhtiyar karo. Kya aap waqai sochte hain ke aap is aienay se agay jarahay hain aur phir aap Allah ( azzwajal ) ke sath aik ho jayen ge? Astagfirullah aik had hai, aik sarhad hai, woh had par ruk gay aur jab woh mukhlis they, Allah ( azzwajal ) ne un par" Muhammadun Rasul Allah " (saws) ki Jhalkar karne laga. Yeh woh khazana hai jisay mein chahta tha ke aap dhunden. Mere naam is khazanay ko aarasta karte hain, mere haqayiq is khazanay ko muzayyan karte hain. Agar aap mujhe dekhna chahtay ho to unn (saws) ki taraf dekho .
Sayedena Muhammad (saws) neh apne Ashaba Akraam se farmaya :" agar aap neh mujhe dekha hai to, aap neh Allah ( azzwajal ) ka aks dekha hai. Mujhe dekha ( se morad ) mujhe –apne dil se aur –apne achay kirdaar se dekha, to aap neh” " la ilaha illallah " ki jhalak dekhi ho gi. To phir Auliya Allah mil gaye, aur phir ab un ki rahnumai hui," Muhammad rasool Allah (saws) ke paas jao ". Woh Muhammadun Rasul Allah (saws) ke ainey mein dekhnay lagey. Aur is ke nateejay mein paighambar (saws) peechay mur kar dekh rahay hain aur un ko Faiz bakhash rahay hain, unhein Faiz bakhash rahay hain, unhen aaraasta kar rahay hain. Aur woh un ko kis ke sath aarasta kar rahay hain," La ilaha il’allah " ( ke sath ). Aap samjhay? Jahan bhi aap (saws) nazar farma rahay hain, woh haqeeqat ke sath aap ko aarasta kar rahay hain, Nabi akrm (saws) Faiz bkhshte hain, jab aap Faiz dete hain aur faiz bkhshte jatay hain, aur Faiz dete jatay hain to, rasool Allah (saws) aap ko" la ilaha illallah " se Faiz day rahay hain. Jab aap sirf" la ilaha illallah " ki taraf barhatay hain to aap ko sirf" Muhammadun Rasul Allah (saw) " ki samajh aaye gi. Ikhlaas ke safar par chalne ka pehla qadam yeh hai, Allah ( azzwajal ) aap ko" Muhammadun Rasul Allah " (saws) ki Azmat ke baarey mein dars dena shuru kar den ge. Theek hai. Phir woh aap ko" innallaha wa malaaikatahu yusalluna 'alan Nabiy" ki taleem den ge, yeh" la ilaha illallah mein hai .
Chunancha jab Auliya Allah " laa ala ila Allah " ke is samandar ka saamna kar rahay hain to" laa ala ila Allah " se barah e raast, Allah ( azzwajal ) unhen" Muhammadun Rasul Allah " (saws) ke baare mein taleem deta hai. Unhein zikar aur is ki haqeeqat ki taleem deta hai ke" Muhammadun Rasul Allah " (saws) ke is aaina se kya akkaasi horahee hai. Is ka sara husn, is ki saari tajallii, is ki saari shaan. Aur phir yeh" " la ilaha illallah " yeh zikar karta hai" innallaha wa malaaikatahu yusalluna 'alan Nabiy" ka zikar karta hai," la ilaha illallah "," Muhammadun Rasul Allah " (saws) ka zikar karta
Allah ( azzwajal ) un ke liye ( rasta ) kholta hai, “aur geherai mein jao. Khud ko ab" Muhammadun Rasul Allah " (saws) ke aaina ki taraf mutwajjah karo. Jab unhon ne khud ko" Muhammadun Rasul Allah " (saws) ki haqeeqat ki taraf mutwajjah kya, tab os ne" " la ilaha illallah " ki tamam tar haqeeqaton ki akkaasi karna shuru kar di, lekin qalabِ e Muhammadi (saws) ke darja par, kyunkay woh mohabbat mein girftar ho gay. Woh jo aa_iinon ke darmian nahi poanch paye un ko mohabbat nahi hui, woh sirf yeh samajte hain ke woh Allah ( azzwajal ) se mohabbat karte hain. Agar Allah ( azzwajal ) aap ka khuloos qubool karta hai to woh aap ko aayiny ke paas lataa hai os se mohabbat karne ke liye jis se woh ( azzwajal ) mohabbat karta hai
Jis mein uss ki jhalak deekhaee deti hai, wohi hai jis se woh mohabbat karta hai. Woh aap ko unkee mohabbat ki kahani mein lata hai. Do nadiyon ke darmain (Sayedi shahadat aur darmiyani ungli ke darmain ishara karte hain ). Jab aap mohabbat karte hain to, woh aap ko Sayedena Muhammad (saws) ki saari Azmat ki taraf bhejta hai, isi wajah se woh tamam haqayiq, aur haqayiq al Muhammadia (saws) ke baaray mein baat karne lagtay hain. Haqeeqat al Muhammadiya (saws) aala darja ki talemaat hain. Jab Allah ( azzwajal ) unhen ( Huzoor saws) ke paas bejhta hai, Nabi
Kareem, Sayedena Muhammad (saws) unhen Qalb-e Muhammadia (saws) ki geherai se" laa alh ila Allah " ki un haqeeqaton ke baray mein taleem dena shuru kar dete hain. Yeh ke Allah ka haqeeqi zikar" Muhammadun Rasul Allah " (saws) ki Lisan aur Qalb se hona chahiye. Aur woh Rasool (saws) ki haqeeqat aur mohabbat ki gehrai mein jatay hain, Rasool Allah (saws) ke Qalb-e mubarak se, ab" " la ilaha illallah " ki jhalak ki taleem di ja rahi hai. Yahi wajah hai ke jab aap Mecca jatay hain, to yeh darasal Sayedena Muhammad (saws) ki mojoodgi hai .
Agar aap aaina ko nahi samajte, to sara safar zahiri logon ke liye uljha hwa hai. Unhen yeh nahi samajh aayi, aur yeh theek hai woh usay samjhay baghair hi mar gaye. Kyunkay Allah ( azzwajal ) farmata hai ke" tum duniya mein andhay ho ( to ) tum akhirat mein bhi andhay raho ge" .
" aur jo shakhs is ( duniya ) mein ( haq se ) andha raha so woh akhirat mein bhi andha aur raah e ( nijaat ) se bhatka rahay ga "
surah Al Isra ( 17 ) aayat 72
Agar unhen yeh samajh aagai aur unhen haqayiq ke usataza ( mashaiykh ) ka sath ataa ho gaya, to woh unhen yeh dars den ge ke jab aap mecca gay, to mecca aik active ( mutharrak ) haalat mein hai. Binary code mein yeh aik mutharrak haalat mein hai, aur wahan Sayedena Muhammad (saws) ki mojoodgi zaroor honi chahiye.”Nabieen, sidiqeen, shuhda, saliheen" aur unn ke sath Allah ( azzwajal ), unn ki tamam roohein wahan mojood hain, yeh aik mutharrak haalat hai aur masroof hai .aur jo koi Allah aur rasool ( sale Allah aleh wa-alehe wasallam ) ki itaat kere to yahi log ( rozِ qayamat ) un ( hastyon ) ke sath hon ge jin par Allah neh ( khaas ) inaam farmaya hai jo ke anbia, sidiqin, shuhda aur saliheen hain, aur yeh bohat achay saathi hain. "
surah al nisaa ( 4 ) aayat 69
Aur unhon ne usay ( mecca al mukrmh ko ) masroof aur muztarib paaya aur wahan bohat kuch ho raha hai, yeh Sayedena Muhammad (saws) ki mojoodgi hai, is ki jhalak hoti hai. Jab woh khuloos ke sath aaye aur Allah ( azzwajal ) ke ghar ikhlaas se aaye to Allah ( azzwajal ) ne –apne mukhlis aur khuloos rakhnay walay bundon se farma ya :" agar tum waqai mujhe dhondhna chahtay ho to ab madinah chalay jao ", kyunkay aaeenay ka aks unn se takarya. Woh gay, masroof tuwaf kya aur kaha" ya rabbi yeh zabardast hai ". Lekin jab unhon ne madinah mein qadam rakha to unhon ne Allah ( azzwajal ) ki haazri mein qadam rakha, kyun? Kyunkay yeh woh haalat hai jahan Nabi kareem (saws) masroof nahi hain, Nabi kareem (SAW ), sirf –apne rab ke sath, khalwat mein fanaa ki haalat mein hain. Aur rasool Allah (saws) nay tamam hadithon se kya bayan farmaya hai ke" Qalb al Momin bait Allah " .
" momin ka dil rab ka ghar hai." ( hadees Qudsi )
Ke jab" momin" pursukoon ho jaye aur Allah ( azzwajal ) ke samnay mukammal tor par halat-e tasleem mein hojaye ke, qurbe haq ke siwa kisi aur cheez mein masroof nah ho, aap medina Munawwara mein, Sayedena Muhammadﷺ ke Qalb mubarak mein kisay payen ge? Allah ( azzwajal ) ko, noore ellahi ko. Aur unhen medina Munawwara mein aman o sukoon milta hai. Unhen medina Munawwara mein akkaasi ki wajah se sukoon aur" Izat Allah " millti hai. Woh" Muhammadun Rasul Allah " (saws) mein daakhil hue aur medina Munawwara mein" la ilaha illallah " ke tamam haqayiq ka mushahida kar rahay hain. Medina Munawwara mein tajarbaat na qabil tasawur hain. Mecca mein tajarbaat na qabil tasawwur hain lekin unkee haqeeqat mukhtalif hai .
Salawat ( duroood ) aur achay kamon ki zindagi busr karte hain. Aur aap un ke kirdaar se, jo yeh amal rakhtay hain, ( yeh saabit hota ) dekh satke hain. Agar woh Allah ( azzwajal ) ki tasbeeh aur Sayedena Muhammad (saws) ki shaan mein hamd mein masroof hain, aur un ke saaray aamaal Muhammadi hain aur un ki saari mohabbat, un ka shaoor, is haqeeqat AL Muhammadia ke baare mein hai, yeh un logon mein se aik hai, jab woh safai ( tazkia ) karte hain aur amal karte hain, safai karte rehtay hain aur amal karte rehtay hain, to Sayedena Muhammad (saws) ka noor nabwi (saws) un ke zareya chamaknay lagta hai. Aur nah sirf yeh ke paighambar akrm (saws) yeh taleem day rahay hain ke" woh mujh se hain, balkay jab woh khud se, apni zaat se nijaat pa letay to, mein un se hon ga. Tum mujhe unn mein dekho ge. Tum mujhe un mein mehsoos karo ge. Tum un ke zareya mere sath khao ge. Tum un ke zareya mere sath raho ge. Kyunkay uss ny apna iron liya aur uss ny isay polish kya tha, aur woh –apne rastay mein samajh gaya ke woh kuch bhi nahi hai, aur woh koi nahi hai. Aur" Zuhad " ke usoolon ka maqsad apni taraf tavajja khenchna nahi tha .
Aap ko aisa chaand hona tha jo kuch bhi nahi tha. Jab aap khud ko more ki terhan Zaib tan karte hain aur ishtial angaiz rangon aur ishtial angaiz dikhavay ka istemaal karte hain to, yeh haqeeqat hai jis ke peechay aap jarahay hain. Chaand aur Qamar ki haqeeqat kuch bhi nah hona thi. Bilkul bhi kuch nah bano, taakay Sayedena Muhammad (saws) ki Azmat aap ke zareya jhalak sakay. Aur agar yeh jhalak aa rahi hai to, aap ki saari talemaat Muhammadiyon ki hon gi. Aap ki saari tavajja Sayedena Muhammad (saws) ki roshni aur mohabbat par hogi .
Aur Sayedena Muhammad (saws) poooray quran kareem mein kahan hain? Yeh mere aur aap ke baray mein nahi hai. Allah ( azzwajal ) ney mere aur aap ke liye jo hukum diya hai, woh haqayiq hain jo Allah taala ney Sayedena Muhammad (saws) ko dyie hain. Jab hum daakhil hue to hum ney darwazay prhi –apne nafs ki nifi ki. Aap ke jism mein yeh iron, aap ka khoon hai. Ab aap kehte hain Sheikh " mein is ko kaisay haasil karoon ga ", bohat aassan, aap mein jo iron jhalak raha hai aur jis ko polish karne ki zaroorat hai woh kya hai, aap ka haemoglobin, jo aap ko surkh banata hai. Surkh khoon, insaan ke jism ke andar mojood iron hai. Allah ( azzwajal ) neh hamaray jism mein iron diya. Jism ke andar yeh iron polish karna parta hai. Jab iron polish aur saaf hojata hai, aur mustaqil zikar, dekhnay aur khanay peenay se parhaiz karne se, yeh iron polish hojata hai .
Iron mazboot ho jata hai. Yeh" haad ( iron ) ", yeh itna ahem hai ke Allah ( azzwajal ) naay is ke naam pay aik surah rakhi hai. Mere khayaal mein yeh surah 57 ( Surah Al Hadid ) hai. Yeh, iron zameen se nahi hai, yeh aisa Ansar aasmaanon se, Kainaton se hai, yeh zameen par nahi paaya jata, yeh zameen par nahi banaya gaya, yeh zameen par aata hai, “Tanzeelah” ( neechay aata hai ) aasman se zameen par aata hai khalaa aur sitaron se aata hai. Yeh iron ensaan ke andar paaya jata hai. Agar yeh pak hojaye to aaina ki yeh saari guftagu mera khoon hai. Agar mein usay saaf karta hon, usay dhota hun is par nigah rakhta hon ke mein kya khata aur peeta hon, meri saari khususiyaat. Mere khoon mein yeh iron chamak jaye ga. Aur zikar ki ahmiyat itni zurori hai, har woh shakhs jo tandrusti, aur Rohani tandrusti, aur jismani tandrusti ko samjhta ho, aap ki bemari ka talluq aap ke iron se hai. Jab aap usay polish karte hain, aap saans letay hain, saans letay hain aur tamam naqshbndi shyokh naqshbndi kitaab mein bayan karte hain ke yeh rasta saans par mabni hai. Yeh woh ( mauzo ) hai jis ke baray mein ab baat bhi nahi ki jati, sara" tareeqa" ( Rohani rasta ) saans par mabni tha. Saans kaisay li jaye aur apni saanson ka shaoor rakhen, dekhen ke aap ke andar energy ki hesiyat se kya aa raha hai
Yeh saans andar aati hai," Nafs Al Rahmah" yeh momin mein aati hai. Yeh saans, pehphron mein energy bharti hai jahan khoon aaraha hai. Pehphron se khoon yeh energy le kar bahar nikalta hai. Pehphron se yeh khoon dil mein muntaqil hota hai. Jab yeh khoon saaf kiya ja raha hai yeh khoon zikar se dhoya ja raha hai, dil mein daakhil hota hai. Jo dil zikar karta hai, wohi woh dil hai jo energy se roshan hai.
Jo log imaan laaye aur un ke dil Allah ke zikar se mutmaen hotay hain, jaan lau ke Allah hi ke zikar se dilon ko itminan naseeb hota hai. " surah al-raad ( 13 ) aayat 28
Aur" zakrin" ( ahal zikar ), woh jo zikar ke liye apni zindagi jeetay hain, woh zikar ke zariye saaf aur pak hain. Yeh woh log nahi hain jo zikar nahi karte hain, koi walii aisa nahi hai jo zikar nahi karta hai. Kyunkay tab yeh aik ganday dil wala shakhs hai. Yeh namumkin hai. Yeh so feesad hai agar woh Auliya Allah hain to woh zikar karte hain. Woh zahiri ulma ( mazhabi scholars ) ho saktay hain aur woh koi zikar nahi karte, aur un ka ilm bekar hay hai. Lekin ahal haqayiq, un ka dil zindah hai aur Allah ( azzwajal ) ke liye factory hai kyunkay ab hum samajhney jarahay hain. Un ka dil Allah ( azzwajal ) ke lagataar zikar aur Sayedena Muhammad (saws) par lagataar salawat ( duroood ) mein masroof hai, kyun ke yahi un ki factory ki taaqat hai. Un ke poooray wujood ki factory ka head quarter dil hai. To zara tasawwur kijiyej uss Qudra ( taaqat ) ka jo un ke zikar si aa rahi hai, un ke zikar se jo roshni aa rahi hai, un ke dil bijli ghar ki terhan roshan hain –Ek Sooraj ke jaisay .
Is se itni roshni peda hoti hai ke log usay poori duniya mein mehsoos kar saktay hain. Is zameen par aisi koi jagah nahi hai agar aap un par focus nahi karte hain to un ki roshni aap ko mutasir kere gi. Aur is zameen se baala tar kyunkay un ka talluq yahan se nahi hai. Un ka talluq sayyaron khalaa aur waqt se agay asmano mein jata hai, soch ki raftaar se. Sayarah mushtari ( Jupitar ) nahi, paighambar (saws) Pluto par nahi hain. Nabi akrm (saws) ki haqeeqat saat asmano aur jannat se balatar hai, soch ki raftaar se un ki rooh rabita qaim karti hai aur woh roshni aur woh" Tajaliyat" haasil karti hain.
Kyunkay woh kya ( azeem ) taaqat hai. Matlab phir yeh roshniyan jo aa rahi hain, yeh energies jo aa rahi hain, un ke dil kisi factory ki terhan bijli ke manba ki terhan hain. Jaisay hi un ka khoon is factory mein daakhil hota hai, is par mohar lag jati hai, is ko Faiz milta hai, is ke gunaaho ko dhoya jata hai, Ya Muhiyal Qalub, Ya Mahi ad Dhanub ", jo roshni un ke dil mein zahir hoti hai, is cell par kisi bhi terhan ke zeng ko jala deti hai, usay Faiz deti hai, aur phir usay jism ke gayarah zurori aaza mein muntaqil karti hai .
Koi shakhs aisa nahi hai jo un haqayiq ke qareeb bhi poanch sakay agar un ka dil zikar Allah nahi kar raha hu agr woh vzayf aur zikar aur ebadaat nahi kar rahay hain. Aap zikar kyun kar rahay hain is ki psychology ko samjhna chahtay hain to, yeh aap ke tafrehi maqasid ke lyie nahi hain. Yeh energies hain jo dil mein aati hain, yahi taaqat ka manba hai jo dil mein aati hai aur iron ke is tukre ko saaf karne ke liye zurori hain. Taakay yeh zikar Allah se dhaka ho, zikar Allah ki Barkaat samete, jo zikar aur Nabi akram (saws) par salawat ( duroood ) parhna bhi hai, yeh sab jurey hue hain. Woh faizyab aur mubarak iron poooray jism mein jaye ga, har khuliye ko roshan kere ga aur jism ki har rug aur jism ka har uzoo is noor se roshan hoga. Is ke nateejay mein woh aik organic factory hai. Jo woh tayyar karte hain, woh insaaniyat ke liye be hadd faida mand hota hai, aur woh koi bhi kachra peda nahi karte. Un se jo kuch bhi aata hai woh insanon ke liye zara muzir nahi hai. To ab yahi hai jisay aap clean factory kehte hain. Yahi wajah hai ke jab aap television par dekhaty hain to, is ke bar aks kya hota hai .
Is zameen par aisi factories hain ke woh mehez chaalo hojati hain aur –apne tamam girdonawah ko halaak karna shuru kardeti hain. Aap ney dhuwan un mumalik se atay dekha hai jin mein koi zaabtay nahi hain. Unhon ney toilet paper ke do tukre bananay ke liye factory ko chaalo kya, jiski wajah se das hazaar ghar eendhan aur dhuwen se aaloda ho rahay hain. Phir unhon ney factories ka muaina kya aur kaha," kachra dekho ", un ke amal mein zahreeley tezaab ka istemaal hota hai. Factory ke fazlay se niklny wala kachra girdonawah ko maar raha hai, un ki pani ki farahmi mein jata hai, sab kuch khatam aur tabah kardaita hai. Allah ( azzwajal ) farmata hai," aap jantay hain ke is se ziyada kya khatarnaak hai, aik ensaan jis ka dil jis ka dil bura hai ". Jab Allah ( azzwajal ) farmata hai ke" mein aap ko ufaq aur apkee zaat mein apni nishani dekhata hon
Hum anqareeb unhen apni nishanain atraaf aalam / ufaq mein aur khud unn ki zaaton mein dِekha den ge yahan taq ke unn par zahir ho jaye ga ke wohi haq hai. Kya aap ka rab ( aap ki hqanit ki tasdeeq ke liye ) kaafi nahi hai ke wohi har cheez par gawah ( bhi ) hai .
Surah Fussilat / Ha meem sajda ( 41 ) aayat 53
Atraaf / ufaq mein aik buri factory par nazar dalain, jo bhi kora woh peda kar rahi hai, woh is ki saans das hazaar gharon ko halaak kar rahi hai, aur fazlay se, das hazaar gharon ki pani ki tamam farahmi ko zeher alood aur kharab kar rahi hai. Aur un sab mein taabkari hai, un mein har terhan ki aloodgi hai, ghareeb log un factories ke gird mar rahay hain. Aur phir Allah ( azzwajal ) ney irshad farmaya," aik aisay ensaan ka tasawwur karen jis ka dil is karkhanay se ziyada zahreela ho. Zikar nahi karta, sirf gazabb aur ghusse se bhara hwa hai. Is ke mun se anay wali har cheez zeher hai. Har woh cheez jo is ki mojoodgi aur is ke wujood se aati hai har cheez ke liye zeheraalod aur zahrili hai. Yeh gussa aur zeher hai. Aur Allah ( azzwajal ) neh irshad farmaya ke" aap Muaziz hain, aakhir karkhana band ho jaye ga, jal jaye ga, jo bhi Allah ( azzwajal ) is ke sath karna chahay, aatish fishan aaye aur is ka ihata kar le. Lekin aap zahreeley karkhanay ke tor par –apne rab ke paas kaisay ja satke hain. Farmaya ke," aap ke mun se jo kuch aaya woh zahreela kachra tha ". Aur yeh sab kuch anton se aaya hai aur aap ka wujood mehez zahreela tha aur sab ko halaak karta tha. To yani zikar, aur haqeeqatan aaina aik behad wase haqeeqat hai.
Dil ko taaqatwar banana hai, taqwiyat bakshni hai, iron ko pak aur pakeeza banana hai, dil mein daakhil hona hai, saaf suthra karkhana banana hai. Jo yeh peda karta hai, poori insaaniyat is se khaye gi. Is ki haqeeqat, yeh nah sirf khud ko saaf karta hai, balkay yeh –apne ird gird kisi bhi cheez ko aloodgi aur nuqsaan nahi pohanchata. Lekin jo kuch is ki pedawar hai is ka hatmi nateeja abdi rahay ga. Log is ke phalon se nasal Dur nasal khayen ge. Aur yeh Auliya Allah ke" fatohat" hain. Is zameen par un ki mohar aur naqsh chhootey they unhon ne kisi ko takleef nahi di. Lekin unhon ne lakhoon logon ko is ilm aur haqayiq se faida pohanchaya jo unhon ne phelaaye. Ke aaj bhi hum kha rahay rahay hain ,
Pi rahay hain, is ke samar kha rahay hain. Is ( kaam ) ki madad karna koi chhoti cheez nahi hai, is ki himayat karna woh cheez hai jo ( jab ) khatam hoti hai aur rooh aur naslon taq jati hai. Hamari dua hai ke Allah ( azzwajal ) hamein ziyada se ziyada samajh ataa farmaiye. Jab hum tafakar ya muraqba kehte hain, to yeh koi chhoti cheez nahi hai. Yeh tamam Rohani safar ki aakhri manzil hai. Tafakar pehla qadam nahi hai, balkay woh is duniya aur is maadi duniya mein usay ulta parha rahay hain. Yeh kamaal ka aakhri marhala hona tha. Lehaza matlab yeh hai ke yeh ijazat ke tafakar aur ghhor o fikar ki taleem
Yeh dakhla ki darjah nahi hai, yeh tamam rohaniyat ke liye hatmi aur aakhri course they. Hum dua karte hain ke Allah ( azzwajal ) hamein samajh ataa farmaiye aur lail al-qadar ki un pak raton mein, In sha Allah kal raat hum qader raton par mazeed tafseel se baat karte hain, yeh saari aaina ( ki Tafseer ) aap ko mazeed ilm bakhshti hai ke lail al-qadar kya hai, aur aap kahan kharray aur baithy hain usay wusool karne ke liye, In sha Allah.
Subhana rabbika rabbal ‘izzati ‘amma yasifoon, wa salaamun ‘alal mursaleen, walhamdulillahi rabbil ‘aalameen. Bi hurmati Muhammad al-Mustafa wa bi siri Surat al-Fatiha
اُردو میں یہ پوسٹ پڑھنے کے لئے:
Yeh post Urdu mien parhany k liye
To read the post in urdu:
https://web.facebook.com/…/pb.10351673770…/318393796218434/…
یہ مضمون انگلش میں پڑھنے کیلئے۔
ye mazmoom enlish m prhny k liye
Read English Transcript:
Https://web.facebook.com/1621830444573407/posts/3092220390867731/?D=w&_rdc=1&_rdr
یہ بیان اس لنک پر دیکھا جا سکتا ہے۔
yeh bayan is link pr dekha ja skta h
Youtube link to watch this Suhbah:
Https://www.youtube.com/watch?V=yzqhuprnvai
یو ٹیوب چینل سبسکرائب کیجئے۔
youtube channel subscribe kijye
Subscribe Now: The Muhammadan Way Sufi Realities
Https://www.youtube.com/channel/UC4E8QX7OgwYDgyuuXTBMrcg
شیخ سید نور جان میر احمدی نقشبندی (ق) کا فیس بک پیج لائک کیجئے۔
Shaykh Sayed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (q) ka official apge like kijye
Official Page: Shaykh Nurjan Mirahmadi
Please Like and Share
Https://facebook.com/shaykhnurjanmirahmadi/
مضامین کے اُردو ترجمہ پڑھنے کیلئے
Mazameen k urdu turjamy parhny k liye
Read His Articles Translated in Urdu
Https://www.nurmuhammad.com/category/urdu/