
Urdu – شیخ سَیَّد نورجان مِیراَحمَدِی نَقشبَندِی (ق) کا ۴ اپریل 2020 کا خطاب! بِسْمِ …
شیخ سَیَّد نورجان مِیراَحمَدِی نَقشبَندِی (ق) کا ۴ اپریل 2020 کا خطاب!
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
اَلَّھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ وَعَلَی آلِ سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ
جمعے کے دن شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق) کے ساتھ سولات و جوابات اینرجی کی تعمیر کی اہمیت ، منفی (اینرجی ) سے عاجزی کا تحفظ۔ 🌹
اَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْم الحمد اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعَالَمِیْنِ وَالصَّلاۃُ والسَّلامُ علیٰ اَشْرَفِ الْمُسْلِمِیْنْ سَیِّدِنَا وَ مَولَانَا مُحَمَّدٌ المُصْطَفَیٰ ﷺ بِمَدَدَکُم وَ نَظَرَکُم سَیِّدِی یَارَسُولْ کَرِیْم یَا حَبِیْبُ الْعَظِیْمْ، و أَطِيعُواللَّه وَأَطِيعُوٱلرَّسُولَ وَأُوْلِي الْأَمْرِ مِنْكُمْ اور اللہ (عزوجل) کے فضل و کرم سے کہ ہم ابھی بھی وجود میں ہیں۔ الحمد اللہ اس سارے عجیب و غریب وقت کے لئے جس میں ہم رہ رہے ہیں اور لوگوں کو جو خدشات ہیں۔ انشاء اللہ ہم اپنی پوری کوشش کریں گے کہ ان افہام و تفاہیم کو سمجھ سکیں۔ ابھی جب ہم پہلے ذکر اور اوراد کے بارے میں بات کر رہے تھے ، بہت سارے لوگ بہت سارے مشائخ والے پس منظر سے آتے ہیں اور وہ ہر طرح کے ذکر اور تلاوت کو شامل کرنا چاہتے ہیں اور حقیقت یہ نہیں ہے کہ آپ جتنا پڑھیں گے اتنا ہی بہتر ہے۔ کیونکہ یہ ہر ایک کے درجے کے مطابق (ہے)۔
ہمارے لئے سادہ سی تفہیم ہے جیسے دوا، اگر آپ اسے لیں اور وہ اچھی ہو اس کا مطلب یہ نہیں ہے کہ آپ اسکی بہت ساری مقدار لے لیں گے اور یہ اور بھی اچھا ہو جائے گا۔ اس کے مختلف اثرات ہوسکتے ہیں جن کے لئے شاید انسان تیار نہ ہو۔ ان اذکار میں وہ تجویز کرتے ہیں کہ آپ ایپ سے ابتدائی سطح پر نقشبندی اوراد کریں اور یہ کافی ہے۔ ایپ میں سے آپ تمام دعائیں ، کوئی بھی صلوات اضافی طور پر برکت کے لئیے پڑھ سکتے ہیں۔ جیسے ہی ایک بندہ بہت ساری چیزیں پڑھنا شروع کر دیتا ہے اور (آپکو) سمجھ نہیں آتی کہ آپ کو کیا ہو رہا ہے آپ ایک زبردست روشنی جاری کر رہےہوتے ہیں اور وہ روشنی آسمان پر بیٹ مین (batman)کے نشان کی طرح (نظر آتی ہے) کہ آپ کہہ رہے ہوں کہ بیٹ مین یہاں ہے اور تمام شیطان اس روشنی کی طرف دیکھتے ہیں اور یہ جاننے کے لئی متجسس ہوتے ہیں کہ یہ کہاں سے آ رہی ہے اور وہ آپ کی طرف رجوع کرنے لگتے ہیں اور مسئلہ یہ ہے کہ اگر آپ اُنکی تلاوت کررہے ہیں اور آپ اس مقام پر نہیں ہیں اور آپ کو تلاوت کرنے کی اجازت نہیں دی گئی ہے (تو) آپ حملے کی زد میں آجاتے ہیں۔
لہذا ، بہت ساری چیزیں اس شخص پر حملہ کرنے لگتی ہیں ، تصوراتی نظارے ، (چیزیں) دیکھنا ہر طرح کی ڈراؤنی آوازوں کو سننا، کیوں کہ آپ اپنی طرف اس توجہ کو مبذول کروا رہے ہیں جس کی آپ کو لازمی طور پر ضرورت نہیں ہے۔ اب ایک شیخ اور انکی کی تربیت ، وہ بنیادی چیزیں پڑھنا سیکھاتے ہیں اور پھر وہ اس کی تربیت کرتے ہیں کہ تفکر، غور و فکر کیسے کرنا ہے۔ چنانچہ ، ہر چیز کی طرح یہ بھی ایک دوا کی طرح ہے جیسے وہ اپنا تفکر، غور و فکر کرتے ہیں ، ان کا رابطہ مضبوط ہوتا جاتا ہے تب شیخ ان کی روح کو حقیقت کے ساتھ ملبوس کرتا ہے۔ جب وہ ذکر میں اضافہ کرتے ہیں تو ، ان کی روح بھی تیار ہوتی ہے اور وہ ہر ڈگری اور ہر سطح پر آنے والے چیزوں کے لئے تیار رہتے ہیں۔ اس کا مطلب ہے کہ ذکر جو وہ کرتے ہیں اُنکی روح مدد کے ذریعے اس کےلئے تیارہوتی ہے، وہ سمجھتی ہے کہ مدد کے لئے کس طرح پکارنا ہے اور اسی مدد پر مبنی جب وہ ذکر کرتے ہیں تو ، ایک اینرجی نکلتی ہے۔ لہذا ، جب یہ مخلوقات آنے کی کوشش کرتی ہیں تو وہ اپنی مشقوں کے ذریعے محفوظ رہتا ہے۔ لیکن ہر ایک سے اور ہر ایک ویب سائیٹ سے ہول سیل ( Whole Sale) ذکر کو لینا اور (پوچھنا) کیا میں یہ پڑھ سکتا ہوں ، کیا میں وہ پڑھ سکتا سکتا ہوں اور جبکہ وہ حقیقتاً نقشبندی اوراد کو بھی مستقل طور پر نہیں پڑھ رہے ہوتے۔ مطلب استقام، اپنے راستے میں استقامت کو قائم رکھیں اور کم سے کم کریں اور اسے بر قرار رکھیں اور یہ راستہ ایسا ہے؛ اسے کچھ ہلکا اور خوشگوار رکھیں لیکن اللہ (عزوجل) مستقل مزاجی سے محبت کرتا ہے۔
جیسے ہی آپ بہت ساری چیزوں کو ملا دیتے ہیں ، آپ حقیقتاً نہ یہ کر رہے ہیں ، آپ حقیقتاً وہ بھی نہیں کر رہے ہیں اور یہ ظاہر کرتا ہے کہ مسئلہ کہاں پیدا ہورہا ہے وہ شیخ سے رابطہ کرتے ہیں میں یہ اور یہ کر رہا ہوں اور یہ سب کچھ مختلف مشکلیں پیدا ہو رہی ہیں. اس کا کوئی جواز نہیں اگر آپ قطعی طور پر اسکی پیروی کر رہے ہیں جو کہ طریقہ کہتا ہے تو پھر ان مشکلات کا کوئی مطلب نہیں ہے۔ بعد میں وہ آپ کو یہ کہنا شروع کر دیتے ہیں کہ اوہ میں نے ایک سو، ہزار بار یہ پڑھا ، میں 5000 بار اسے پڑھتا ہوں ، میں یہ، یہ، یہ ، یہ اور وہ پڑھتا ہوں ، اور یہ اُن تمام مشکلات کی وضاحت کرتا ہے، تو بہتر ہے کہ آپ اپنی تمام ادویات کا خود نسخہ نہ بنائیں اور طریقہ کی پیروی کریں ، راستے کی پیروی کریں. انشاء اللہ. ہم کچھ سوالات لیں گے انشاء اللہ۔ ……
(
(سیدی بھائیوں کے سوالات سے پہلے، ایک بھائی کے والد بہت سنگین حالت میں ہیں۔ اُنہوں کوویڈ وائرس (کرونا وائرس) ہے وہ (دعا کے کے لئیے) فریاد کر رہے ہیں۔۔۔۔ اُنہیں بھی ہے، وہ ٹھیک ہے لیکن اُن کے۔۔)
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): انشاء اللہ دن میں دو بار کلونجی کا تیل استعمال کریں۔ انشاء اللہ. ایپ سے آیت الکرسی دعا پڑھیں اور دن میں 7 بار آیت الکرسی دعا پڑھیں اور آیت الشریف کے خادم الملک الکندیاس سے مدد طلب کریں کہ آپکے اوپر نظر ڈالیں۔ نقشبندی سلسلہ اور شیوخ کی مدد پڑھیں اور انشاء اللہ کہ اللہ (عزوجل) شفا اور تندرستی عطا کرے گا اور انشاء اللہ ہر قسم کی مشکلات کو دور کردے گا ۔ اور تمام گفتگو کے اختتام پر پھر ہم سب کے لئے فاتحہ پڑھیں گے ،
سوال: کیا کوئی ایسا ذکر ہے جسے ہم اس افراتفری (مشکلات) کے عالم میں سارا دن مسلسل پڑھ سکتے ہیں، انشااللہ؟
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): ہاں ، انشاء اللہ۔ آپ کو ایپ میں نقشبندی اوراد ملیں گے اور اس وقت میں اس پر زور دیا جاتا ہے کہ ، سارا دن استغفار پڑھیں۔ أسْتَغْفِرُ اللهَ العَظِيمَ الَّذِي وَأتُوبُ إلَيهِ تو صبح کے وقت سے لے کر سہ پہر تک أسْتَغْفِرُ اللهَ العَظِيمَ الَّذِي وَأتُوبُ إلَيهِ کہ صفت العظیم ، اللہ کی عظمت میرے تمام گناہوں کو مٹا دے گی اور یہ کہ استغفار نہلانے والا اور صاف کرنے والا ذکر ہے۔ جیسے ہی ہم اللہ (عزوجل) سے أسْتَغْفِرُ اللهَ العَظِيمَ الَّذِي وَأتُوبُ إلَيهِ کی دعا کرتے ہیں اللہ (عزوجل) جواب دیتا ہے بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْم ، انشاء اللہ۔ کہ وہ رحم اور شفقت کے سمندروں میں سے ہمیں ملبوس کرےاور ہمیں برکت دے اور ہر قسم کی مشکلات کو دور کرے۔ ایک بار جب ہم استغفار کے ساتھ دھل جاتے اور پاک ہو جاتے تو پھر باقی کے وقت سیدنا محمد ﷺ پر صلوات بھیجیں۔ اَلَّھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ وَعَلَی آلِ سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ اَلَّھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ وَعَلَی آلِ سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ انشاء اللہ.
سوال: السلام علیکم، سیدی بہت بہت شکریہ۔ میری پریشانی یہ ہے کہ میں مطلوبہ رفتار میں پیشرفت نہیں کر رہا ہوں جس طرح کرنی چاہئے۔ خاص طور پر اِن اوقات میں (ایک خاص مقام تک) جلدی پہنچنے کے لئیے ہم کیسے تیز رفتاری اختیار کر سکتے ہیں؟ شکراً:
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): ہاں ، یہ ایک ایسی یونیورسٹی ہے جس کی دیواریں نہیں ہے انشاء اللہ۔ کہ آپ یوٹیوب چینل دیکھ سکتے ہیں ، آپ ویڈیوز دیکھ سکتے ہیں۔ یہ وقت جو اللہ (عزوجل) نے ہمیں (دیا) اور نبی ﷺ بیان کرتے ہیں کہ ہر وقت جو اللہ عزوجل ہمیں دیتا ہے ہم اس کے لئے جوابدہ ہیں۔ لہذا ، یہ تنہائی اور خلوة کی طرح ہے کہ ہمارے پاس سوچنے اور غور و فکر کرنے کا وقت ہے کہ ہماری زندگی میں کیا اہم ہے اور الحمداللہ یوٹیوب کو دیکھیں۔ چینل دیکھیں ، تعلیمات دیکھیں ، ایک ویڈیوز کی فہرست لیں اور شروع سے آخر تک ویڈیوز چلائیں ، بہت ساری۔ بجائے اس طرح کے لوگوں کے جو نیٹ فلکس Netflixپر مسلسل ویڈیو دیکھتے ہیں یوٹیوب کھولیں اور حقائق سیکھیں۔ کتابوں سے پڑھیں ، اپنی صلوات پڑھیں ، اپنا وقت تفکر میں گزاریں اگر آپ غور و فکر اور مراقبہ اور دل کا رابطہ قائم کر سکتے ہیں۔ اللہ عزوجل ہم سے دیئے گئے وقت کا حساب کتاب کرے گا۔ لہذا ، مطلب یہ کہ یہ اللہ عزوجل کی طرف سے ایک بہت بڑی نعمت ہے جو میں نے اس بار آپ کو دی ہے ، آپ اس کے ساتھ کیا کریں گے؟ اور ہم نے گذشتہ رات کہا تھا ، کہ وہ جو خود کو تعمیر کرنا چاہتے ہیں اور وہ جو زیادہ مثبت کی طرف بڑھتے ہیں ، انہیں ان چیزوں سے بہت خوش ہونا چاہئے جس سے اللہ (عزوجل) اُنکی روح کو ملبوس کر رہا ہے۔ وہ جن کی حقیقت زیادہ منفی کی طرف ہے پھر وہ منفی کی طرف بڑھتے ہیں۔ جو کسی وقت سرمئی ( grey) تھا وہ سفید اور سیاہ ہو جائے گا۔ انشاء اللہ.
سوال: سیدی ، ہم کیسے کچھ نہ ہونے اور اس بات پر یقین کرنے کہ ہم کچھ نہیں ہیں کی منزل پر پہنچ سکتے ہیں۔ میں بہت کمزور اور جاہل بندہ ہوں اور میرا تکبر مجھ پر حاوی ہو جاتا ہے۔ یہ غالب آ جاتا ہے اور مجھ میں عاجزی بھی نہیں رہتی۔ میں کیا کروں؟
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): آپ کو انشاء اللہ یہ اعتقاد رکھنا ہوگا کہ اگر ہم اپنے آپ سے دہراتے رہیں کہ میں جاہل ہوں یا ربی ، میں جاہل ہوں اور پھر میں تعلیمات کو دیکھتا ہوں کیونکہ تعلیمات میں اینرجی ہے ، روشنی ہے ،آن لائن آ کر ذکر سننا اور ذکر کی مجلس میں شامل ہونا ۔ یہاں ایک اینرجی ہے جسے وہ روح پر بھیجتے ہیں جو روح کو تقویت بخشتی ہے اور نفس اور نفس کے خراب کردار کو دباتی ہے۔ جب تک میں ایک راستہ اختیار کرتا ہوں جس میں لاَّ إِلَـهَ إِلاَّ أَنتَ سُبْحَـنَكَ إِنِّى كُنتُ مِنَ الظَّـلِمِينَ اور آیت الکریم کو دہراتے رہیں اور اپنے آپ سے یہ دہراتے رہیں کہ میں کچھ بھی نہیں ہوں ، میں کچھ بھی نہیں یا ربی ہوں۔ کہ اَناعَبدُﻙَ الْعَاجِزُ، ضَعِيفُ، مِسْكِينُ، وَظَالِمٌ، وَجَاہِلْ اور یہ کہ مجھ پر رحم فرما مجھے معاف فرما ، مجھے معاف فرما اور پھر ہر رات احتساب کریں ، ہر رات جب آپ بیٹھ کر غور کریں گے ، میرے رب میں فریاد کر رہا ہوں کہ براہ کرم میرے دل کو متاثر کر ، میں نے کیا غلط کیا؟ میں نے کیا غلط کہا اور میں نے اپنی زبان سے کس کو تکلیف دی؟ اور اللہ (عزوجل) اُن لوگوں کو کبھی معاف نہیں کرتا جو لوگوں کا دل توڑتے ہیں۔ اس کا مطلب ہے کہ یہ ایک بہت بڑا گناہ ہے ، یہ ایک بہت بڑا گناہ ہے۔ لہذا ، جب ہم شناخت کرتے ہیں تو کم سے کم ہم یہ جانتے ہیں کہ ہم معافی مانگ رہے ہیں یا ربی، مجھے معاف کردے ، میں نے سختی سے بات کی ہو تو ، میں نے نامناسب عمل کیا ہو تو ، براہ کرم مجھے معاف کر دے یا ربی ، براہ کرم مجھے معاف کر دے اور پھر استغفار پڑھیں۔ دن میں استغفار پڑھیں، اور شام کے وقت سیدنا محمد ﷺ پر درودوسلام پڑھیں ۔ انشاء اللہ.
سوال: اور اُس (پچھلا سوال کرنے والا) شخص یہ بھی پوچھتا ہے کہ کیا شیطان کے وسوسوں سے اپنے آپ کو بچانے کا کوئی طریقہ ہے؟
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): مراقبہ کے وقت اسی وجہ سے ہم آواز کے ساتھ مراقبہ کرنے پر زور دیتے ہیں۔ اس کا مطلب ہے کہ جب بھی ہم اپنے آپ کو تنہا کرتے ہیں اور بیٹھ کر تفکر کرتے ہیں یہ آواز کی طاقت سے ہے۔ لہذا ، جب ہم صلوات سن رہے ہوتے ہیں تو یہ دراصل شیطان کے وسوسوں کو روکنے کے لئیے ہے۔ کہ جب ہم مراقبہ اور تفکر کرنے کی کوشش کرتے ہیں تو ، آخری کام جو ہم کرنا چاہتے ہیں وہ خاموشی کے ساتھ تفکر ہے کیونکہ تب شیطان آتا ہے ، ایک سرگرم سامعین موجود (ہوتے )ہیں اور وہ بندے کو سیکھانا شروع کرتا ہے اور گپ شپ کرتا ہے اور بندے سے شکایت کرنے لگتا ہے۔ اور دوسرا یہ اُس وقت حملہ کرتا ہے جب ، آپ باتھ روم میں ہوتے ہیں۔ جیسے ہی آپ داخل ہوں گے وہ خطبہ دینا اور درس و تدریس شروع کر دے گا ، باتھ روم کے اندر کوئی درس نہ لیں۔ جو کچھ بھی آپ کو ایک الہام لگتا ہے وہ ایک الہام نہیں ہے ، یہ شیطان کا وسوسہ ہے۔ اور پھر وہ صلوات اور وہ دن بھر پڑھے جانے والی وہ استغفار وسوسوں کو روکنا شروع کردیتی ہیں۔ اسلئیے آپ کے جو بھی سوالات ہیں یہ نسخے پہلے ہی موجود ہیں۔ اس کا مطلب یہ ہے کہ جب آپ سارا دن اپنا استغفار پڑھتے ہیں تو ، آپ اِن وسوسوں کو ختم کررہے ہوتے ہیں۔ وہ وقت جب ہم فارغ ہوتے ہیں وہی وہ وقت ہے جب وہ بندے کی توجہ حاصل کرنے کے لئے کان میں سرگوشی کرتا ہے۔ جب ہم سیدنا محمد ﷺ پر صلوات بھیجتے ہیں تو یہ انشاء اللہ ، کان میں آنے والے کسی بھی قسم کے وسوسوں کا مقابلہ کرتا ہے۔
سوال: شیخ ، اگر ہم فجر کے وقت میں فجر اوراد کو مکمل نہیں کرسکتے تو کیا اُنہیں دن بھر یا کام کے وقت پڑھ سکتے ہیں؟
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): یقینا ، یہ کوئی مسئلہ نہیں ہے۔ اگر آپ کو اپنی فجر جلدی پڑھنی ہے اور آپکو اوراد پڑھنے ہیں تو آپ اس کو نوٹس میں کاپی کر لیں اور آپ اسے دن بھر تلاوت کرسکتے ہیں۔ یہ وہ دعا ہے جس میں زبردست برکات ہیں اور ہر قسم کی مشکلات کو دور کرتی ہے ، انشاء اللہ۔ کوئی پریشانی نہیں ، انشاء اللہ ، اللہ تعالٰی إنما الأعمال بالنيات ۔
سوال: سیدی، اگر آپ ان نوجوانوں کو مشورہ دیں جو طریقہ کی راہ میں داخل نہیں ہوئے ہے ، تو آپ اُنہیں (طریقہ سے) متعارف کروانے کے لئیے کتابوں کے حوالے سے کیا تجویز کریں گیں ؟
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): کس زبان میں انگریزی زبان میں؟ آپ جانتے ہیں کہ سامعین انگریز ہیں ، (اگر ایسا ہے) تو ویب سائٹ؛ سب سے آسان صوفی میڈیٹیشن sufimeditationcenter.com سے کوئی مضمون پڑھیں اگر ان کا کوئی اسلامی پس منظر نہیں ہے تو ، ہماری ویب سائٹ صوفی میڈیٹیشن سینٹر ڈاٹ کام sufimeditationcenter.com ان تمام لوگوں کے لئے داخلے کی سطح ہے جو اسلام کے پس منظر سے نہیں ہیں لیکن اینرجی اور مراقبہ سے واقف ہیں۔ اس کی وجہ یہ ہے کہ آپ کے پاس ایک برابر کا ڈینومینیٹر ( denominator) ہونا چاہئے ، آپ مذہبی لحاظ سے بات نہیں کر سکتے تو پھر کسی کے ذہن میں دین سے متعلق پہلے سے ہی ایک تفہیم ہو گی۔ لہذا ، ایک برابر کا ڈینومینیٹر ( denominator) ریاضی میں، جو انہوں نے ہمیں سکھایا وہ اینرجی ہے۔ اینرجی اور اُسکی تفہیم میں سب برابر ہیں۔ کیا آپ اسے بنا رہے ہیں یا کھو رہے ہیں؟ تو ، پھر آپ ان سے عام معنوں میں بات کریں گے۔ اگر ان کا اسلامی پس منظر ہے تو نورمحمد nurmuhammad.com ویب سائیٹ پر تصوف ، غور و فکر یا رہنمائی سے متعلق تمام مضامین موجود ہیں۔ اگر ان کو اپنی زندگی میں مشکل پیش آتی ہے تو کہو کہ کیا آپ واقعی خود اس راہ پر گامزن ہونے کی کوشش کر رہے ہیں اور
آپ اپنی رہنمائی خود کرتے ہیں اور آپ خود کو ہی کرنے کے لئیے ذکر اور اوراد دیتے ہیں ، اور اس کے بعد پھر کوئی ان کے پاس آتا ہے اور کہتا ہے کہ آپکو شیخ کی ضرورت نہیں ہے ٹھیک ہے وہ خود ایک شیخ ہے۔ کیونکہ وہ شخص جو آپ کو بتا رہا ہے کہ کسی شیخ کی ضرورت نہیں ہے ، وہ دراصل خود ایک شیخ ہے جو لوگوں کو گمراہ کرتا ہے۔ تو ، سبھی ایک شیخ ہیں۔ جب آپ کی ماں کہتی ہے ، آپ کو شیخ کی ضرورت نہیں ہے ، آپ کی ماں ہی شیخ ہے۔ لہذا ، ہر ایک کسی کی رہنمائی کرنے کا کردار ادا کرتا ہے۔ تو ایسا نہیں ہے کہ کوئی رہنمائی نہیں ہوتی۔ بس فرق یہ ہے کہ وہ آپ کو کس چیز کی رہنمائی دیتے ہیں۔ کچھ آپ کو پہاڑ سے کودنے کی رہنمائی دیتے ہیں اور دوسرے آپ کو اللہ (عزوجل) کی طرف جانے کی رہنمائی دینے کی کوشش کرتے ہیں۔ انشاء اللہ.
سوال: سیدی ، براہ کرم یہ تعلیم فرمائیں کہ ہم اپنے پیاروں کو کس طرح (اِس طرف لا سکتے ) ہیں جو اس وقت میں نماز پڑھنے کی اور پختہ ایمان رکھنے کی دعا نہیں کر رہے ہیں؟
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): ہاں ، انشاء اللہ بہتر ہے کہ اپنے آپ کی طرف دھیان کریں یا اپنے اوپر توجہ مرکوز کریں کہ جب میں اپنی طرف توجہ کرتا ہوں تو یہ یقینی بناتا ہوں کہ میں دعا کر رہا ہوں ، اس بات کو یقینی بنائیں کہ اللہ (عزوجل) مجھ سے خوش ہو۔ میرے اعمال اچھے ہوں ، میرے اعمال مستحکم ہوں، میرا کردار اچھا ہو۔ میں اس حقیقت کی مثال ہوں اور پھر الحمد اللہ ہم باقی چیزیں اللہ (عزوجل) کے حوالے کر دیں۔ اگر وہ شخص آپ کے اچھے کردار کو دیکھ رہا ہے اور پھر بھی نماز نہ پڑھنے کا انتخاب کرتا ہے تو اس کا مطلب یہ ہے کہ ہر شخص کا اپنا مرکز ہے۔ ہم کسی کو کچھ کرنے پر مجبور نہیں کرسکتے ہیں۔ اگر وہ دیکھیں کہ آپ کا خراب کردار ہے اور (وہ) کہیں گے کہ اگر آپ اس طرح برے ہیں تو مجھے کچھ کیوں کرنا چاہئے تو یہ مشکل ہو جائے گا۔ اگر وہ دیکھتے ہیں کہ ہمارے پاس اچھا کردار ہے اور انہوں نے (اسے دیکھ کر) پھر بھی اپنے رب کی عبادت اور بندگی کا انتخاب نہیں کیا تو یہ ان کے اور انُکے مالک کے درمیان ہے۔ لیکن ایک بار پھر سب سے اہم بات یہ ہے کہ ہر ایک اپنی قبر کا ذمہ دار ہے۔ جب آپ خود کو تعمیر کرتے ہیں ، نماز ادا کرتے ہیں ، اپنے (حصے کے) تمام اعمال کرتے ہیں تو آپ فریاد کرنا شروع کرتے ہیں کہ یا ربی مجھے معاف کر اور میرے بچوں کو معاف کر ، میرے تمام عزیزوں کو معاف کر۔ انہیں اپنی رحمتوں سے ملبوس کر ، اپنی نعمت سے ملبوس کر۔ تو ، پھر ہمارے نیک اعمال اور اچھے کردار کی وجہ سے ہم اللہ (عزوجل) کے سامنے قابلِ اعتبار اور نیک نام ہو جاتے ہیں ۔ انشاء اللہ لیکن جیسے ہی ہم کسی اور پر توجہ مرکوز کرنے لگتے ہیں تو ، یہ ہمارے اپنے حصے میں خسارہ بن جاتا ہے کیونکہ ہم کسی اور پر اتنی توجہ مرکوز کرتے ہیں کہ ہمارے اپنے عمل کمزور ہوجاتے ہیں اور ہم بحث میں داخل ہوجاتے ہیں ، ہم لڑائی جھگڑے میں داخل ہوجاتے ہیں اور پھر ہماری اللہ عزوجل کے ساتھ اپنی پوزیشن خطرے میں پڑ جاتی ہے۔
سوال: السلام علیکم پیارے شیخ ، کیا آپ مجھے نقشبندی ذکر کی تلاوت کے لئے اجازت دے سکتے ہیں؟
شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق): وہ (سوال کرنے والا) جسکا کوئی اور شیخ ہے؟ وہ کل رات کو ایک سوال کیا گیا تھا ، کوئی مسئلہ نہیں ، اچھے سوالات ہیں آپ کے پاس۔ انشاء اللہ. ہاں یقینا. انشاء اللہ ، ختم خواجگان پڑھنے اور اپنے لئے ذکر کرنے کے لئے ہمیشہ اجازت موجود ہے۔ ذکر میں لوگوں کا رہنما بننے اور ذکر کی مجلس کروانے کے لئے شیخ کے اختیار کے بغیر کوئی اجازت نہیں ہے جو یہ جانتا ہو کہ آپ کون ہیں اور آپ کا کردار کیسا ہے۔ میں تجویز کرتا ہوں کہ وہاں باہر اگر کوئی اپنے گھر میں ذکر کرنے کی کوشش کرتا ہے اور کوئی ان کے پاس آتا ہے اور ان سے کہتا ہے کہ نہیں ، آپ ابھی ذکر نہیں کر سکتے ہیں ،اگر آپ ایسے شخص ہیں جسے اب تک تعمیر نہیں کیا گیا اور جسکی اب تک تربیت نہیں کی گئی تو آپ کو بہت ساری پریشانیوں کا سامنا کرنا پڑے گا۔ جیسے ہی آپ نے ختم خواجاگان کیا یہ بوجھ کی صفائی ہے۔ وہ لوگ جو آتے ہیں اُن کے بوجھ بھی آتے ہیں ، اور اُن کے بوجھ باقی رہ جاتے ہیں اور اگر آپ کو ایسی اینرجی کے ساتھ تربیت نہیں دی گئی ہے جو اسے دور کرنے کے لئیے کافی ہو۔ وہ بوجھ وہیں رہ جائیں گے اور آپ مشکلات سے دوچار ہو جائیں گے لہذا ، مطلب یہ ہے کہ وہ با اختیار شیخ کے ذریعہ سے ہے ، وہ جانتے ہیں کہ وہ کس کو اختیار دینے جارہے ہیں اور یہ کہ ان کی مدد اور ان کا ساتھ اس شخص تک پہنچ جاتا ہے لیکن یہ تجویز نہیں کیا جاتا ہے کہ آپ جو چاہیں کرنا شروع کردیں اور آپ 5 لوگوں کو دعوت دیتے ہیں کہ وہ آئیں اور آپ کے ساتھ (ذکر) کریں۔ کیونکہ آپ ان کے تمام بوجھ اور ان کی تمام مشکلات اٹھاتے ہیں۔ آپ ایک ذمہ داری لے رہے ہیں جس کے بارے میں آپ کو معلوم نہیں یا جسے آپ (لینا) چاہتے ہیں۔ لیکن ایپ میں سے کچھ پڑھنے کی اجازت ہے۔ تمام صلوٰات پڑھنے کی اجازت ہے ، تمام دعائیں اجازت کے ساتھ ہیں ، سب اوراد اجازت کے ساتھ ہیں اور اگر آپ یہ کر رہے ہیں اور آپ کو اس کی برکت مل رہی ہے تو کم از کم اپنی دعا میں نقشبندی مشائخ کو بھی شامل کرلیں۔ کیونکہ آپ ان کی برکات کو استعمال کر رہے ہیں، تو آپ کو ان کے لئے دعا بھی کرنی چاہیے۔ انشاء اللہ بس اتنا ہی۔ یہ اچھی بات ہے. انشاء اللہ ہم ختم خواجگان شروع کریں گے۔ انشاء اللہ، اللہ عزوجل آپ کو آراستہ کرے ، آپ کو برکت عطا فرمائے ، ہمیں معاف فرمائے اور یہ کہ ہر ایک کو سلامت رکھے اور ہر ایک کو خوف سے دور رکھے۔ اور اپنا تعلق استوار کریں ، اپنا تعلق بنائیں ، محبت اور اپنے دل سے سیدنا محمد ﷺ سے ربط پیدا کریں۔ اور ان حقائق سے ملبوس اور آراستہ ہوں۔ اور اللہ (عزوجل) نے ہمیں ایک ایسی زندگی عطا کی جس میں شب برات ، شب النصف شعبان اور اس کی تمام برکات اور اس کی ساری روشنی کو دیکھ سکیں۔ انشاء اللہ.
الَی شَرَفِ النَّبِیّ ﷺوَاِلَی آ لِہِ وَ صَحبِہِ الکِرَام وَ اِلَی مَشَائِخِنَا فِی الطَّریقَتِہ النّقَشبَندِیَتِہ العَالِیَّتہ وَ اِلی سَائِرِ ساَدَاتِنَا وَا لصِّدِّیقِینَ۔ الفَاتِحتہ
Watch here: https://www.facebook.com/shaykhnurjanmirahmadi/videos/2801418526641796/?vh=e&d=n
For English: https://www.facebook.com/1621830444573407/posts/2986133564809748/?d=n&substory_index=0
…………………………………
Jummey ke din Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ) ke sath sawalaat o jawabaat energy ki taamer ki ahmiyat, manfi ( energy ) se aajzi ka tahaffuz. 🌹
Allah ( azzwajal ) ke fazl o karam se ke hum abhi bhi wujood mein hain. Alhmd Allah is saaray ajeeb o ghareeb waqt ke liye jis mein hum reh rahay hain aur logon ko jo khadshaat hain. Insha Allah hum apni poori koshish karen ge ke un Afham o tafaheem ko samajh saken. Abhi jab hum pehlay zikar aur Adrad ke baray mein baat kar rahay they, bohat saaray log bohat saaray mashaiykh walay pas manzar se atay hain aur woh har terhan ke zikar aur talawat ko shaamil karna chahtay hain aur haqeeqat yeh nahi hai ke aap jitna parheen ge itna hi behtar hai. Kyunkay yeh har aik ke darjay ke mutabiq ( hai ) .
Hamaray liye saada si Tafheem hai jaisay dawa, agar aap usay len aur woh achi ho is ka matlab yeh nahi hai ke aap uski bohat saari miqdaar le len ge aur yeh aur bhi achha ho jaye ga. Is ke mukhtalif asraat ho saktay hain jin ke liye shayad ensaan tayyar nah ho. Un azkar mein woh tajweez karte hain ke aap app se ibtidayi satah par nqshbndi Adrad karen aur yeh kaafi hai. App mein se aap tamam duayen, koi bhi slwat izafi tor par barket ke lyie parh satke hain. Jaisay hi aik bandah bohat saari cheeze parhna shuru kar deta hai aur ( aapko ) samajh nahi aati ke aap ko kya ho raha hai aap aik zabardast roshni jari kar rahay hotay hain aur woh roshni aasman par bat mean ( batman ) ke nishaan ki terhan ( nazar aati hai ) ke aap keh rahay hon ke bat mean yahan hai aur tamam shetan is roshni ki taraf dekhte hain aur yeh jan-nay ke lyi mutajasus hotay hain ke yeh kahan se aa rahi hai aur woh aap ki taraf rujoo karne lagtay hain aur masla yeh hai ke agar aap unkee talawat kar rahay hain aur aap is maqam par nahi hain aur aap ko talawat karne ki ijazat nahi di gayi hai ( to ) aap hamlay ki zad mein aajate hain .
Lehaza, bohat saari cheeze is shakhs par hamla karne lagti hain, tasaworati nazary, ( cheeze ) dekhna har terhan ki draoni awazon ko sunna, kyun ke aap apni taraf is tavajja ko mabzol karwa rahay hain jis ki aap ko laazmi tor par zaroorat nahi hai. Ab aik Sheikh aur unki ki tarbiyat, woh bunyadi cheeze parhna sikhatay hain aur phir woh is ki tarbiyat karte hain ke tafakar, ghhor o fikar kaisay karna hai. Chunancha, har cheez ki terhan yeh bhi aik dawa ki terhan hai jaisay woh apna tafakar, ghhor o fikar karte hain, un ka rabita mazboot hota jata hai tab Sheikh un ki rooh ko haqeeqat ke sath malbos karta hai. Jab woh zikar mein izafah karte hain to, un ki rooh bhi tayyar hoti hai aur woh har degree aur har satah par anay walay cheezon ke liye tayyar rehtay hain. Is ka matlab hai ke zikar jo woh karte hain unkee rooh madad ke zariye is ke liye tayyar hoti hai, woh samjhti hai ke madad ke liye kis terhan pukarna hai aur isi madad par mabni jab woh zikar karte hain to, aik energy nikalti hai. Lehaza, jab yeh makhloqaat anay ki koshish karti hain to woh apni mashqon ke zariye mehfooz rehta hai. Lekin har aik se aur har aik Website se houlle sale ( wholesale ) zikar ko lena aur ( poochna ) kya mein yeh parh sakta hon, kya mein woh parh sakta sakta hon aur jabkay woh haqeeqatan nqshbndi Adrad ko bhi mustaqil tor par nahi parh rahay hotay. Matlab istaqam, –apne rastay mein istiqamat ko qaim rakhen aur kam se kam karen aur usay Bar qarar rakhen aur yeh rasta aisa hai ؛ usay kuch halka aur Khushgawar rakhen lekin Allah ( azzwajal ) mustaqil mizaji se mohabbat karta hai.
Jaisay hi aap bohat saari cheezon ko mila dete hain, aap haqeeqatan nah yeh kar rahay hain, aap haqeeqatan woh bhi nahi kar rahay hain aur yeh zahir karta hai ke masla kahan peda ho raha hai woh Sheikh se rabita karte hain mein yeh aur yeh kar raha hon aur yeh sab kuch mukhtalif Mushkilain peda ho rahi hain. Is ka koi javaaz nahi agar aap qatee tor par uski pairwi kar rahay hain jo ke tareeqa kehta hai to phir un mushkilaat ka koi matlab nahi hai. Baad mein woh aap ko yeh kehna shuru kar dete hain ke oh mein ne aik so, hazaar baar yeh parha, mein 5000 baar usay parhta hon, mein yeh, yeh, yeh, yeh aur woh parhta hon, aur yeh unn tamam mushkilaat ki wazahat karta hai, to behtar hai ke aap apni tamam adwiyaat ka khud nuskha nah banayen aur tareeqa ki pairwi karen, rastay ki pairwi karen. Insha Allah . Hum kuch sawalaat len ge Insha Allah . … …
( Sayyidi bhaiyon ke sawalaat se pehlay, aik bhai ke waalid bohat sangeen haalat mein hain. Onhain COVID-19 virus ( corona virus ) hai woh ( dua ke ke lyie ) faryaad kar rahay hain. .. . Unhen bhi hai, woh theek hai lekin unn ke. . )
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ): Insha Allah din mein do baar kalvongi ka tail istemaal karen. Insha Allah . App se aayat al kursi dua parheen aur din mein 7 baar aayat al kursi dua parheen aur aayat alshrif ke khadim المالک الکندیاس se madad talabb karen ke apke oopar nazar dalain. Nqshbndi silsila aur shyokh ki madad parheen aur Insha Allah ke Allah ( azzwajal ) Shifa aur tandrusti ataa kere ga aur Insha Allah har qisam ki mushkilaat ko daur kardey ga. Aur tamam guftagu ke ekhtataam par phir hum sab ke liye Fatiha parheen ge ,
sawal : kya koi aisa zikar hai jisay hum is afratafri ( mushkilaat ) ke aalam mein sara din musalsal parh satke hain, inshaallah ?
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ) : haan, Insha Allah . Aap ko app mein nqshbndi Adrad milein ge aur is waqt mein is par zor diya jata hai ke, sara din astaghfar parheen. Astaghfirullah alazim waatubu ilayh to subah ke waqt se le kar sah pehar taq astaghfirullah alazim waatubu ilayh ke sift alazim, Allah ki Azmat mere tamam gunaaho ko mita day gi aur yeh ke astaghfar nehlanay wala aur saaf karne wala zikar hai. Jaisay hi hum Allah ( azzwajal ) se astaghfirullah alazim waatubu ilayh ki dua karte hain Allah ( azzwajal ) jawab deta hai bismillah arrehrman arraheem, Insha Allah . Ke woh reham aur shafqat ke samndron mein se hamein malbos kere aur hamein barket day aur har qisam ki mushkilaat ko daur kere. Aik baar jab hum astaghfar ke sath dhul jatay aur pak ho jatay to phir baqi ke waqt syedna Mohammad (S) par slwat bhejen. Allahumma Salle Ala Syedna Muhammadin wa alaaalِe Seyedan Muhammadin wa sallim.
Sawal : salam alaikum, sidi bohat bohat shukriya. Meri pareshani yeh hai ke mein matlooba raftaar mein pishrft nahi kar raha hon jis terhan karni chahiye. Khaas tor par inn auqaat mein ( aik khaas maqam taq ) jaldi pounchanay ke lyie hum kaisay taiz raftari ikhtiyar kar satke hain? Shkran :
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ) : haan, yeh aik aisi university hai jis ki diivaaren nahi hai Insha Allah . Ke aap youtube channel dekh satke hain, aap videos dekh satke hain. Yeh waqt jo Allah ( azzwajal ) ne hamein ( diya ) aur nabi (S) bayan karte hain ke har waqt jo Allah azzwajal hamein deta hai hum is ke liye jwabdeh hain. Lehaza, yeh tanhai aur khalwat ki terhan hai ke hamaray paas sochnay aur ghhor o fikar karne ka waqt hai ke hamari zindagi mein kya ahem hai aur alhamdulillah youtube ko dekhen. Channel dekhen, talemaat dekhen, aik videos ki fehrist len aur shuru se aakhir taq videos chalayein, bohat saari. Bajaye is terhan ke logon ke jo net flix Netflix per musalsal video dekhte hain youtube kholeen aur haqayiq sekhen. Kitabon se parheen, apni slwat parheen, apna waqt tafakar mein guzaraian agar aap ghhor o fikar aur muraqba aur dil ka rabita qaim kar satke hain. Allah azzwajal hum se diye gaye waqt ka hisaab kitaab kere ga. Lehaza, matlab yeh ke yeh Allah azzwajal ki taraf se aik bohat barri Nemat hai jo mein ne is baar aap ko di hai, aap is ke sath kya karen ge? Aur hum ne guzashta raat kaha tha, ke woh jo khud ko taamer karna chahtay hain aur woh jo ziyada misbet ki taraf barhatay hain, inhen un cheezon se bohat khush hona chahiye jis se Allah ( azzwajal ) unkee rooh ko malbos kar raha hai. Woh jin ki haqeeqat ziyada manfi ki taraf hai phir woh manfi ki taraf barhatay hain. Jo kisi waqt surmai ( grey ) tha woh safaid aur siyah ho jaye ga. Insha Allah .
Sawal : sidi, hum kaisay kuch nah honay aur is baat par yaqeen karne ke hum kuch nahi hain ki manzil par poanch satke hain. Mein bohat kamzor aur jaahil nokar hon aur mera taqqabur mujh par haawi ho jata hai. Yeh ghalib aa jata hai aur mujh mein aajzi bhi nahi rehti. Mein kya karoon ?
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ): aap ko Insha Allah yeh aitqaad rakhna hoga ke agar hum –apne aap se dohraatay rahen ke mein jaahil hon ya rabbi, mein jaahil hon aur phir mein talemaat ko daikhta hon kyunkay talemaat mein energy hai, roshni hai, online aa kar zikar sunna aur zikar ki majlis mein shaamil hona. Yahan aik energy hai jisay woh rooh par bhaijtay hain jo rooh ko taqwiyat bakhshti hai aur nafs aur nafs ke kharab kirdaar ko dbati hai. Jab taq mein aik rasta ikhtiyar karta hon jis mein laa ilaha anta subhanaka inni kunta min azalimeen, aur aayat alkrim ko dohraatay rahen aur –apne aap se yeh dohraatay rahen ke mein kuch bhi nahi hon, mein kuch bhi nahi ya rabbi hon. Ke ana abdikal ajiru, zaeef, miskeen, zalim, jahil. Aur yeh ke mujh par reham farma mujhe maaf farma, mujhe maaf farma aur phir har raat ehatasab karen, har raat jab aap baith kar ghhor karen ge, mere rab mein faryaad kar raha hon ke barah karam mere dil ko mutasir kar, mein ny kya ghalat kya? Mein ny kya ghalat kaha aur mein ny apni zabaan se kis ko takleef di? Aur Allah ( azzwajal ) unn logon ko kabhi maaf nahi karta jo logon ka dil torte hain. Is ka matlab hai ke yeh aik bohat bara gunah hai, yeh aik bohat bara gunah hai. Lehaza, jab hum shanakht karte hain to kam se kam hum yeh jantay hain ke hum maffi maang rahay hain ya rabbi, mujhe maaf kardey, mein ny sakhti se baat ki ho to, mein ny na munasib amal kya ho to, barah karam mujhe maaf kar day ya rabbi, barah karam mujhe maaf kar day aur phir astaghfar parheen. Din mein astaghfar parheen, aur shaam ke waqt syedna Mohammad ? Par drodoslam parheen. Insha Allah .
Sawal : aur uss ( pichla sawal karne wala ) shakhs yeh bhi puchta hai ke kya shetan ke waswason se –apne aap ko bachanay ka koi tareeqa hai ?
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ): muraqba ke waqt isi wajah se hum aawaz ke sath muraqba karne par zor dete hain. Is ka matlab hai ke jab bhi hum –apne aap ko tanha karte hain aur baith kar tfkr karte hain yeh aawaz ki taaqat se hai. Lehaza, jab hum slwat sun rahay hotay hain to yeh darasal shetan ke waswason ko roknay ke laey hai. Ke jab hum muraqba aur tfkr karne ki koshish karte hain to, aakhri kaam jo hum karna chahtay hain woh khamoshi ke sath tfkr hai kyunkay tab shetan aata hai, aik sargaram samaeen mojood ( hotay ) hain aur woh bande ko sikhana shuru karta hai aur gup shup karta hai aur bande se shikayat karne lagta hai. Aur dosra yeh uss waqt hamla karta hai jab, aap baath room mein hotay hain. Jaisay hi aap daakhil hon ge woh khutba dena aur dars o tadrees shuru kar day ga, baath room ke andar koi dars nah len. Jo kuch bhi aap ko aik ilham lagta hai woh aik ilham nahi hai, yeh shetan ka waswasa hai. Aur phir woh slwat aur woh din bhar parhay jany wali woh astaghfar waswason ko rokna shuru kardeti hain. Isliye aap ke jo bhi sawalaat hain yeh nuskhay pehlay hi mojood hain. Is ka matlab yeh hai ke jab aap sara din apna astaghfar parhte hain to, aap inn waswason ko khatam kar rahay hotay hain. Woh waqt jab hum farigh hotay hain wohi woh waqt hai jab woh bande ki tavajja haasil karne ke liye kaan mein sargoshi karta hai. Jab hum syedna Mohammad (S) par slwat bhaijtay hain to yeh Insha Allah , kaan mein anay walay kisi bhi qisam ke waswason ka muqaabla karta hai .
Sawal : Sheikh , agar hum Fajar ke waqt mein Fajar Adrad ko mukammal nahi kar saktay to kya unhen din bhar ya kaam ke waqt parh satke hain ?
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ): yaqeenan, yeh koi masla nahi hai. Agar aap ko apni Fajar jaldi padni hai aur apko Adrad parhnay hain to aap is ko notice mein copy kar len aur aap usay din bhar talawat kar saktay hain. Yeh woh dua hai jis mein zabardast Barkaat hain aur har qisam ki mushkilaat ko daur karti hai, Insha Allah . Koi pareshani nahi, Insha Allah , Allah taala fermata hai, إنما الأعمال بالنیات .
Sawal : Sayyidi, agar aap un nojawanon ko mahswara den jo tareeqa ki raah mein daakhil nahi hue hai, to aap unhay ( tareeqa se ) muta-arif krwane ke lyie kitabon ke hawalay se kya tajweez karen gin ?
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ) : kis zabaan mein angrezi zabaan mein? Aap jantay hain ke samaeen angraiz hain, ( agar aisa hai ) to website sab se asan sufimeditationcenter.com se koi mazmoon parheen agar un ka koi islami pas manzar nahi hai to, hamari Website sufimeditationcenter.com un tamam logon ke liye dakhlay ki satah hai jo islam ke pas manzar se nahi hain lekin energy aur muraqba se waaqif hain. Is ki wajah yeh hai ke aap ke paas aik barabar ka denominator hona chahiye, aap mazhabi lehaaz se baat nahi kar satke to phir kisi ke zehan mein deen se mutaliq pehlay se hi aik Tafheem ho gi. Lehaza, aik barabar ka denominator rayazi mein, jo unhon ney hamein sikhaya woh energy hai. Energy aur usakee Tafheem mein sab barabar hain. Kya aap usay bana rahay hain ya kho rahay hain? To, phir aap un se aam maino mein baat karen ge. Agar un ka islami pas manzar hai to normhmd nurmuhammad. Com Website par tasawuf, ghhor o fikar ya rahnumai se mutaliq tamam mazameen mojood hain. Agar un ko apni zindagi mein mushkil paish aati hai to kaho ke kya aap waqai khud is raah par gamzan honay ki koshish kar rahay hain aur
aap apni rahnumai khud karte hain aur aap khud ko hi karne ke lyie zikar aur Adrad dete hain, aur is ke baad phir koi un ke paas aata hai aur kehta hai ke apko Sheikh ki zaroorat nahi hai theek hai woh khud aik Sheikh hai. Kyunkay woh shakhs jo aap ko bta raha hai ke kisi Sheikh ki zaroorat nahi hai, woh darasal khud aik Sheikh hai jo logon ko gumraah karta hai. To, sabhi aik Sheikh hain. Jab aap ki maa kehti hai, aap ko Sheikh ki zaroorat nahi hai, aap ki maa hi Sheikh hai. Lehaza, har aik kisi ki rahnumai karne ka kirdaar ada karta hai. To aisa nahi hai ke koi rahnumai nahi hoti. Bas farq yeh hai ke woh aap ko kis cheez ki rahnumai dete hain. Kuch aap ko pahar se koodnay ki rahnumai dete hain aur dosray aap ko Allah ( azzwajal ) ki taraf jaaney ki rahnumai dainay ki koshish karte hain. Insha Allah .
Sawal : Sayyidi, barah karam yeh taleem farmaen ke hum –apne pyaron ko kis terhan ( iss taraf laa satke ) hain jo is waqt mein namaz parhnay ki aur pukhta imaan rakhnay ki dua nahi kar rahay hain ?
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ): haan, Insha Allah behtar hai ke –apne aap ki taraf dheyaan karen ya –apne oopar tavajja markooz karen ke jab mein apni taraf tavajja karta hon to yeh yakeeni banata hon ke mein dua kar raha hon, is baat ko yakeeni banayen ke Allah ( azzwajal ) mujh se khush ho. Mere aamaal achay hon, mere aamaal mustahkam hon, mera kirdaar acha ho. Mein is haqeeqat ki misaal hon aur phir alhmd Allah hum baqi cheeze Allah ( azzwajal ) ke hawalay kar den. Agar woh shakhs aap ke achay kirdaar ko dekh raha hai aur phir bhi namaz nah parhnay ka intikhab karta hai to is ka matlab yeh hai ke har shakhs ka apna markaz hai. Hum kisi ko kuch karne par majaboor nahi kar saktay hain. Agar woh dekhen ke aap ka kharab kirdaar hai aur ( woh ) kahin ge ke agar aap is terhan buray hain to mujhe kuch kyun karna chahiye to yeh mushkil ho jaye ga. Agar woh dekhte hain ke hamaray paas acha kirdaar hai aur unhon ney ( usay dekh kar ) phir bhi –apne rab ki ibadat aur bandagi ka intikhab nahi kya to yeh un ke aur Unkay maalik ke darmain hai. Lekin aik baar phir sab se ahem baat yeh hai ke har aik apni qabar ka zimma daar hai. Jab aap khud ko taamer karte hain, namaz ada karte hain, –apne ( hissay ke ) tamam aamaal karte hain to aap faryaad karna shuru karte hain ke ya rabbi mujhe maaf kar aur mere bachon ko maaf kar, mere tamam azeezon ko maaf kar. Inhen apni rehmaton se malbos kar, apni Nemat se malbos kar. To, phir hamaray naik aamaal aur achay kirdaar ki wajah se hum Allah ( azzwajal ) ke samnay qabil e aitbaar aur naik naam ho jatay hain. Insha Allah lekin jaisay hi hum kisi aur par tavajja markooz karne lagtay hain to, yeh hamaray –apne hissay mein khasara ban jata hai kyunkay hum kisi aur par itni tavajja markooz karte hain ke hamaray –apne amal kamzor ho jatay hain aur hum behas mein daakhil ho jatay hain, hum larai jhagrre mein daakhil ho jatay hain aur phir hamari Allah azzwajal ke sath apni position khatray mein par jati hai .
Sawal : salam alaikum payarey Sheikh , kya aap mujhe nqshbndi zikar ki talawat ke liye ijazat day satke hain ?
Sheikh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi ( q ) : woh ( sawal karne wala ) jiska koi aur Sheikh hai? Woh kal raat ko aik sawal kya gaya tha, koi masla nahi, achay sawalaat hain aap ke paas. Insha Allah . Haan yaqeenan. Insha Allah , Khatim khwajgan parhnay aur –apne liye zikar karne ke liye hamesha ijazat mojood hai. Zikar mein logon ka rehnuma ban’nay aur zikar ki majlis krwane ke liye Sheikh ke ikhtiyar ke baghair koi ijazat nahi hai jo yeh jaanta ho ke aap kon hain aur aap ka kirdaar kaisa hai. Mein tajweez karta hon ke wahan bahar agar koi –apne ghar mein zikar karne ki koshish karta hai aur koi un ke paas aata hai aur un se kehta hai ke nahi, aap abhi zikar nahi kar satke hain, agar aap aisay shakhs hain jisay ab taq taamer nahi kya gaya aur jiski ab taq tarbiyat nahi ki gayi to aap ko bohat saari pareshaniyon ka saamna karna parre ga. Jaisay hi aap neh Khatim khwajgan kya yeh boojh ki safai hai. Woh log jo atay hain unn ke boojh bhi atay hain, aur unn ke boojh baqi reh jatay hain aur agar aap ko aisi energy ke sath tarbiyat nahi di gayi hai jo usay daur karne ke laey kaafi ho. Woh boojh wahein reh jayen ge aur aap mushkilaat se dochar ho jayen ge lehaza, matlab yeh hai ke woh ba ikhtiyar Sheikh ke zareya se hai, woh jantay hain ke woh kis ko ikhtiyar dainay jarahay hain aur yeh ke un ki madad aur un ka sath is shakhs taq poanch jata hai lekin yeh tajweez nahi kya jata hai ke aap jo chahain karna shuru kar dein aur aap 5 logon ko dawat dete hain ke woh ayen aur aap ke sath ( zikar ) karen. Kyunkay aap un ke tamam boojh aur un ki tamam mushkilaat uthatay hain. Aap aik zimma daari le rahay hain jis ke baray mein aap ko maloom nahi ya jisay aap ( lena ) chahtay hain. Lekin app mein se kuch parhnay ki ijazat hai. Tamam slwat parhnay ki ijazat hai, tamam duayen ijazat ke sath hain, sab Adrad ijazat ke sath hain aur agar aap yeh kar rahay hain aur aap ko is ki barket mil rahi hai to kam az kam apni dua mein nqshbndi mashaiykh ko bhi shaamil karlen. Kyunkay aap un ki Barkaat ko istemaal kar rahay hain, to aap ko un ke liye dua bhi karni chahiye. Insha Allah bas itna hi. Yeh achi baat hai. Insha Allah hum Khatim khwajgan shuru karen ge. Insha Allah , Allah azzwajal aap ko aaraasta kere, aap ko barket ataa farmaiye, hamein maaf farmaiye aur yeh ke har aik ko salamat rakhay aur har aik ko khauf se daur rakhay. Aur apna talluq ustuwar karen, apna talluq banayen, mohabbat aur –apne dil se syedna Mohammad (S) Se rabt peda karen. Aur un haqayiq se malbos aur aaraasta hon. Aur Allah ( azzwajal ) neh hamein aik aisi zindagi ataa ki jis mein shab baraat, shab nisf shabaan aur is ki tamam Barkaat aur is ki saari roshni ko dekh saken. Insha Allah .
Source