
Urdu – Part One| The Light of Faith and Our Purpose In Life| The Journey of Knowing One…
Part One| The Light of Faith and Our Purpose In Life| The Journey of Knowing One’s Self
ایمان کی روشنی اور زندگی میں ہمارا مقصد| خود کو جاننے کا سفر
روحانی سوال جواب
سوال: سیدی، کیا آپ درود شریف )صلوات( کے بارے میں مزید وضاحت فرمائیں گے ؟
|شیخ سید نور جان میر احمدی نقشبندی (ق)|
"درود شریف، یہی تمام طریقۃ (روحانی راستہ ) ہے۔ اس پر کئی گھنٹوں بات ہو سکتی ہے لیکن درود شریف کی بے انتہا فضلیت اور اسکی برکت اتنی ہے کہ اسے سمجھا بھی نہیں جا سکتا۔ (درود شریف پڑھنے پر )کس طرح کی طاقت ، کس طرح کی حقیقت ، کس طرح کی برکتیں بندے پر نازل ہو رہی ہوتی ہیں اور ڈھانپ رہی ہوتی ہیں۔ یہ سیدنا محمد (ﷺ) کے قلبِ مبارک کی جانب راستہ ہے ، اور درود شریف کی عظیم الشان طاقت ، سیدنا محمد(ﷺ) کی نظر سے فیض پانا ہے۔ لیکن اس مہینے کی تجلی کیلئے سب سے اہم بات ، استغفار کو سمجھنا اور خود کو ختم (زیرو) کرناہے ۔ اور سیدنا محمد (ﷺ)کے قلب کے اندر جانے والی ، حقیقت کی اُس پٹری پرچلنے کیلئے، خود کو تیار کرنا ہے ۔ درود شریف ( کے بارے میں) ہمارے پاس پوری ویب سائٹ ہے ، جس پر صلوات کی طاقت اور محمدی حقائق تک پہنچنے (کا مواد ) ہے انشاء اللہ ۔
سوال : سیدی ، ہم اپنے مراقبے کے تعلق کو مضبوط کیسے بنائیں؟
|شیخ سید نور جان میر احمدی نقشبندی (ق)|
ہر روز مشق کرنے سے ، انشاءاللہ ۔ جیسے ہم نے گذشتہ ہفتے بات کی تھی کہ یہ ہر روز مشق کرنی ہے کہ کیسے ( شیخ سے ) رابطہ قائم کریں ۔ خود کو تصور کیسے کریں۔ اوراد (وظائف) ہیں۔ اپنی نماز کے بعد بیٹھیں، صلوات (درود شریف ) اور قرآن (کی تلاوت) لگائیں اور خود کو مدینہ منورہ میں تصور کریں۔ خود کو اولیا اللہ کے ساتھ تصور کریں ۔اور یہ کہیں' میں ناچیز ہوں ، یا ربی میں کچھ بھی نہیں ہوں کہ صرف مجھے اس طاقت کے سمندر (بحرالقدرۃ) میں سانس لینے دیجئے' ۔ اور خود کو روضہ مبارک کی موجودگی میں ، مدینہ منورہ کے حضور ، اولیا اللہ کے حضور ، ناچیز تصور کریں— کہ 'میں ناچیز ہوں۔ اور سانس لینا سیکھیں اور اینرجی کو محسوس کرنا سیکھیں۔ ’لیکن پھرسے (دُہرا دیں )کہ جو کچھ ہم سیکھا رہے ہیں وہ ایک سسٹم (نظام) پر قائم ہے۔ تو جو لوگ آتے ہیں اور کہتے ہیں کہ "اوہ ہم مراقبہ کیسے کریں؟" ہاں یہ ایک پورا سسٹم ہے۔ اسی لئے ہمیں ای میل کیجئے ، کیونکہ پھر یحیی جوابی فارم بھیجے گا۔ ایک بار (یہ سسٹم سمجھ جائیں کہ )اس سب کی بنیاد یہ ہے ؛ اپنے وضو کو سمجھیں انرجی کو سمجھیں ، اپنی انرجی کو پاک کرنے کی اہمیت ، اپنی انرجی کو صاف کرنا اور اس بات کو یقینی بنانا کہ آپ کی انرجی مضبوط ہے ۔ اور پھر آپ اپنے تفکر اور مراقبے کیلئے روزانہ بیٹھتے ہیں اور صرف سانس لیتے ہیں اور اِن اولیاء اللہ کی موجودگی کو محسوس کرتے ہیں ۔ یہ کہ ‘میں آپ کے ساتھ رہنا چاہتا ہوں میں آپ کی اُن روشنیوں سے ملبوس ہونا چاہتا ہوں جو اللہ (عزوجل) نے آپ کو دی ہیں ۔’ ان کو دیکھنے کی امید نہ کریں ، اور صرف انھیں محسوس کریں۔
ہر ایک کو ایک بنیادی پیکیج دیا گیا تھا۔ اور ہم نے بہت سال پہلے تربیت میں بیان کیا تھا ، 'آپ ایک ایسے کمپیوٹر کی طرح ہیں جو بنیادی سافٹ ویئر کے ساتھ آیا ہے۔' لہذا ابھی ، (آپ ) جہاں کہیں بھی ہیں اپنی آنکھیں بند کریں اور جو کوئی بھی سن رہا ہے جس وقت بھی سن رہا ہے، اپنی آنکھیں بند کرلیں ، اپنے انگوٹھے کو نرمی سے تھامیں ، اپنے دل کو پر سکون کریں، اور میں چاہتا ہوں کہ آپ مکی ماؤس (کارٹون کردار) کا تصور کریں [شیخ مسکراتے ہیں] ۔ مجھے پتہ نہیں، پاکستان میں مکی ماؤس کو جانتے ہیں یا نہیں۔ وہ چوہا ہے ، چوہے کی طرح لگتا ہے ، اس کے دو بڑے کان اور ایک مسکراہٹ ہے۔ مکی ماؤس کو دیکھنا (تصور کرنا ) بہت آسان ہے اور وہ بالکل وہیں پر ہے۔ کیوں ، کیوں کہ یہ (تصور کرنا) آپ کے بنیادی پیکیج میں ہے ، (جو) آپ کے بنیادی سوفٹ ویئر میں آیا ہے۔ اب اپنی مشقوں اور تربیت کے ذریعے سے آپکے سافٹ ویئر کو اپ گریڈ ہونا ہوتا ہے۔ ٹھیک ہے ، ایسا نہیں ہوتا کہ آپ ایک سادہ فون لیتے ہیں اور اب اُس میں دو سو چونسٹھ میگا بائٹ کےایپس ڈاؤن لوڈ کرنے لگتے ہیں۔ (تو) آپ کا فون کریش (خراب) ہو جائے گا۔ لہذا سارا عمل سیکھنے کا ہے اور آہستہ آہستہ اپنی انرجی تعمیر کرنے کی کوشش کرتے رہنا ہے ، ذکر سنیں ، تعلیمات کو سنیں۔ یہاں (یوٹیوب چینل پر ) ایک ہزار ویڈیوز ہیں اور کوئی کہتا ہے کہ ’اوہ ، مجھے وظیفہ کرنے کی ضرورت ہے ،’ نہیں ، نہیں ، آپ کو اصل میں بیٹھ کر ویڈیو دیکھنی چاہئے۔ آپ جہاں کہیں بھی ہیں ہیڈ فون لگائیں ، ویڈیو دیکھیں تاکہ آپ شیخ سے زیادہ واقف ہوں ، ان تعلیمات سے زیادہ واقف ہو جائیں ، اس تعلیمات سے زیادہ واقف ہوں تاکہ آپ اُن کی حقیقت کے سمندر میں داخل ہو سکیں۔ آپ انہیں سنتے ہیں ، آپ انہیں محسوس کرتے ہیں ، آپ سمجھتے ہیں کہ وہ کیسے بات کرتے ہیں، (اور اُس) حقیقت (کو سمجھتے ہیں) جس کی وہ بات کر رہے ہیں۔ یہ ایسی چیز کی مانند ہے جس سے آپ کھا رہے ہو ، ایسی چیز نہیں کہ آپ کبھی کبھار اس میں شامل ہوجاتے ہیں۔ یہ ایسا ہے کہ آپ کچھ سیکھنا چاہو تو اُس میں ڈوب جاؤ ۔
اس کے نتیجے میں جب آپ مراقبہ کررہے ہیں تو ، آپ کا پیکیج آہستہ آہستہ اپ گریڈ ہونا شروع ہو جائے گا ، اپ گریڈ ہوگا، کہ ‘یا ربی مجھے ان کے ساتھ کی اجازت دیجئے اور پھر اپنے دل سے مجھے معلوم ہوجائے کہ وہ میرے سامنے ہیں۔ اور یا ربی میں مدینہ المنورہ اور روضہ مبارک کی تصویر دیکھتا ہوں ، اور مجھے وہ تصویر ذہن کی آنکھ میں رکھنے دیجئے۔ ’اور جیسے جیسے آپ کے سافٹ ویئر کو اپ گریڈ کیا جارہا ہے اور جو انرجی آپ کو ہر ذکر میں بھیجی جارہی ہے وہ زیادہ سے زیادہ ہو رہی ہے۔ اور آپ مدد مانگتے رہتے ہیں ، آپ خود کو وضو میں رکھتے ہیں ، ذکر کرنے آتے ہیں ، اور اگر آپ ہیڈ فون لگاتے ہیں تاکہ آپ ہر دوسری بیرونی آواز سے الگ ہوجائیں تاکہ آپ مکمل طور پر شیخ کی موجودگی میں آ سکیں۔ خود کو اُن کے سامنے قالین پر دیکھیں۔ کہ ‘میں ان کے ساتھ موجود ہوں اور مجھے اُس حضور میں آنے دیں۔‘ شیخ آپ کو اٹھائیں گے اور آپ کو فوری طور پر اس حضور میں لے جائیں گے۔ پھر آپ (آنکھیں) بند کرتے ہیں ، [شیخ آنکھیں بند کر رہے ہیں] اور یہ تصور کرتے ہیں کہ میں ان کے ساتھ ہوں " وَكُونُوا مَعَ الصَّادِقِينَ ،" اللہ (عزوجل) حکم دیتا ہے: 'ہوش میں رہو اور ان صدیق کی صحبت قائم رکھو۔' جسمانی طور پر نہیں ، اللہ (عزوجل) آپ کے جسم کی پرواہ نہیں کرتا ، لیکن اپنی روحانیت میں ہمیشہ ان کے ساتھ رہیں۔
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللّهَ وَكُونُوا مَعَ الصَّادِقِينَ
"اے ایمان والو! اللہ سے خبردار(ڈرتے ) رہو اور اہلِ صدق کے ( جو الفاظ اور کردار کے سچے ہیں ) ساتھ رہو۔" سورۃ التوبہ(9) آیت 119
‘یاا ربی مجھے ہمیشہ ان کے ساتھ رہنے دے۔ میں آپ کے ساتھ ہوں ، میں آپ کو دیکھ نہیں سکتا ، میں آپ کو دیکھنے کے قابل نہیں ہوں ، میں ابھی تک صاف نہیں ہوں۔ ’اور اپنے ایمان کے ساتھ آپ کا تصور یہ ہے کہ‘ میں ان کے ساتھ ہوں۔ میں ان کے ساتھ ہوں ، میں ان کے ساتھ ہوں ، میں ان کے ساتھ ہوں۔ ’جب تک کہ اللہ (عزوجل) اخلاص عطا کرنا شروع نہ کردے ، آپ کا سافٹ ویئر اپ گریڈ ہوجائے گا اور آپ محسوس کرنے لگیں گے کہ آپ مدینہ منورہ اور مکہ مکرمہ میں ہیں۔ اور یہ آپ اپنے دل میں محسوس کرتے ہو ، اپنے دل کی آنکھ سے نہ کہ جسمانی آنکھ سے۔ اپنے ایمان کی آنکھ سے ، کہ میں مولانا شیخ (ق) کو دیکھتا ہوں ، میں مدینہ المنورہ دیکھتا ہوں ، مجھے روضہ مبارک نظر آتا ہے ، اور میں اس حضور میں سانس لے رہا ہوں۔ میں اُس حضور سے فیض کا طالب ہوں ، میں ناچیز ہوں ، میں کچھ بھی نہیں ہوں ، ‘اور بس سانس لیں۔ اور یہ کہیے: ‘یا ربی میں صرف اس حقیقت اور اس محفل کی انرجی اور فیض مانگنے آیا ہوں۔ اور یہ تفکر ہے۔ اسے ہر روز کرتے رہیں ہر روز کرتے رہیں جب تک کہ اس حقیقت کی خوبصورت خوشبو کھل جائے، اس حضور کی خوبصورتی انرجی کھل جائے۔ جس میں ،میں وہاں بیٹھا ہوں اور میں صلوات (درود) بھیجتا ہوں اور کہتا ہوں: یا ربی کاش میں یہ صلوات (درود) روضہ مبارک پر سیدنا محمد(ﷺ) کی بارگاہ میں پڑھ سکوں ، یہ خوبصورت تلاوت ، اُس حقیقت ( المحمدیہ ﷺ) پر میری (طرف سے پیش کی گئی ) حمد بنا دیجئے۔ اور تصور کریں جب یہ صلوات لگی ہوئی ہوتی ہیں تو یہ تمام ملائکہ (فرشتے) ہیں جو آرہے ہیں اور اس روضہ مبارک کے گرد طواف کر رہے ہیں ، اور یہ ملائکہ آ تے ہیں اور اس حقیقت کو سجا رہے ہیں اور نبی کریم (ﷺ) اپنا فیض الہی روح پر بھیج رہے ہیں۔ اور ہر بار جب آپ یہ مراقبہ کرتے رہتے ہیں ، آپ لگاتار کرتے رہتے ہیں اُس وقت تک ، جب تک کہ یہ ( فیض) تھام نہ لے۔ لہذا مطلب یہ کہ وہ مسلسل مشق کرتے ہیں، مشق کرتے رہتے ہیں۔ ہر طالب علم کے دل میں چھوٹی سی موم بتی ہوتی ہے۔ ہر انسان کو موم بتی کی طرح تھوڑی سی روشنی دی جاتی تھی۔ آپ کی زندگی کا مقصد اس روشنی کو سنبھالنا تھا۔ اس روشنی کا دفاع اور حفاظت کرنا تھا۔ یہ مت سمجھیں کہ عقیدہ یہ ہے کہ آپ اپنی مرضی سے کچھ بھی کرسکتے ہیں ، شیخ پر جس طرح چاہیں حملہ کر سکتے ہیں اور جیسے چاہیں باتیں کر سکتے ہیں اور جیسے چاہیں چیخ اور چلا سکتے ہیں۔ اپنی پسند کا ہر طرح کا کام کر سکتے ہیں۔ ’آپ اپنی شمع بجھا رہے ہیں! ایمان بہت ہی نازک ہے ، اور سیدنا محمد(ﷺ) نے بیان کیا ، ‘یہ قمیض کی طرح ہے ، جو پھٹ (گِھس )جائے گی۔ اللہ (عزوجل) سے ہر دعا میں اپنے ایمان کی تجدید کیلئے دعا گو رہیں ، تاکہ یہ موم بتی روشن ہوجائے۔
حدیث مبارکہ:
عبداللہ ابن عمرو سے روایت ہے ، رسول اللہ (ﷺ) نے ارشاد فرمایا:
إِنَّ الْإِيمَانَ لَيَخْلَقُ فِي جَوْفِ أَحَدِكُمْ كَمَا يَخْلَقُ الثَّوْبُ الْخَلِقُ فَاسْأَلُوا اللَّهَ أَنْ يُجَدِّدَ الْإِيمَانَ فِي قُلُوبِكُمْ
"بےشک تم میں سے کسی کے سینے میں ایمان ایسے ہی بوسیده ہوجاتا ہے،جیسے کہ پرانا کپڑا بوسیده ہوجاتا ہے،لہذا تم اللہ عزوجل سے دعا کرتے رہا کرو کہ وه تمہارے دلوں میں ایمان کی تجدید ( اسے تازه)فرمائے۔
( ماخذ: المستدرك على الصحيحين 5 ، درجہ: صحیح)
(اِس )موم بتی (کو) ، جب آپ مراقبہ کی مشق کرتے ہیں'اس روشنی کو یا ربی بڑھنے دیجئے۔ جب میں ان کا فیض حاصل کررہا ہوں تو ، یہ روشنی بڑھ رہی ہوتی ہے ، یہ روشنی بڑھ رہی ہوتی ہے ، یہ روشنی بڑھ رہی ہوتی ہے۔' حتی آپ روشن ہوجائیں گے۔جب آپ روشن ہوجائیں گے ، اس کا مطلب ہے کہ انرجی آپ سے ٹکراتی ہے اور آپ موم بتی سے ایک ستارے کی تشکیل کے عمل میں چلے جاتے ہیں۔ اور ولایت کی پہلی سطح اور اسکا آغاز ایک نجم (ستارہ) ہے ، جس میں آپ سورج بن رہے ہیں۔ آپ کو نورِ الہی عطا ہوا ، جو کہ ابدی ہے۔ اب آپ کا دل روشن ہے۔ آپ ہمہ وقت گرم رہتے ہیں ، آپ کے ہاتھ گرم ہیں ، آپ کی گردن کا پچھلا حصہ گرم ہے۔ اگر وہ آپ کا درجہ حرارت لیتے ہیں تو ، آپ سے پیدا ہونے والی گرمی سے آپ کے سارے کپڑے گیلے ہوجاتے ہیں۔ وہ بندہ روشن ہے۔ وہ بندہ ان روشنیوں اور ان حقائق کو حاصل کرنے کے لئے ولایت کی راہ پر گامزن ہے۔ جو روشن ہے ، وہ ہمیشہ کے لئے روشن ہے۔ پھر اپنی تمام تر تربیت کے ذریعے، وہ اپنی روشنی کو مضبوط سے مضبوط تر، مضبوط سے مضبوط تر بنائیں گے جب تک کہ یہ صلوات (درود )پڑھنا شروع ہو جائیں اور بے حد طاقتور ہو جائیں۔ اس کے نتیجے میں سورج مشکلات سے طاقت حاصل کرتا ہے۔ یہ غلاظت کہکشاں میں لے جاتا ہے ، اسے اپنے ماحول اور کشش ثقل میں کھینچ لاتا ہے۔ اور اس کے نتیجے میں اس کوڑے کو بطور ایندھن استعمال کرتا ہے۔ اور کیا ہوتا ہے جب سورج ایندھن کو جلاتا ہے ، اس سے ایک "ضیا" (آسمانی آگ) پیدا ہوتی ہے۔ یہ بہت ساری روشنیاں پیدا کرتی ہے جو (اس سے) نکل رہی ہوتی ہیں۔ اور سیدنا محمد (ﷺ) نے بیان فرمایا ہے : ’’ میرے صحابی تاریک رات میں ستاروں کی طرح ہیں۔ ‘
حدیث مبارکہ: أصحابي كالنُّجومِ بأيِّهمُ اقتديتُمُ اهتديتُم
میرے اصحابہ ستاروں کی مانند ہیں۔ ان میں سے کسی بھی ایک کی پیروی کرو اور تم ہدایت پاؤ گے۔ حضرت محمد (ﷺ)
اگر کوئی (سمجھنا چاہئے تو اُسے ) ستارے کی تشکیل کی حقیقت سمجھنی چاہئے ، لیکن جب تک آپ یہ نہ حاصل کرلیں آپ کا ایمان بہت ہی کمزور رہے گا۔ اسے بھجانے کی زندگی نہ گزاریں۔ اور یہ اولیاء اللہ ہماری زندگی میں تشریف لاتے ہیں تاکہ ہمیں اس کی پرورش کرنا ، اس کی حفاظت کرنا اور اس کو بھڑکانے کی کوشش کرنے کا طریقہ سکھائیں۔ تاکہ اسے عارضی سے ابدی حقیقت تک لے جا سکیں۔ مولانا شیخ (ق) بیان کرتے ہیں کہ دائم لفظ بہت خوبصورت ہے۔ دائم وہ ہیں جو ابدی ہیں ، کیونکہ وہ روشن ہیں۔ کہ آپ نے اپنی دائمی روشنی اور ابدی حقیقت حاصل کر لی ۔ انشاء اللہ۔
سوال: سیدی، ہم اپنے "سات نام" سمجھنا کیسے شروع کریں۔ ہم ان کے بارے میں کیسے جان سکتے ہیں؟ اور کیا یہ مراقبہ کے دوران معلوم ہو جائیں گے؟
|شیخ سید نور جان میر احمدی نقشبندی (ق)|
سات ناموں کو سمجھنا ، یہ زیادہ اہم ہے کہ جس نے اپنے نفس کو پہچان لیا ، اُس نے اپنے رب کو پہچان لیا۔
حدیث مبارکہ : "من عرف نفسه عرف ربه "
"جس نے اپنے نفس کو پہچان لیا ، اُس نے اپنے رب کو پہچان لیا "
نبی کریم حضرت محمد (ﷺ)
یعنی ، خود کو جاننے کا یہ عمل ایک سفر ہے۔ چنانچہ جب میں اپنی طرف نگاہ کرتا ہوں ، اور اس حدیث مبارکہ کی گہرائی جو سیدنا محمد (ﷺ) بیان فرما رہے تھے وہ یہ ہے کہ 'آپکو اپنا رب تلاش کرنے کیلئے مرنے کی ضرورت نہیں ہے، اپنے رب اور اُسکو جو اس پوری کائنات کو چلاتا ہے ، اُسے تلاش کرنے کیلئے آپکو جسمانی طور پر مرنے کی ضرورت نہیں ہے ۔ آپ کا سفر باہر کی بجائے اندر جھانکنے سے شروع ہوتا ہے۔ اور سب سے مشکل سفر باطن کا سفر ہے۔ تو ہم نے ابھی اسے مراقبہ (کے سوال میں) میں بیان کیا ہے اور ہم نے اسے ابھی روشنی میں بیان کیا ہے ، بس یہی ہے۔ کیا آپ سمجھ گئے ہیں کہ اپنے نور کو کیسے پروان چڑھایا جائے ، کیا آپ سمجھ گئے ہیں کہ آپ کی روشنی کی غذا کیا ہے ، کیا آپ یہ سمجھتے ہیں کہ وہ کون سے خدا ہیں جو آپ پر حکمرانی کر رہے ہیں جو اس روشنی کو تباہ کرنے کی کوشش کر رہے ہیں؟ ٹھیک ہے؟
شراب ، سگریٹ نوشی ، غصہ۔ وہ جن پر غصہ قابض ہے ، یہ کفر ہے۔ ہر بار جب انہوں نے غصے اور غضب کو قابض ہونے دیا تو یہ اس روشنی پر آنے والے طوفان کی مانند ہے جو اسے بجھانے کی کوشش کر رہا ہے کیونکہ ایک ہی لمحے میں آپ کسی کو نقصان پہنچا سکتے ہیں ، خود کو نقصان پہنچا سکتے ہیں اور ایسا کام کرسکتے ہیں جس سے پوری روشنی اور ایمان دور ہوجاتا ہے۔ وہ موم بتی بجھ جائے گی[شیخ نے شمع بجھا دی]۔ اور وہ شخص برباد ہو جاتا ہے، ابدی حالت میں نہیں رہتا ۔
اس لئے سب سے پہلا کام ، مجھے ان تمام خداؤں کو جاننا ہے جو مجھ پر اور میرے کردار پر حکمرانی کرتے ہیں ، کہ میں ان سب سے ہو کر اخلاص اور مخلصی کی طرف جاتا ہوں جس میں مجھے اللہ (عزوجل) کی طرف سے ایک مخلص بندہ بننے کی توفیق ملتی ہے۔ اور میرے خلوص (کی کیفیت )میں، اللہ (عزوجل) مجھ پر پردہ اُٹھانے لگتا ہے کہ میں کون ہوں۔ اور میرے اس دنیاوی نام کا (اصل ) نام کیا ہے، اسکا معانی کیا ہے ، اسکی حقیقت کیاہے۔ اور میرے سات جنتوں میں سات نام ہیں۔ اور وہ نام کیا ہیں ؛ اور اُس نام سے مجھے کیا مدد ملتی ہے ؛ اور کیسے وہ نام، اس دنیا میں میرے سفر اور آسمانوں کے حقائق تک جانے والے سفر میں مدد کرتے ہیں۔ بہت گہری ، یہ ایک بہت گہری حقیقت ہے۔ ہمیں تمام برائیوں اور خرابیوں کو فتح کرنا ہے۔
: Sayyidi , Since our Difficulties in Life are Preordained, What is The Best Adab to Benefit from These Difficult Challenges and Hardships in our Life?
سوال: سیدی ، چونکہ ہماری زندگی میں مشکلات مقدور (پہلے سے لکھی ہوئی ) ہوتی ہیں ، لہذا ہماری زندگی میں ان مشکل چیلنجوں اور مشکلات سے مستفید ہونے کا بہترین ادب کونسا ہے؟
|شیخ سید نور جان میر احمدی نقشبندی (ق)|
مشکلات سے نمٹنے کا بہترین ادب (انداز) خود کو یہ بتانا ہے کہ یہ پہلے ہی لکھا جا چکا ہے۔ اور یہ کہ ‘یا ربی کیا میں نے صحیح انتخاب کیا ، اور کیا میں نے صحیح کردار (ظاہر کیا) ۔’ اور یہ اس لئیے کہ اگر وہ شخص اہل تفکر (غوروفکر کرنے والوں میں سے ہے) ، تو وہ ہر چیز پر غور کرتے ہیں۔ جب بھی آزمائش آتی ہے تو وہ غور و فکر کرتے ہیں ، 'کیا یہ خراب کردار کا نتیجہ تھا یا یہ اللہ (عزوجل) درجات بڑھانا چاہتا تھا؟' آپ کو پتا ہے کہ آپ نے رخ موڑ ا اور آپ غلط محلے میں داخل ہو گئے ، آپ کو بہت مشکل پیش آئے گی ۔ تو کیا میں نے غلط انتخاب کیا اور اس لئیے مشکل پیش آرہی ہے؟ ’پھر مجھے ابھی بھی اپنی صلوات میں اضافہ کرنا ہوگا ، اپنی مشقوں کو بڑھانا ہوگا ، اپنے غصے پر قابو رکھنا ہو گا ، اپنی بری عادتوں کو بہتر بنانا ہوگا ، اپنا مراقبہ کرنا ہوگا اور اسے بہتر بنانا ہو گا تاکہ میرا تعلق صحیح ہو جائے ۔ اگر میں ہر وہ کام کر رہا ہوں جس کو میں اچھا سمجھتا ہوں ، کیونکہ ہر ایک اپنا حساب کتاب کرتا ہے ، اسی وجہ سے ہر رات ایک محاسبہ (کرنا ہوتا) ہے۔
اگر کوئی مشکل پیش آتی ہے اور (آپ کہتے ہیں) ‘اوہ ہاں شیخ سب کچھ اچھا ہے ،’ لیکن آپ یہ نہیں کہتے کہ آپ نے گذشتہ ہفتے کیسے خوفناک لڑائی لڑی تھی۔ آپ چیخے اور چلائے اور ہر طرح کی (بری) چیزیں (کی)۔ یقینا پھر مشکل آپ کے راستے پر آئے گی۔ اور ہم کہتے ہیں: 'نہیں ، اپنی ذات کے سچے اور پر خلوص ادراک ( مُحاسبہ) میں ، میں دعا کرتا ہوں کہ اللہ (عزوجل) مجھ سے خوش رہے۔ میں نے اپنی پوری کوشش کی ، میں نے اپنے ذکر کئے ، کبھی کبھار میرے اوپر نیچے ہو جانے پر ، انشاء اللہ کوئی حرج نہیں ۔ لیکن یہ تو بس ایک آزمائش ہے جو اللہ (عزوجل) بھیجتا ہے تاکہ میں صبر کروں۔ اور میری صبر کی تربیت میں یہ تھا کہ مجھے کسی چیز کی توقع نہ ہو ، اور میں ہر چیز سے خوش رہوں۔ 'جیسے ہی آپ لوگوں سے یہ توقع کرتے ہیں کہ وہ آپ کو ایک خاص وقت پر کال کریں گے ، لوگ آپ کے لئے ایک مخصوص کام کریں گے، ایک مخصوص تحفہ دیں گے ، ایک مخصوص چیز کریں گے ، شیطان اس سے توقع سے کھیلے گا ۔ آپ توقع کرتے ہیں ‘کہ میں یہ کروں گا اور اللہ (عزوجل) کی طرف سے کچھ کھل جائے گا۔ میں یہ کروں گا اور اس شخص سے کچھ کھل جائے گا'۔ اپنی زندگی میں سب توقعات، سب ختم کردیں ۔ اگر ہم ان توقعات کو مٹا دیں تو ، جو کچھ بھی آئے گا ہم اس سے بہت خوش ہوں گے۔ 'مجھے کسی تحفے کی توقع نہیں ہے ، مجھے کسی چیز کی توقع نہیں ہے ، اوہ ، ماشااللہ، دیکھو کچھ ہوا ہے۔' لیکن جیسے ہی آپ کی توقع قائم ہوتی ہے ، (جیسے ) ہم نے پہلے کہا کہ بچے کسی تحفے کی توقع رکھتے ہیں اور آپ کتاب کے ساتھ آجائیں، تو وہ آپ سے لڑیں گے۔ 'یہ کیا ہے؟ بابا کیا ہوا؟ یہ ایسا نہیں ہونا چاہئیے تھا۔ 'اور اللہ (عزوجل) فرما رہا ہے کہ' کیا آپ یہ کردار دیکھ رہے ہیں ، میں آپکو کیسے کچھ دے سکتا ہوں جبکہ آپ جو چیز مانگ رہے ہیں وہ اُس کے مقابلے میں بلکل فضول ہے جو میں آپکو دینا چاہتا ہوں۔ اور اگر میں یہ آپ کو دیتا تو یہ آپ کو بہت زیادہ نقصان پہنچائے گی' ۔ کیونکہ وہ مت مانگیں جو آپ کو نقصان دے گا۔
اور زیادہ تر لوگ بہت زیادہ اُس چیز کی طلب کرتے ہیں جو ان کو نقصان پہنچائے ، خاص کر کہ پیسہ۔ زیادہ تر لوگوں کو اگر پیسہ دے دیا جائے تو وہ ، انہیں یقینی طور پر نقصان پہنچائے گا۔ وہ خود کو ذکر اور مشق ، کوئی عمل نہ کرتا ہوا اور ہر حرام کام کرتا ہوا پائیں گے۔ تو پھر ہماری زندگی کا مقصد یہ سمجھنا ہے کہ کچھ نہ مانگا جائے ، ہر چیز سے خوش رہا جائے۔ صبر کی زندگی گزاریں ، اور یہ کہ اللہ (عزوجل) بہتر جانتا ہے۔ اور اگر ہم برے کام کرتے ہیں اور وہ کام کرتے ہیں جنہیں اللہ (عزوجل) پسند نہیں کرتا ، دوسرے لوگوں کو نقصان پہنچاتے ہیں ، چیختے ہیں اور چلاتے ہیں ، لڑتے ہیں ، جھگڑتے ہیں ، تو ان سب کے نتائج ہیں۔ اور اسی وجہ سے استغفار ہے۔ اور یہی وجہ ہے کہ جو لوگ استغفار کرتے ہیں ، وہ ضرورت سے زیادہ مقدار میں استغفار کرتے ہیں۔ یہ صلوات پڑھنے سے مختلف ہے۔ استغفار یہ ہے کہ آپ اللہ کی مغفرت طلب کر رہے ہیں۔ اگر ہتھوڑا کسی کی طرف (مارنے کیلئے ) بڑھ رہا ہے تو ، آپ کو استغفار کرنا پڑے گا۔ یہ ایک الگ تجلی ہے ، ایک الگ حقیقت ہے۔ کیونکہ جب بھی آپ استغفار کررہے ہیں تو آپ کہتے ہیں: یا ربی "اَسْتَغْفِرُاللہ الْعَظِیْمَ"، عظمت العظیم — آپ کی صفت العظیم کا واسطہ ، آپ سے معافی مانگ رہا ہوں۔ 'اور اللہ (عزوجل) کی طرف سے انشاء اللہ جواب ( آتا ہے ) "بسم اللہ الرحمن الرحیم" ۔ کہ وہ بندے کو "بسم اللہ الرحمٰن رحیم" کے راز سے ملبوس کرتا ہے ، یہ روح پر ایک الگ طرح کا لباس ہے۔ اور آپ اپنے لیئے استغفار کرتے ہیں اور پھر اپنے بچوں کیلئے استغفار کرتے ہیں کیونکہ وہ استغفار نہیں کر رہے اور آپ نہیں جانتے کہ وہ بند دروازوں کے پیچھے کیا کر رہے ہیں اور دوستوں کے ساتھ کیا بات کر رہے ہیں اور کیا کر ہیں۔ لہذا ہم ان کے لئے استغفار کرتے ہیں خاص کر کہ اگر وہ بڑے ہو رہے ہیں۔ آپ اپنے بچوں کو نہیں دیکھتے اور (نہ ہی یہ کہ) وہ کیا کرتے ہیں ۔ لہذا آپ ان کے لئے استغفار کرتے ہیں اور اولیا اللہ کی تربیت اس طرح کی گئی تھی کہ وہ اس قدر استغفار کرتے کہ یہ ان کی کمیونٹی کیلئے بھی ہوتا '' یا ربی انہیں معاف کر دیجئے کیونکہ وہ نہیں جانتے کہ وہ کیا کرتے ہیں۔ '' سیدنا عیسیٰ علیہ السلام (دعا) مانگتے رہے ، اللہ (عزوجل) نے فرمایا: 'میں ان کو سزا دوں گا ، وہ شرک کرتے ہیں۔ اور وہ آپ کو اللہ کہتے ہیں۔ کیا آپ نے ان سے یہ کہا تھا ؟ اللہ (عزوجل) کتنا ناراض تھا۔ کیا آپ نے انہیں یہ کہنے کو کہا تھا ؟‘
(حضرت عیسی علیہ السلام فرماتے ہیں) ‘یا ربی ، استغفراللہ، آپ جانتے ہیں جو کچھ میں نے انہیں کہا، جب میں ان کے درمیان تھا ۔ اور اب جبکہ میں ان کے ساتھ نہیں ہوں تو یا ربی ان کو معاف فرما دیجئے ۔ وہ آپ کی مخلوق ہیں۔ آپ انکو ختم کرنا مٹا دینا چاہتے ہو ۔ لیکن وہ آپ کی مخلوق ہیں یا ربی، توبہ (میں توبہ کرتا ہوں)'۔ تو حتی کہ سیدنا عیسیٰ (علیہ السلام )بھی اپنی قوم کیلئے استغفار کررہے تھے۔ نبی کریم (ﷺ) اپنی قوم کیلئے استغفار کررہے ہیں۔ اور پھر یہ محمداً حقائق (حقیقت المحمدیہ ﷺ) ہمیں سکھا رہی ہے ، استغفار کرو۔ لوگوں سے معافی مانگو۔ اور پھر اس مغفرت کیلئے آپ کو اللہ (عزوجل) سے معافی مانگنی ہوگی۔ ’اور وہ جو شیطان کی سب سے بڑی چال سے غافل ہیں کہ وہ آپ کو توبہ نہ کرنے کی ترغیب دیتا ہے۔ ‘اوہ تم اتنے اچھے ہو ، تم بہت اچھے ہو ، تمہیں توبہ کرنے کی کیا ضرورت؟ کیونکہ اُس نے اس (توبہ ) پر ایک تالا لگایا ، کیوں کہ اس (توبہ) کی اپنی تجلی ہے اور اس کی اپنی حقیقت ہے۔ جب آپ معافی مانگتے ہیں تو اللہ (عزوجل) فرماتا ہے: ‘مجھ سے مانگو اور میں آپ کو معاف کر دیتا ہوں۔’ اور اپنے تمام عزیزوں اور اپنی پوری کمیونٹی کیلئے (مانگو) ، اور یہی صفائی ، صفائی ستھرائی، اور صفائی ہے۔ لہذا ، جب آپ نجس ہوں (ناپاک / گندے) ہو تو آپ اپنا خوبصورت لباس نہیں پہنتے۔ ٹھیک ہے، لہذا آپ کہتے ہیں: ‘میرے پاس ایک خوبصورت سوٹ ہے’ آپ جُنُب (ناپاک) اور نجس ہیں اور کہتے ہیں کہ ‘میں یہ سوٹ پہنوں گا۔’ نہیں ، تو آپ پہلے کیا کریں گے؟ آپ نہائیں گے ، آپ صاف ہوتے ہیں! نہانا استغفار تھا ، دھلنا، دھلنا، دھلنا ۔ پھر آپ صلوات نبی (ﷺ) سے خود کو خوبصورت بناتے ہیں۔ کہ میں نبی (ﷺ) سے مانگتے ہوئے بھی شرمندہ ہوں‘ ، میں نے ابھی اپنا استغفار نہیں کیا ہے۔ میں رسول اللہ (ﷺ) کی روحانیات کو کس طرح لانے جا رہا ہوں جبکہ یہ گناہ مجھ پر ہیں ، میرے بچوں اور پیاروں کے گناہ مجھ پر ہیں ، میری برادری کے گناہ مجھ پر ہیں؟ میں اس گندگی کے ساتھ سیدنا محمد (ﷺ) کی موجودگی میں جاؤں گا ، اور اس گندگی کو رسول اللہ کی حقیقت پر ڈالوں گا؟ یا پھر بیٹھ کر خود کو صاف کرنے، دھونے، صاف کرنے دھونے میں مصروف کروں گا ، 'یا ربی میں مزید نہیں کرسکتا ، مجھے معاف کردے ، تَوْبَةً عَبْدٍ ظَالِمٍ '' (ایک ایسے غلام کی توبہ جس نے خود پر ظلم کر رکھا ہے)۔ '
اور یہی وجہ ہے کہ فجر میں (دی محمداً) ایپ میں یہ سب سے بڑی سلطان التوبہ ہے ، سلطان الصلوات اور سلطان الاستغفار ہے، کیوں ہے؟ تذکیہ کیلئے ۔ لہذا (اب) سب کچھ صاف ستھرا ہے اور اب میں سیدنا محمد (ﷺ) پر اپنی صلوات ( درود شریف )پیش کرنے کے لئے تیار ہوں ۔ اس احترام اور عزت کے ساتھ کہ وہ روشنی ان شاء اللہ ہماری روحوں کو ملبوس کرے گی ، ہماری روحوں کو برکت عطا کر گی ے ، تاکہ نبی کریم کی روحانیت ہم سے جڑی رہے ، ہمیں ڈھانپ لے اور برکت عطا فرمائے ۔
سُبْحَانَ رَبِّکَ رَبِّ الْعِزَّۃَ عَمَّا یَصِفُوْنَ وَالسَّلامُ عَلَی الْمُرْسَلِیْنَ وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعَالَمِیْنَ وَبِحُرْمَةِ مُحَمَّدِ الْمُصْطَفیٰ وَبِسِرِّ سُورَۃِ الْفَاتِحَه
Roman Urdu Mein (Transiliteration)
Imaan ki roshni aur zindagi mein hamara maqsad | khud ko jan-nay ka safar
Rohani sawal jawab
sawal : Syedi, kya aap duroood shareef ) salawat ( ke baare mein mazeed wazahat farmaen ge ?
| Sheikh Sayed Nurjan Mirahmidi Naqshbandi ( q ) |
" duroood shareef, yahi tamam tareeqa ( Rohani rasta ) hai. Is par kayi ghanton baat ho sakti hai lekin duroood shareef ki be intahaa fazliat aur uski barket itni hai ke usay samjha bhi nahi ja sakta. ( duroood shareef parhnay par ) kis terhan ki taaqat , kis terhan ki haqeeqat, kis terhan ki barketain bande par nazil ho rahi hoti hain aur dhaanp rahi hoti hain. Yeh syedna Mohammad ﷺ) ke qalb-e mubarak ki janib rasta hai, aur duroood shareef ki azeem al shan taaqat, syedna Mohammad ﷺ) ki nazar se Faiz paana hai . Lekin is mahinay ki tajallii ke liye sab se ahem baat, astaghfar ko samjhna aur khud ko khatam ( zero ) karna hai. Aur syedna Mohammad (ﷺ ) ke qalb ke andar janay wali, haqeeqat ki uss patri pr chlne ke liye, khud ko tayyar karna hai. Duroood shareef ( ke baray mein ) hamaray paas poori Website hai, jis par salawat ki taaqat aur Muhammadi haqayiq taq pounchanay ( ka mawaad ) hai Insha Allah .
Sawal : Syedi, hum –apne muraqbe ke talluq ko mazboot kaisay banayen ?
| Sheikh Sayed Nurjan Mirahmidi Naqshbandi ( q ) |
har roz mashq karne se, Insha Allah . Jaisay hum naay guzashta haftay baat ki thi ke yeh har roz mashq karni hai ke kaisay ( Sheikh se ) rabita qaim karen. Khud ko tasawwur kaisay karen. Awrad ( wazaif ) hain. Apni namaz ke baad bathain, salawat ( duroood shareef ) aur quran ( ki talawat ) lagain aur khud ko madinah Munawwara mein tasawwur karen . Khud ko Aolia Allah ke sath tasawwur karen. Aur yeh kahin' mein nacheez hon, ya rabbi mein kuch bhi nahi hon ke sirf mujhe is taaqat ke samandar ( behr al qudrah ) mein saans lainay dijiye '. Aur khud ko roza mubarak ki mojoodgi mein, madinah Munawwara ke huzoor, Aolia Allah ke huzoor, nacheez tasawwur krien— ke' mein nacheez hon. Aur saans lena sekhen aur energy ko mehsoos karna sekhen.' lekin phr se ( dohra den ) ke jo kuch hum seekha rahay hain woh aik system ( nizaam ) par qaim hai. Jo log atay hain aur kehte hain ke" oh hum muraqba kaisay karen ?" haan yeh aik poora system hai. Isi liye hamein email kijiyej, kyunkay phir Yahya jawabi form beje ga. Aik baar ( yeh system samajh jayen ke ) is sab ki bunyaad yeh hai ؛ –apne wudu ko samjhain energy ko samjhain, apni energy ko pak karne ki ahmiyat, apni energy ko saaf karna aur is baat ko yakeeni banana ke aap ki energy mazboot hai . Aur phir aap –apne tafakur aur muraqbe ke liye rozana baithtay hain aur sirf saans letay hain aur inn aulia Allah ki mojoodgi ko mehsoos karte hain. Yeh ke' mein aap ke sath rehna chahta hon mein aap ki unn roshiniyon se malbos hona chahta hon jo Allah ( azzwajal ) naay aap ko di hain.' un ko dekhnay ki umeed nah karen, aur sirf unhein mehsoos karen . Har aik ko aik bunyadi package diya gaya tha. Aur hum neh bohat saal pehlay tarbiyat mein bayan kya tha,' aap aik aisay computer ki terhan hain jo bunyadi software ke sath aaya hai.' lehaza abhi, ( aap ) jahan kahin bhi hain apni ankhen band karen aur jo koi bhi sun raha hai jis waqt bhi sun raha hai, apni ankhen band karlen, –apne angothay ko narmi se tahmain, –apne dil ko par sukoon karen, aur mein chahta hon ke aap micky mouse ( cartoon kirdaar ) ka tasawwur karen [ Sheikh muskuratay hain ]. Mujhe pata nahi, Pakistan mein micky mouse ko jantay hain ya nahi .
. Woh chooha hai, choohay ki terhan lagta hai, os ke do barray kaan aur aik muskurahat hai. micky mouse ko daikhna ( tasawwur karna ) bohat aassan hai aur woh bilkul wahein par hai. Kyun, kyun ke yeh ( tasawwur karna ) aap ke bunyadi package mein hai, ( jo ) aap ke bunyadi software mein aaya hai. Ab apni mashqon aur tarbiyat ke zariye se apke software ko up grade hona hota hai. Theek hai, aisa nahi hota ke aap aik saada phone letay hain aur ab uss mein do so chonsath mega bite ke apps down load karne lagtay hain .
( to ) aap ka phone crash ( kharab ) ho jaye ga. Lehaza sara amal seekhnay ka hai aur aahista aahista apni energy taamer karne ki koshish karte rehna hai, zikar suneen, talemaat ko suneen. Yahan ( youtube channel par ) aik hazaar videos hain aur koi kehta hai ke' oh, mujhe wazifa karne ki zaroorat hai,' nahi, nahi, aap ko asal mein baith kar video dekhni chahiye. Aap jahan kahin bhi hain head phone lagayen, video dekhen taakay aap Sheikh se ziyada waaqif hon, un talemaat se ziyada waaqif ho jayen , taakay aap unn ki haqeeqat ke samandar mein daakhil ho saken. Aap unhen suntay hain, aap unhen mehsoos karte hain, aap samajte hain ke woh kaisay baat karte hain, ( aur uss ) haqeeqat ( ko samajte hain ) jis ki woh baat kar rahay hain. Yeh aisi cheez ki manind hai jis se aap kha rahay ho, aisi cheez nahi ke aap kabhi kabhar is mein shaamil ho jatay hain. Yeh aisa hai ke aap kuch seekhna chaho to uss mein doob jao . Is ke nateejay mein jab aap muraqba kar rahay hain to, aap ka package aahista aahista up grade hona shuru ho jaye ga, up grade hoga, ke' ya rabbi mujhe un ke sath ki ijazat dijiye aur phir –apne dil se mujhe maloom hojaye ke woh mere samnay hain. Aur ya rabbi mein madinah al munawrah aur roza mubarak ki tasweer daikhta hon, aur mujhe woh tasweer zehan ki aankhh mein rakhnay dijiye.' aur jaisay jaisay aap ke software ko up grade kya ja raha hai aur jo energy aap ko har zikar mein bhaije jarahi hai woh ziyada se ziyada ho rahi hai .
Aur aap madad mangte rehtay hain, aap khud ko wudu mein rakhtay hain, zikar karne atay hain, aur agar aap head phone lagatay hain taakay aap har doosri bairooni aawaz se allag ho jaien taakay aap mukammal tor par Sheikh ki mojoodgi mein aa saken. Khud ko unn ke samnay qaleen par dekhen. Ke' mein un ke sath mojood hon aur mujhe uss huzoor mein anay den.' Sheikh aap ko uthayin ge aur aap ko fori tor par is huzoor mein le jayen ge. Phir aap ( ankhen ) band karte hain, [ Sheikh ankhen band kar rahay hain ]
Aur yeh tasawwur karte hain ke mein un ke sath hon" wa kunnu ma’as," Allah ( azzwajal ) hukum deta hai :' hosh mein raho aur un Seddiq ki sohbat qaim rekho.' jismani tor par nahi, Allah ( azzwajal ) aap ke jism ki parwah nahi karta, lekin apni rohaniyat mein hamesha un ke sath rahen .
" ae imaan walo! Allah se khabardaar ( dartay ) raho aur ehley sidiq ke ( jo alfaaz aur kirdaar ke sachey hain ) sath raho." surah التوبہ ( 9 ) aayat 119
' Ya rabbi mujhe hamesha un ke sath rehne day. Mein aap ke sath hon, mein aap ko dekh nahi sakta, mein aap ko dekhnay ke qabil nahi hon, mein abhi taq saaf nahi hon.' aur –apne imaan ke sath aap ka tasawwur yeh hai ke' mein un ke sath hon. Mein un ke sath hon, mein un ke sath hon, mein un ke sath hon.' jab taq ke Allah ( azzwajal ) ikhlaas ataa karna shuru nah karde , aap ka software up grade hojaye ga aur aap mehsoos karne lagen ge ke aap madinah Munawwara aur mecca mukkarmah mein hain. Aur yeh aap –apne dil mein mehsoos karte ho, –apne dil ki aankhh se nah ke jismani aankhh se. –apne imaan ki aankhh se, ke mein molana Sheikh ( q ) ko daikhta hon, mein madinah al munnawrah daikhta hon, mujhe roza mubarak nazar aata hai, aur mein is huzoor mein saans le raha hon. Mein uss huzoor se Faiz ka taalib hon, mein nacheez hon, mein kuch bhi nahi hon,' aur bas saans len . . Aur yeh kaheya :' ya rabbi mein sirf is haqeeqat aur is mahfil ki energy aur Faiz mangnay aaya hon. Aur yeh tafakur hai. Usay har roz karte rahen har roz karte rahen jab taq ke is haqeeqat ki khobsorat khusbhoo khul jaye, is huzoor ki khoubsurti energy khul jaye. Jis mein, mein wahan betha hon aur mein salawat ( duroood ) bhejta hon aur kehta hon : ya rabbi kash mein yeh salawat ( duroood ) roza mubarak par syedna Mohammad ﷺ) ki bargaah mein parh sakun, yeh khobsorat talawat, uss haqeeqat ( Muhammadia ﷺ) par meri ( taraf se paish ki gayi ) hamd bana dijiye . Aur tasawwur karen jab yeh salawat lagi hui hoti hain to yeh tamam malaika ( farishtay ) hain jo arhay hain aur is roza mubarak ke gird tuwaf kar rahay hain, aur yeh malaika aa te hain aur is haqeeqat ko saja rahay hain aur Nabi kareem ﷺ) apna Faiz ellahi rooh par bhaij rahay hain. Aur har baar jab aap yeh muraqba karte rehtay hain, aap lagataar karte rehtay hain uss waqt taq, jab taq ke yeh ( Faiz ) thaam nah le. Lehaza matlab yeh ke woh musalsal mashq karte hain, mashq karte rehtay hain. Har taalib ilm ke dil mein chhoti si mom batii hoti hai .
Har ensaan ko mom batii ki terhan thori si roshni di jati thi. Aap ki zindagi ka maqsad is roshni ko sambhalnaa tha. Is roshni ka difaa aur hifazat karna tha. Yeh mat samjhain ke aqeedah yeh hai ke aap apni marzi se kuch bhi kar saktay hain, Sheikh par jis terhan chahain hamla kar satke hain aur jaisay chahain baatein kar satke hain aur jaisay chahain cheekh aur chila satke hain. Apni pasand ka har terhan ka kaam kar satke hain.' aap apni shama bujha rahay hain! Imaan bohat hi naazuk hai, aur syedna Mohammad ﷺ) nay bayan kiya,' yeh kameez ki terhan hai, jo phatt ( ghis ) jaye gi . Allah ( azzwajal ) se har dua mein –apne imaan ki tajdeed ke liye dua go rahen, taakay yeh mom batii roshan hojaye .
Hadees mubarikah :
abdullah Ibn umro se rivayet hai, rasool Allah ﷺ) ne irshad farmaya : " be shak tum mein se kisi ke seenay mein imaan aisay hi bosida hojata hai, jaisay ke purana kapra bosida hojata hai, lehaza tum Allah azzwajal se dua karte raha karo ke woh tumahray dilon mein imaan ki tajdeed ( usay taza ) farmaiye .
( maakhiz : al-Mustadrak 5, darja : sahih )
( iss ) mom batii ( ko ), jab aap muraqba ki mashq karte hain' is roshni ko ya rabbi bherne dijiye. Jab mein un ka Faiz haasil kar raha hon to, yeh roshni barh rahi hoti hai, yeh roshni barh rahi hoti hai, yeh roshni barh rahi hoti hai. '
' hatta aap roshan ho jaien ge. Jab aap roshan ho jaien ge, is ka matlab hai ke energy aap se takrati hai aur aap mom batii se aik setaaray ki tashkeel ke amal mein chalay jatay hain. Aur Wilayat ki pehli satah aur uska aaghaz aik Najam ( sitara ) hai, jis mein aap Sooraj ban rahay hain. Aap ko noore ellahi ataa hwa, jo ke abdi hai. Ab aap ka dil roshan hai .
Aap hama waqt garam rehtay hain, aap ke haath garam hain, aap ki gardan ka pichla hissa garam hai. Agar woh aap ka darjah hararat letay hain to, aap se peda honay wali garmi se aap ke saaray kapray geelay ho jatay hain. Woh bandah roshan hai. Woh bandah un roshiniyon aur un haqayiq ko haasil karne ke liye Wilayat ki raah par gamzan hai. Jo roshan hai, woh hamesha ke liye roshan hai. Phir apni tamam tar tarbiyat ke zariye, woh apni roshni ko mazboot se mazboot tar, mazboot se mazboot tar banayen ge jab taq ke yeh salawat ( duroood ) parhna shuru ho jayen aur be hadd taaqatwar ho jayen .
Is ke nateejay mein Sooraj mushkilaat se taaqat haasil karta hai. Yeh ghalazat kehkashan mein le jata hai, usay –apne mahol aur kashish saqal mein khech lata hai. Aur is ke nateejay mein is korray ko bator eendhan istemaal karta hai. Aur kya hota hai jab Sooraj eendhan ko jalataa hai, is se aik" zia" ( aasmani aag ) peda hoti hai. Yeh bohat saari roshniyan peda karti hai jo ( is se ) nikal rahi hoti hain. Aur syedna Mohammad ﷺ) ny bayan farmaya hai :' mere sahabi tareek raat mein sitaron ki terhan hain. 'Hadees mubarikah :
mere ashaba sitaron ki manind hain. Un mein se kisi bhi aik ki pairwi karo aur tum hadaayat pao ge. Hazrat Mohammad ﷺ)
agar koi ( samjhna chahiye to ussay ) setaaray ki tashkeel ki haqeeqat smjhni chahiye, lekin jab taq aap yeh nah haasil karlen aap ka imaan bohat hi kamzor rahay ga. Usay bhujane ki zindagi nah guzaraian. Aur yeh aulia Allah hamari zindagi mein tashreef laatay hain taakay hamein is ki parwarish karna, is ki hifazat karna aur is ko bharkanay ki koshish karne ka tareeqa skhayin .
Taakay usay arzi se abdi haqeeqat taq le ja saken. Molana Sheikh ( q ) bayan karte hain ke daaim lafz bohat khobsorat hai. Daaim woh hain jo abdi hain, kyunkay woh roshan hain. Ke aap ny apni daimi roshni aur abdi haqeeqat haasil kar li. Insha Allah .
Sawal : Sayedi, hum –apne" saat naam" samjhna kaisay shuru karen. Hum un ke baarey mein kaisay jaan satke hain? Aur kya yeh muraqba ke douran maloom ho jayen ge ?
| Sheikh Sayed Nurjan Mirahmidi Naqshbandi ( q ) |
saat naamon ko samjhna, yeh ziyada ahem hai ke jis ny –apne nafs ko pehchan liya, uss ny –apne rab ko pehchan liya . Hadees mubarikah " jis naay –apne nafs ko pehchan liya, uss naay –apne rab ko pehchan liya "
Nabi kareem hazrat Mohammad ﷺ)
yani, khud ko jan-nay ka yeh amal aik safar hai. Chunancha jab mein apni taraf nigah karta hon, aur is hadees mubarikah ki geherai jo syedna Mohammad ﷺ) bayan farma rahay they woh yeh hai ke' apko apna rab talaash karne ke liye marnay ki zaroorat nahi hai, –apne rab aur Usko jo is poori kaayenaat ko chalata hai, ussay talaash karne ke liye apko jismani tor par marnay ki zaroorat nahi hai. Aap ka safar bahar ki bajaye andar jhanknay se shuru hota hai. Aur sab se mushkil safar batin ka safar hai. To hum naay abhi usay muraqba ( ke sawal mein ) mein bayan kiya hai aur hum naay usay abhi roshni mein bayan kya hai, bas yahi hai. Kya aap samajh gaye hain ke –apne noor ko kaisay parwan charhaya jaye, kya aap samajh gaye hain ke aap ki roshni ki ghiza kya hai, kya aap yeh samajte hain ke woh kon se kkhuda hain jo aap par hukmarani kar rahay hain jo is roshni ko tabah karne ki koshish kar rahay hain? Theek hai ?
Sharaab, cigrette noshi, gussa. Woh jin par gussa qaabiz hai, yeh kufar hai. Har baar jab unhon naay ghusse aur gazabb ko qaabiz honay diya to yeh is roshni par anay walay toofaan ki manind hai jo usay bujhanay ki koshish kar raha hai kyunkay aik hi lamhay mein aap kisi ko nuqsaan pouncha satke hain, khud ko nuqsaan pouncha satke hain aur aisa kaam kar saktay hain jis se poori roshni aur imaan daur hojata hai. Woh mom batii bujh jaye gi [ Sheikh naay shama bujha di ]. Aur woh shakhs barbaad ho jata hai, abdi haalat mein nahi rehta .
Is liye sab se pehla kaam, mujhe un tamam khudaon ko janna hai jo mujh par aur mere kirdaar par hukmarani karte hain, ke mein un sab se ho kar ikhlaas aur mukhlasi ki taraf jata hon jis mein mujhe Allah ( azzwajal ) ki taraf se aik mukhlis bandah ban'nay ki tofeq millti hai. Aur mere khuloos ( ki kefiyat ) mein, Allah ( azzwajal ) mujh par parda uthanay lagta hai ke mein kon hon. Aur mere is dunyawi naam ka ( asal ) naam kya hai, uska ma-ani kya hai, uski haqeeqat kiya hai. Aur mere saat janaton mein saat naam hain .
Aur woh naam kya hain ؛ aur uss naam se mujhe kya madad millti hai ؛ aur kaisay woh naam, is duniya mein mere safar aur aasmaanon ke haqayiq taq jaaney walay safar mein madad karte hain. Bohat gehri, yeh aik bohat gehri haqeeqat hai. Hamein tamam buraiyon aur kharabion ko fatah karna hai .
Sawal : Sayedi, chunkay hamari zindagi mein mushkilaat Maqdoor ( pehlay se likhi hui ) hoti hain, lehaza hamari zindagi mein
Mein un mushkil challengon aur mushkilaat se mustafeed honay ka behtareen adab konsa hai ?
| Sheikh Sayed Nurjan Mirahmidi Naqshbandi ( q ) |
mushkilaat se nimatnay ka behtareen adab ( andaaz ) khud ko yeh batana hai ke yeh pehlay hi likha ja chuka hai. Aur yeh ke' ya rabbi kya mein ney sahih intikhab kya, aur kya mein ney sahih kirdaar ( zahir kya ).' aur yeh is lyie ke agar woh shakhs ahal tafakur ( ghor-o-fikar karne walon mein se hai ), to woh har cheez par ghhor karte hain. Jab bhi azmaish aati hai to woh ghhor o fikar karte hain,' kya yeh kharab kirdaar ka nateeja tha ya yeh Allah ( azzwajal ) darjaat barhana Chahta tha ?' aap ko pata hai ke aap naay rukh mourra aur aap ghalat muhallay mein daakhil ho gaye, aap ko bohat mushkil paish aaye gi. To kya mein naay ghalat intikhab kya aur is lyie mushkil paish aa rahi hai ?' phir mujhe abhi bhi apni salawat mein izafah karna hoga, apni mashqon ko barhana hoga, –apne ghusse par qaboo rakhna ho ga, apni buri aadato ko behtar banana hoga, apna muraqba karna hoga aur usay behtar banana ho ga taakay mera talluq sahih ho jaye. Agar mein har woh kaam kar raha hon jis ko mein acha samjhta hon, kyunkay har aik apna hisaab kitaab karta hai ,
, isi wajah se har raat aik muhasba ( karna hota ) hai .
Agar koi mushkil paish aati hai aur ( aap kehte hain )' oh haan Sheikh sab kuch acha hai,' lekin aap yeh nahi kehte ke aap naay guzashta haftay kaisay khofnaak larai ladi thi. Aap chikhe aur chalaye aur har terhan ki ( buri ) cheeze ( ki ). Yaqeenan phir mushkil aap ke rastay par aeye gi. Aur hum kehte hain :' nahi, apni zaat ke sachey aur pur khuloos idraak ( muhasba ) mein, mein dua karta hon ke Allah ( azzwajal ) mujh se khush rahay. Mein naay apni poori koshish ki, mein naay –apne zikar kiye, kabhi kabhar mere oopar neechay ho janey par , Insha Allah koi harj nahi. Lekin yeh to bas aik azmaish hai jo Allah ( azzwajal ) bhejta hai taakay mein sabr karoon. Aur meri sabr ki tarbiyat mein yeh tha ke mujhe kisi cheez ki tawaqqa nah ho, aur mein har cheez se khush rahon.' jaisay hi aap logon se yeh tawaqqa karte hain ke woh aap ko aik khaas waqt par cal karen ge, log aap ke liye aik makhsoos kaam karen ge, aik makhsoos tohfa den ge, aik makhsoos cheez karen ge, shetan is se tawaqqa se khailay ga. Aap tawaqqa karte hain' ke mein yeh karoon ga aur Allah ( azzwajal ) ki taraf se kuch khul jaye ga. Mein yeh karoon ga aur is shakhs se
Kuch khul jaye ga '. Apni zindagi mein sab tawaquaat, sab khatam kar dein. Agar hum un tawaquaat ko mita den to, jo kuch bhi aaye ga hum is se bohat khush hon ge.' mujhe kisi tohfay ki tawaqqa nahi hai, mujhe kisi cheez ki tawaqqa nahi hai, oh, masha allah, dekho kuch hwa hai.' lekin jaisay hi aap ki tawaqqa qaim hoti hai, ( jaisay ) hum ny pehlay kaha ke bachay kisi tohfay ki tawaqqa rakhtay hain aur aap kitaab ke sath ajayeen, to woh aap se larhin ge.' yeh kya hai? Baba kya hwa? Yeh aisa nahi hona chahiye tha.' aur Allah ( azzwajal ) farma raha hai ke' kya aap yeh kirdaar dekh rahay hain, mein apko kaisay kuch day sakta hon jabkay aap jo cheez maang rahay hain woh uss ke muqablay mein bilkul fuzool hai jo mein apko dena chahta hon. Aur agar mein yeh aap ko deta to yeh aap ko bohat ziyada nuqsaan pohnchaye gi '. Kyunkay woh mat mangeen jo aap ko nuqsaan day ga .
Aur ziyada tar log bohat ziyada uss cheez ki talabb karte hain jo un ko nuqsaan pohnchaye, khaas kar ke paisa. Ziyada tar logon ko agar paisa day diya jaye to woh, unhen yakeeni tor par nuqsaan pohnchaye ga. Woh khud ko zikar aur mashq, koi amal nah karta hwa aur har haraam kaam karta hwa payen payen ge. To phir hamari zindagi ka maqsad yeh samjhna hai ke kuch nah manga jaye, har cheez se khush raha jaye. Sabr ki zindagi guzaraian, aur yeh ke Allah ( azzwajal ) behtar jaanta hai. Aur agar hum buray kaam karte hain aur woh kaam karte hain jinhein Allah ( azzwajal ) pasand nahi karta, dosray logon ko nuqsaan pohanchate hain, chikhte hain aur chillatay hain, lartay hain, jhagarte hain, to un sab ke nataij hain. Aur isi wajah se astaghfar hai. Aur yahi wajah hai ke jo log astaghfar karte hain, woh zaroorat se ziyada miqdaar mein astaghfar karte hain. Yeh salawat parhnay se mukhtalif hai . Astaghfar yeh hai ke aap Allah ki mughfirat talabb kar rahay hain. Agar hathora kisi ki taraf ( maarny ke liye ) barh raha hai to, aap ko astaghfar karna parre ga. Yeh aik allag tajallii hai, aik allag haqeeqat hai. Kyunkay jab bhi aap astaghfar kar rahay hain to aap kehte hain : ya rabbi" Astaghfirullah hil Azeem ", Azmat alazim — aap ki sift alazim ka vaastaa, aap se maffi maang raha hon.' aur Allah ( azzwajal ) ki taraf se Insha Allah jawab ( aata hai )" bismillah hir rahman nir raheem ". Ke woh bande ko" bismillah hir rahman nir raheem " ke raaz se malbos karta hai ,
Yeh rooh par aik allag terhan ka libaas hai. Aur aap –apne liye astaghfar karte hain aur phir –apne bachon ke liye astaghfar karte hain kyunkay woh astaghfar nahi kar rahay aur aap nahi jantay ke woh band darwazon ke peechay kya kar rahay hain aur doston ke sath kya baat kar rahay hain aur kya kar hain. Lehaza hum un ke liye astaghfar karte hain khaas kar ke agar woh barray ho rahay hain. Aap –apne bachon ko nahi daikthay aur ( nah hi yeh ke ) woh kya karte hain . Lehaza aap un ke liye astaghfar karte hain aur Aolia Allah ki tarbiyat is terhan ki gayi thi ke woh is qader astaghfar karte ke yeh un ki community ke liye bhi hota' ' ya rabbi unhen maaf kar dijiye kyunkay woh nahi jantay ke woh kya karte hain.' ' Syedna Esa aleh salam ( dua ) mangte rahay, Allah ( azzwajal ) ney farmaya :' mein un ko saza dun ga, woh shirk karte hain. Aur woh aap ko Allah kehte hain. Kya aap ney un se yeh kaha tha? Allah ( azzwajal ) kitna naraaz tha. Kya aap ney unhen yeh kehnay ko kaha tha? ' ( hazrat Esa aleh salam farmatay hain )' ya rabbi, astaghfirullah, aap jantay hain jo kuch mein neh unhen kaha, jab mein un ke darmain tha. Aur ab jabkay mein un ke sath nahi hon to ya rabbi un ko maaf farma dijiye. Woh aap ki makhlooq hain. Aap unko khatam karna mita dena chahtay ho. Lekin woh aap ki makhlooq hain ya rabbi, tauba ( mein tauba karta hon ) '. To hatta ke syedna Esa ( aleh salam ) bhi apni qoum ke liye astaghfar kar rahay they. Nabi kareem ﷺ) apni qoum ke liye astaghfar kar rahay hain. Aur phir yeh Muhammadan haqayiq ( haqeeqat Al Muhammadia ﷺ) hamein sikha rahi hai, astaghfar karo. Logon se maffi mango. Aur phir is mughfirat ke liye aap ko Allah ( azzwajal ) se maffi maangni hogi.' aur woh jo shetan ki sab se barri chaal se ghaafil hain ke woh aap ko tauba nah karne ki targheeb deta hai.' oh tum itnay achay ho, tum bohat achay ho, tumhe tauba karne ki kya zaroorat? Kyunkay uss ne is ( tauba ) par aik tala lagaya, kyun ke is ( tauba ) ki apni tajallii hai aur is ki apni haqeeqat hai. Jab aap maffi mangte hain to Allah ( azzwajal ) farmata hai :' mujh se mango aur mein aap ko maaf kar deta hon .
' aur –apne tamam azeezon aur apni poori community ke liye ( mango ), aur yahi safai, safai sthrayi, aur safai hai. Lehaza, jab aap najas hon ( napak / ganday ) ho to aap apna khobsorat libaas nahi pehantay. Theek hai, lehaza aap kehte hain :' mere paas aik khobsorat suit hai' aap janub ( napak ) aur najas hain aur kehte hain ke' mein yeh suit pehnoon ga.' nahi, to aap pehlay kya karen ge? Aap nahain ge, aap saaf hotay hain! Nahana astaghfar tha, dhulna, dhulna, dhulna. Phir aap salawat Nabi ﷺ) se khud ko khobsorat banatay hain .
Ke mein Nabi ﷺ) se mangte hue bhi sharminda hon ', mein ney abhi apna astaghfar nahi kya hai. Mein Rasool Allah ﷺ) ki rohanyat ko kis terhan laane ja raha hon jabkay yeh gunah mujh par hain, mere bachon aur pyaron ke gunah mujh par hain, meri baradri ke gunah mujh par hain? Mein is gandagi ke sath syedna Mohammad ﷺ) ki mojoodgi mein jaoon ga, aur is gandagi ko Rasool Allah ki haqeeqat par daloon ga? Ya phir baith kar khud ko saaf karne, dhoney, saaf karne dhoney mein masroof karoon ga,' ya rabbi mein mazeed nahi kar sakta, mujhe maaf kardey ,
'' ( aik aisay ghulam ki tauba jis naay khud par zulm kar rakha hai ). '
aur yahi wajah hai ke Fajar mein (The Muhammadan way ) app mein yeh sab se barri Sultan al tauba hai, Sultan al salwat aur Sultan al astaghfar hai, kyun hai? tazkiya ke liye. Lehaza ( ab ) sab kuch saaf suthra hai aur ab mein syedna Mohammad ﷺ) par apni salawat ( duroood shareef ) paish karne ke liye tayyar hon. Is ehtram aur izzat ke sath ke woh roshni InshaAllah hamari roohon ko malbous kere gi, hamari roohon ko barket ataa kar gi, taakay Nabi kareem ﷺ ki rohaniyat hum se jari rahay, hamein dhaanp le aur barket ataa fermae.
Subhana rabbika rabbal ‘izzati ‘amma yasifoon, wa salaamun ‘alal mursaleen, walhamdulillahi rabbil ‘aalameen. Bi hurmati Muhammad al-Mustafa wa bi siri Surat al-Fatiha.
یہ بیان فیس بک کے اس لنک پر دیکھا جا سکتا ہے۔
Link to watch this Suhbah:
https://web.facebook.com/watch/?v=607763626516918
یہ مضمون انگلش میں پڑھنے کیلئے
Read English Transcript:
https://facebook.com/1621830444573407/posts/3204391762983926/?d=n
یو ٹیوب چینل ابھی سبسکرایب کیجئے۔
Subscribe Now: The Muhammadan Way Sufi Realities
https://www.youtube.com/channel/UC4E8QX7OgwYDgyuuXTBMrcg
شیخ سید نور جان میر احمدی نقشبندی (ق) کا آفشیل فیس بک پیج لائک کیجئے
Official Page: Shaykh Nurjan Mirahmadi
Please Like and Share
https://facebook.com/shaykhnurjanmirahmadi/
مضامین کے اُردو ترجمہ پڑھنے کیلئے
Read His Articles Translated in Urdu
https://nurmuhammad.com/category/urdu/
( Original Date of Sohba: 17 JUNE 2020)