
Urdu – شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق) کی سنہری تعلیمات سے اقتباس۔ بِسْمِ اللَّـهِ…
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق) کی سنہری تعلیمات سے اقتباس۔
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
اَلَّھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ وَعَلَی آلِ سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ
🌹تفکر اور مراقبہ کے بارے میں سوالات🌹
غضب اور غصہ کو کس طرح کم کیا جائے؟ اولیاء اللہ رسول اللہ (ﷺ) کی عکاسی کرتے ہیں۔ تجویز کردہ نُسخے سے زیادہ تلاوت کرنے کے خطرات۔🌹
آعوذو باللہ من الشیطن الرجیم بسم اللہ الرحمن الرحیم۔
اللہ عزوجل کی اطاعت کرو ، رسول (ﷺ) کی اطاعت کرو ، اور جو تم میں اختیار رکھنے والے ہیں ان کی بھی…(القرآن 4:59)
اور میری ذات کیلئے ہمیشہ ایک یاددہانی کہ میں ایک ضعیف و مسکین و ظالم و جاہل بندہ ہوں اور یہ محض اللہ (عزوجل) کا احسان ہے کہ ہم ابھی بھی زندہ ہیں۔ اللہ عزوجل کی رحمت اور کرم ہم پر قائم رہے انشاءاللہ۔ اور انشاء اللہ (ہم اب) تفکر اور غور و فکر کے بارے میں بات کریں گے۔ “رابطہ” کو کیسے برقرار رکھنا ہے ، ہم اس کی اہمیت کے بارے میں شروع میں ہی بات کر چکے ہیں اور یہ کہ اللہ عزوجل نے تمام حالات کو کس طرح ٹھیک ٹھیک بنایا ہے تاکہ اب پوری دنیا کو بیداری کے لئے اور ہر کسی کو ان ٹُولز (آلات) کے ساتھ جو اللہ عزوجل نے انہیں عطا کئے ہیں، متحرک کیا جائے۔ انشاء اللہ۔
کیا ہمارے پاس آج رات کے لئے کوئی سوالات ہیں؟
🌹سوال: کوئی آپ کی سابقہ گفتگو سے متعلق پوچھ رہا ہے، کیا کوئی خاص ذکر ہے جو اس وقت کیا جاسکے جب آپ کو پتہ ہو کہ آپ غصے میں ہیں؟ اور کسی اور شخص نے یہ بھی پوچھا ہے کہ جب ہمارے غصے کی ہمارے گھر والوں اور اجنبی افراد کے ذریعہ آزمائش کی جائے (اس وقت کونسا ذکر کرنا چاہئے؟)
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): ہاں ، پھر سے پانی کی طاقت اور تمام ٹُولز اکٹھے سامنے آتے ہیں۔ ہم خاموشی کا راستہ اختیار کریں۔ لہذا اگر آپ کو یا ہمیں معلوم ہے کہ ہمیں غصہ آتا ہے تو اپنی جیب میں لالی پاپ (lollipop ) رکھیں ، کیونکہ یہ ایک لمحے کی بات ہے اس سے پہلے کہ اللہ عزوجل آپ کو آزمائے۔ جیسے ہی آپ کو محسوس ہوتا ہے کہ میں کچھ بول پڑوں گا اور آپ کچھ کہنے لگیں تو لالی پاپ باہر نکالیں اور اسے اپنے منہ میں ڈال دیں۔ اگر آپ کو یہ لگتا ہے کہ آپ غصے کی قوت سے مغلوب ہو رہے ہیں تو پھر وضو کریں ، دھو لیں ، اپنی نماز کی دو رکعتیں ، صلوٰةالوضو ادا کریں اور دعا کریں کہ اللہ (عزوجل) آپ کی توانائی کو محفوظ کردے، باہر آئیں۔ یا ربی اس (غصے کی) آگ کو ٹھنڈا اور پُرامن بنا دے۔
قُلْنَا يَا نَارُ كُونِي بَرْدًا وَسَلَامًا عَلَىٰ إِبْرَاهِيمَ
“ہم نے کہا ،” اے آگ ، ابراہیم علیہ السلام پر ٹھنڈی اور پر امن ہوجا۔ ” (سورت الانبیاء: 69)
اور پانی کی طاقت اور اس بات کی سمجھ بوجھ کہ کیسے خود پر پانی ڈالنا ہے جب اپنے اوپر شیطان کا غصہ غالب آنے لگے۔ اور اپنی نماز کے بعد منہ پر قابو پانے کے لئے اپنے منہ میں دوبارہ سے لالی پاپ ڈال لیں۔ آپ زیادہ سے زیادہ جان بوجھ کر اس پر قابو پانے کی کوشش کرتے رہیں اور یہ نہ کہیں کہ “اوہ یہ دوبارہ سامنے آگیا۔” ہاں یقینا یہ سامنے آنے ہی والا ہے۔ ایک بار جب یہ سامنے آجائے تو یہ پہلے ہی ختم ہوچکا کہ آپ اس امتحان میں پہلے ہی ناکام ہو گئے۔ اس کو آنے سے پہلے روکنے کی اہمیت ہے اور کیسے لالی پاپ رکھیں، کیسے پہچانیں کہ میں ٹھیک نہیں محسوس کر رہا، مجھے وضو کرنے جانا ہوگا، جب آپ کو معلوم ہوگا کہ تصادم ہونے والا ہے تو کس طرح سے تصادم سے بچا جائے جب آپ محض معاملے کو سلجھانا چاہتے ہوں؟ مسئلے کو حل کرنا اتنا زیادہ اہم نہیں ہے کہ جب آپ جانتے ہو کہ آپ اس مسئلے کو حل کرنے کی کوشش کر رہے ہیں۔ آپ کو اپنے رب سے زیادہ خوفزدہ ہونا چاہئے کہ مجھے آپ کے مسئلے کے بارے میں یا اس کے حل کے بارے میں نہیں معلوم لیکن میں اپنی قبر کے بارے میں فکرمند ہوں۔ اور ہر بار جب میں آپ کے ساتھ معاملہ کر رہا ہوں تو یہ جنگ کی طرح ہوجاتا ہے۔ اس سے کچھ حل نہیں ہوتا، اور اس سے اللہ (عزوجل) ناراض ہوجاتا ہے۔ لہذا ، لوگوں کو لگتا ہے کہ آپ میں (معاملے سے) بھاگ جانے کا رجحان ہے۔ نہیں یہ بھاگنا نہیں ہے یہ تو دراصل رسول اللہ (ص) کی سنت کی ہے۔ اگر کچھ غلط ہے اور وہ شیطانی بننے جارہا ہے تو نبی پاک (ص) اس سے دور چلے جاتے۔ اگر کسی کے کردار پر غصہ ظاہر ہوتا ہے تو وہ (ص) شیطان کی موجودگی میں نہیں رہ سکتے اب شیطان ان لوگوں کے غصے کے ذریعے آ رہا ہے۔ لہٰذا وہ بیٹھ کر بات کرنے اور بحث و مباحثہ کرنے اور کسی ایسی صورتحال پر تبادلہ خیال کرنے نہیں بیٹھ جاتے۔ کیونکہ وہ جانتے ہیں کہ وہ اس شخص کے ساتھ معاملہ نہیں کر رہے ، وہ شیطان کے ساتھ معاملہ کر رہے ہیں۔ لہذا ، آپ کو شیطان سے دور جانا ہوگا، آپ بس دور ہو جائیں اور جب شیطان (اُس شخص کو) چھوڑ دے (یعنی اس شخص کا غصہ ختم ہوجائے) تو آپ معاملہ اس وقت سُلجھا لیں۔ لیکن لوگ اصرار کرتے ہیں، وہ اصرار کرنا چاہتے ہیں کہ وہ اس مسئلے کو (اسی وقت) حل کرنا چاہتے ہیں ، وہ (اسی وقت) بات کرنا چاہتے ہیں۔ وہ کہتے ہیں کہ نہیں ، نہیں ، یہ اہم نہیں ہے۔ بلکہ یہ میری جگہ اور میری قبر کے بارے میں زیادہ ہے۔ اگر میں اس امتحان میں ناکام ہوتا رہتا ہوں تو اللہ (عزوجل) کا غصہ بندے پر پڑنا شروع ہوجاتا ہے۔
🌹سوال: کسی نے پوچھا ، یا سیدی اگر آپ مراقبہ کے مبتدی (beginner) ہیں تو کہاں سے آغاز کریں؟
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): آغاز سے! (ہنسی) ہمارے پاس ویب سائٹس پر سب کچھ موجود ہے۔ اپ کو اُن ویڈیوز کو دیکھنا چاہئے کہ (جن میں بتایا گیا ہے کہ) تفکر کیسے کرنا ہے ، مراقبہ کس طرح کرنا ہے اور پھر خود کو الگ تھلگ کرنے کے آسان سے مراحل ، کوئی درودوسلام چلائیں اور سانس لینے اور ہوش میں رہنے اور اپنا ذکر کرنے کی کوشش کرنا۔ یہ تصور کریں کہ آپ مقدس کعبہ کے سامنے ہیں اور آپ اپنا ذکر کرنے جا رہے ہیں اور اللہ (عزوجل) آپ کو آراستہ کرے اور آپ کو برکت عطا کرے اور پھر یہ زیادہ سے زیادہ مراحل میں داخل ہوتا رہتا ہے۔ ہمارے پاس مراقبہ پر تمام طرح کی مختلف ویڈیوز اور پلے لسٹ موجود ہیں لہذا ، آپ مراقبہ کی پلے لسٹ میں جائیں۔ ویب سائٹ ، نورمحمد ویب سائیٹ (www.nurmuhammad.com) پر بھی مراقبہ اور توانائی کے بارے میں ایک سیکشن موجود ہے اور رابطہ اور مدد کو کیسے قائم کیا جائے۔ سب کچھ ، سب کچھ وہاں موجود ہے ، انشاء اللہ۔
🌹سوال: مراقبہ کے بارے میں نہیں ہے۔ کوئی پوچھتا ہے کہ کیا ہم اپنے روزانہ کے ذکر یا مراقبہ میں جگہ ، جائے نماز یا تسبیح کو تبدیل کرسکتے ہیں؟
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): کیا ہم اسے تبدیل کرسکتے ہیں؟ بالکل، جہاں آپ کو لگتا ہے کہ زیادہ توانائی موجود ہے یا وہاں (عبادت کرنا) زیادہ آسان سمجھتے ہیں، آپ اسے تبدیل کرسکتے ہیں۔ ایک ایسی جگہ جس کو آپ مقام کی طرح بنا سکتے ہوں اور جس کو آپ مقدس بنا سکتے ہیں ، کوئی پاک جگہ۔ اور بہت ساری پاک شخصیات وہاں نماز پڑھنے کیلئے آنے لگیں گی، اسے ایک مقدس مقام بنانے کے لئے۔ جب تک کہ آپ اسے مرتب کئے رکھیں گے، وہ آئیں گے۔ اظہار کیا ہے؟ اسے بنائیں اور وہ آئیں گے… ہاں بالکل۔ لہذا ، اگر آپ اچھی شخصیات کے لئے اچھا کام کرتے ہیں تو ، اللہ (عزوجل) ان نیک شخصیات کو وہاں نماز پڑھنے کی ترغیب دے گا۔ تاکہ اس بندے کی حفاظت اور مدد کی جاسکے۔
🌹سوال: السلام و علیکم۔ مدد مانگنے کے بعد بھی سرگوشیاں جاری رہتی ہیں۔ سرگوشیوں میں اور الہام میں فرق کیسے کریں؟
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): اوہ ہاں، وسوسوے کبھی ختم نہیں ہوتے۔ یہ سرگوشی کا اسٹیشن ہمیشہ سرگوشیاں کرتا رہتا ہے۔ تو ، اس کے خلاف کوئی تحفظ نہیں ہے۔ ہم اللہ (عزوجل) کی پناہ مانگتے ہیں اور سیدنا محمد (ص) پر درودوسلام بھیجتے رہتے ہیں تاکہ اس روشنی کو اور اس حفاظت کو حاصل کیا جاسکے۔ سرگوشی ہوگی، تب وہ (اولیاءاللہ) آپ کو تربیت دیتے ہیں کہ کیا سنا جائے؟ اس کا مطلب یہ ہے کہ اس ساری تربیت میں الہام کے لئے (یہ بات ذہن میں رکھیں کہ) اُن الہامات کی پیروی کریں جن کا تعلق عبادت کے ساتھ ہے کہ مثلاً مجھے زیادہ نماز ادا کرنی چاہئے۔ مجھے اپنی صلوات ادا کرنی چاہیئے ، میں بیٹھ کر اپنا قرآن پڑھنا شروع کروں ، دلائل الخیرات پڑھوں۔ یہ ساری چیزیں جو عبادت کے حوالہ سے ہیں ، وہ الہام ہوسکتی ہیں۔ کوئی بھی الہام جس کا تعلق کسی فرد سے ہے ہم اس کو اچھا نہیں مانتے اور اسے نفسانی مانیں گے کہ جس میں شیطان آپ سے کسی شخص سے بات کرنے کے لئے کہہ رہا ہے۔ صرف ایک ہی فرد جس کے بارے میں مجھے پریشان ہونا چاہئے وہ میں خود ہوں۔ لہٰذا صرف ایک ہی الہامی بات ہے کہ میں اپنی عبادت میں خود پر کس طرح سختی کر سکتا ہوں۔ کچھ بھی جو ایک شخص کو سرگوشی کی آواز میں آرہا ہے، (مثلاً) فلاں شخص کو بتائیں کہ وہ کوئی غلط کام کررہا ہے، اس کو یہ بتائیں وہ بتائیں وغیرہ وغیرہ۔ یہ شیطان کی جانب سے ہے اور اس سے آپ کو پریشانی کا سامنا کرنا پڑتا ہے اور یہ بہت سے روحانی لوگوں کیلئے ایک بڑا خسارہ ہے۔ ان کا خیال ہے کہ انہیں سب کو نصیحت کرنی چاہئے لیکن جبکہ وہ خود نصیحت پر عمل نہیں کرتے۔ اور پھر وہ منافقت کے ایسے سمندر میں داخل ہو جاتے ہیں جو اللہ عزوجل کا بندے کو سزا دینے کے لئے بہت خطرناک سمندر ہے۔ کیونکہ آپ لوگوں کو اس کی طرف بلا رہے ہیں جو آپ خود نہیں کرتے۔ لہذا ، اس سے بچنے کے لئے کہ میں صرف لوگوں کو ہی بھلائی کی طرف بلاتا ہوں، مجھے صرف اپنے بارے میں فکر مند ہونا چاہئیے اور اپنی ذات پر اور اپنی مشقوں پر سختی کرنی چاہئے۔ الحمد اللہ۔ آپ اپنی مرضی کے مطابق کرنے میں آزاد ہیں۔ جب تک کہ آپ اپنے مرشد کے حکم کے تحت نہ ہوں کہ برائے مہربانی اس شخص کو یہ بتائیں یا اس کے لئے یہ اصول بتائیں۔
🌹 سوال: سیدی، ، کہا جاتا ہے کہ مرشد کی نظر اور رابطے کی طاقت مرید کو زمیں پر لا سکتی ہے ، کیا یہ ایسی حالت ہے جو روح کی طاقت کو باہر لانے میں مدد کرے؟
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): ہاں ، انتظار کریں (ہنستے ہوئے)۔ ہاں، اولیاء اللہ کی نظر، یہ ایک ہلکی سی ہوا کی مانند ہے۔ اور بہتر ہے کہ ہم اللہ (عزوجل) اور سیدنا محمد (ص) کے حوالے سے بات کریں – کہ جب نبی پاک (ص) کی نگاہ اولیاء اللہ کے ذریعہ ہماری زندگی میں آتی ہے تو ، اولیا اللہ فرماتے ہیں کہ 3 بار دن میں وہ ہماری زندگیوں پر نظر ڈالتے ہیں۔ جب ان کی وہ نظر آتی ہیں تو یہ جلالی ہوتی ہے ، جمالی نہیں۔ لہذا ، جب کوئی یہ کہتا ہے کہ اوہ یہ بہت خوبصورت ہے، ہوا کی مانند، جیسے سب پرندے آرہے ہوں۔ نہیں ، یہ وہ نہیں ہے جس کے بارے میں وہ بات کرتے ہیں۔ نبی پاک (ص) کے حکم سے نظر آتی ہے تو اولیا اللہ ان کی تجلی کے ساتھ دیکھتے ہیں ، یہ جلالی ہوجاتی ہے۔ ایسا عموماً تب ہوتا ہے کہ جب توانائی ٹکراتی ہے اور آپ پھٹ پڑتے ہیں۔ آپ کسی طرح کا رد عمل دے رہے ہوتے ہیں جلال اور طاقت کے سبب۔ جب کسی علاقے میں طاقت کی انرجی داخل ہوتی ہے تو وہ ہر طرح کے باطل پر حملہ کرنا شروع کردیتی ہے۔ لہذا ، عام طور پر یہ اس وقت ہوتا ہے جب ہم چیخنا چلانا اور چیخ و پکار کررہے ہوتے ہیں اور ناراض ہوتے اور بحث کر رہے ہوتے ہیں۔ ایسا تب ہوتا ہے جب وہ (اولیاءاللہ) دیکھ رہے ہوتے ہیں اور یہی وجہ ہے کہ تعلیم دی جاتی ہے کہ دور چلے جائیں۔ دھوئیں ، جاکر خود کو دھو لیں وضو کرلیں ، چلے جائیں کیونکہ یہ صرف آپ کی قبر ہونی چاہئیے جس کی آپ کو فکر کرنی ہے ، کسی اور کی نہیں۔ اور آپ اپنی تربیت حاصل کریں، آپ چپ رہیں، آپ چلے جائیں، آپ وضو کرنے جائیں کیونکہ (آپ کو یہ إحساس ہونا چاہئیے کہ) میرے شیخ اب مجھے دیکھ رہے ہیں اور دوسرا شخص چیخنا اور چلانا چاہتا ہے اور ہر کام کرنا چاہتا ہے ، تو شیخ انہیں بھی دیکھ رہے ہوتے ہیں اور انکو نشان زدہ کردیا جاتا ہے (کہ ان کا کردار اچھا نہیں ہے)۔ لہذا ، یہ نظر کے سلسلے میں اہم بات ہے اور ہمیشہ یہ سوچنا کہ جب میں مراقبہ اور تفکر کر رہا ہوتا ہوں تو میں شیخ کی روشنی کو حاصل کر رہا ہوں کہ میرے ساتھ رہے اور میرے پاس موجود رہے۔ اتَّقُوا اللّهَ وَكُونُوا مَعَ الصَّادِقِينَ، اللہ (عزوجل) کا شعور رکھو اور تقوی اختیار کئے رکھو۔ اور تقوی درحقیقت آپ سب کے 5 حواس کا کھُلنا ہے اور سچے بندوں کے ساتھ رہیں اور اللہ (عزوجل) دُنیا کی پرواہ نہیں کرتا ہے۔
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللّهَ وَكُونُوا مَعَ الصَّادِقِينَ
“اے ایمان والو! اللہ عزوجل کا شعور رکھو اور ان لوگوں کے ساتھ رہو جو سچے / متقی (الفاظ اور عمل میں) ہیں۔” (سورہ توبہ: 119)
لہذا ، اس کا مطلب یہ ہے کہ ہماری روشنی کی دنیا میں ہمیں ہمیشہ ان کے ساتھ رہنا چاہئے۔ لہذا ، یہ ایسی چیز نہیں ہے جو ہم صرف ایک بار کریں کہ ان سے ملنے جائیں بلکہ یہ مراقبہ کا پورا تصور ہے۔ کہ ان کی روشنی کو اپنی زندگی میں لانا ہے اور ہمیشہ اسی روشنی کے ساتھ رہنا ہے اور پچھلی چند راتوں کے خطابات میں ہم نے کہا ہے کہ “ہمیں اللہ (عزوجل) مل گیا” اور اب ہر چیز حقیقت کی عکاسی کرتی ہے۔ جب اللہ (عزوجل) کو ڈھونڈنا چاہا تو ہم اسلام میں تلاش کر رہے تھے اور ہم لا الہ الا اللہ تک پہنچے ، اللہ سبحانہ وتعالی کے سوا سب کچھ چھوڑ دو اور اللہ (عزوجل) کا ذکر کرو اور اس سفر میں اللہ عزوجل کی محبت کے لئے، اللہ (عزوجل) نے ہمیں سیدینا محمد (ص) سے متعارف کرایا اور ہمارے دلوں میں “محمداً رسول اللہ ﷺ” ڈال دیا۔ جب اللہ عزوجل بندے سے محبت کرتا ہے اور اس بندے کی رہنمائی کرتا ہے تو وہ اس کے دل میں اس کی محبت ڈالتا ہے جہاں سے وہ ہے۔ جیسے “وہ چھپا ہوا ہے اور جاؤ اسے ڈھونڈو۔ میں یہاں ہوں” ، وہ دو دل نہیں چاہتا “ 💕 کہ آپ (اللہ عزوجل کو) یہاں سے چاند تک ڈھونڈنے لگیں۔ اللہ (عزوجل) ہمارے دلوں کے اندر ترغیب دیتا رہتا ہے کہ “میں یہاں ہوں”۔ اور پھر ہم نبی پاک (ص) سے زیادہ سے زیادہ پیار کرنے لگتے ہیں اور یہ محسوس کرتے ہیں کہ اللہ (عزوجل) نبی کریم (ص) کی روح میں ایک پوشیدہ خزانہ ہے۔ اور اب وہ اس سے منعکس ہوتا ہے۔ کیونکہ اطیعواللہ و اطیعو الرسول واولی الامر منکم۔ تو اولی الامر، احباب اور عاشقین ہیں۔ اور سیدنا محمد (ص) کا راز بھی ہیں۔ جہاں نبی پاک (ص) فرما رہے ہیں ، “میں ایک خزانہ ہوں اور میں چاہتا ہوں کہ جانا جاؤں۔ کیا آپ نے ابھی تک مجھے حاصل کیا؟” لہذا ، جب آپ آکر کہتے ہیں کہ ہاں میں نبی پاک (ص) کو دیکھنا چاہتا ہوں ، میں نبی پاک (ص) کو دیکھنا چاہتا ہوں ، میں مدینہ جانا چاہتا ہوں ، میں یہ سب کام کرنا چاہتا ہوں۔ لیکن یہ پہلے قدم کی مانند ہے۔ جب کوئی یہ کہتا رہتا ہے کہ میں اللہ (عزوجل) کے ساتھ رہنا چاہتا ہوں ، میں اللہ (عزوجل) کا ذکر کرنا چاہتا ہوں ، میں اللہ (عزوجل) کو دیکھنا چاہتا ہوں ، میں یہ ساری چیزیں چاہتا ہوں۔ اللہ عزوجل نے پوچھا لیکن کیا تم نے مجھے دیکھا؟ جب آپ مجھ سے سوال کر رہے ہو تو آپ کو مجھے سیدینا محمد (ص) میں دیکھنا چاہئے تھا۔ اور عقلمند شخص کو احساس ہو جاتا ہے کہ ، “اوہ میرے خدا ، یا لطیف ، یارب! میں نے تجھے پا لیا۔” ان سب اظہار محبت اور خوبصورتی اور آنسو اور جذبات سے۔ یہی سیدنا محمد (ص) میں اللہ (عزوجل) کی روشنی ہے۔ تو ، پھر نبی ﷺ کے عکس میں بھی وہی سب کچھ ہے۔ جہاں نبی پاک (ص) آپ کے پاس تشریف لائیں اور فرمائیں کہ آپ بہت زیادہ تڑپ رہے ہیں ، آپ احباب میں سے ہیں ان لوگوں کی طرح شعلوں کی طرح- ہم نے بیان کیا ہے ، آپ سب پروانے ہیں جو ان تمام شعلوں کے گرد جمع ہو رہے ہیں۔ کیا تم مجھے (ص) ان میں نہیں دیکھتے ہو؟ نبی اکرم (ص) ہم سے باتیں کرتے ہوئے فرماتے ہیں کہ جو چیز انہیں آپ کے لئے خوبصورت بناتی ہے وہ میں (ص) ہوں۔ تم کیوں ان کی صحبت سے لطف اندوز ہوتے ہو؟ یہ میں (ص) ہوں۔ اس شخص کو کریڈٹ نہ دیں۔ یہ نبی پاک (ص) کا عکس ہے۔ یہی وجہ ہے کہ طریقہ تمام تر ادب کے بارے میں ہے۔ کہ جب تم کچھ دیتے ہو ، تو تم اسے نبی پاک (ص) کے ہاتھ میں دیتے ہو۔ جب آپ اپنی خدمت کر رہے ہیں تو ، آپ سیدنا محمد (ص) کے عاشقین کی خدمت کر رہے ہیں جو آپ کے لئے اس محبت کو ظاہر کررہے ہیں کہ آپ نبی پاک (ص) کو ان کے چہروں ، ان کے اعمال اور ان کے فیض سے ، ان کے اشاروں کے ذریعے اور ان کے مکمل اخلاق کے ذریعے دیکھ سکتے ہیں۔ کہ وہ آپ کے ساتھ کس طرح سلوک کرتے ہیں۔ حتٰی کہ ، کہ اگر آپ اچھے اور عقلمند اور مخلص ہیں تو آپ کو خواب آسکتا ہے جیسے آپ نبی پاک (ص) کے ساتھ کچھ کھا رہے ہوں۔ اور یہ ایک تاکید کی طرح ہوجاتا ہے کہ جب آپ اپنے مرشد کے ساتھ کھا رہے ہوتے ہیں تو نبی پاک (ص) فرماتے ہیں کہ “(بےشک) ہاں ، میں آپ کے ساتھ ہوں۔” جب آپ کھا رہے ہو تو میں (ص) آپ کے ساتھ ہوں۔ تم میرے ساتھ کھا رہے ہو۔ آپ میرے ساتھ نماز ادا کر رہے ہیں۔ تم میرے ساتھ روزہ دکھ رہے ہو۔ آپ میرے ہمراہ جدوجہد کر رہے ہیں۔ جس چیز کے باعث وہ (مرشد) آپ کے لئے پرکشش بنتے ہیں وہ ہے سیدنا محمد (ص) کی روشنی۔ یہ ان کی والدہ کی طرف سے (ملی ہوئی چیز) نہیں ہے۔ وہ شخص تو ایک طویل عرصہ پہلے فوت ہوگیا تھا۔ یہ شخص جس کی نمائندگی کرتا ہے اور یہ اولیااللہ جس کی نمائندگی کرتے ہیں وہ سیدنا محمد (ص) کی محبت ہے۔ نور الانوار ، وہاں نورِ محمدی (ص) موجود ہے جو ان سے بہہ رہا ہے۔ یہی چیز انسانوں کو راغب کرتی ہے۔ وہ سیدنا محمد (ص) کے باغ کے گلاب ہیں۔ اور پھر نبی پاک (ص) آپ سے پوچھیں گے کیا آپ مجھے نہیں دیکھتے؟ کیا تم مجھے محسوس نہیں کرتے؟ کیا آپ اس محبت کا اظہار محسوس نہیں کرتے؟ اور پھر وہ عقلمند لوگ جن کو اولیااللہ تک رسائی ملی وہ کہتے ہیں ،جی ہاں ، میں نے آپ (ص) کو پالیا اور جب آپ کو پا لیا تو میں نے ان ولی اللہ کے ساتھ ایسا سلوک روا رکھا کہ گویا یہ آپ (ص) ہی ہیں۔ اور یہی وجہ ہے کہ مشائخ کا کچھ برا کرنا بہت ہی بڑا گناہ ہے۔ حتٰی کہ کوئی ایسا شخص بھی جو ابھی شیخ بننے کی تربیت میں ہے۔ آپ سیدنا محمد (ص) کی طاقت اور روشنی کو غلط استعمال کررہے ہیں۔ جب یہ پیار آپ پر غالب آجاتا ہے اور آپ کے کانوں سے ، آپ کی آنکھوں سے اور آپ کی سانسوں سے اور آپ کی زبان سے ظاہر ہونے لگتا ہے تو لوگ آپ کو پسند کرنے لگتے ہیں، آپ کی طرف راغب ہونے لگتے ہیں ، تو آپ کی جانب کشش (magnetism) محسوس کرنے لگتے ہیں۔ اپ کی اپنی وجہ سے نہیں۔ آپ تو محض ایک آئینہ ہیں لیکن جو آپ کے ذریعے ظاہر ہوتا ہے(وہ اصل وجہ ہے) لہٰذا راستے سے ہٹ جائیں اور لوگوں کو اس عکس سے آراستہ ہونے دیں۔ اسے اپنے لئے ایک زیادتی کے طور پر نہ لیں۔ لہذا ، یہ ایک جیسا نہیں ہے ، عام آدمی کا گناہ ایک شیخ کے گناہ جیسا نہیں ہے۔ جہاں آپ صرف غلطیوں کو معاف کردیتے ہیں۔ نہیں ، وہ ایک حقیقتِ محمدی (ص) کی نمائندگی کررہے ہوتے ہیں اور اسی حقیقت کی بنیاد پر لوگ ان کی طرف راغب ہوتے اور محبت کرتے ہیں۔ انہیں بہت زیادہ اعلی معیار پر فائز کیا گیا ہے اور اللہ عزوجل کی طرف سے ان کے گناہوں کی سزا بہت زیادہ سخت ہے۔ لہذا ، یہ ان لوگوں کے لئے ذمہ داری ہے جنہوں نے یہ راستہ اختیار کیا کہ یہ روشنی آرہی ہے ، یہ محبت جو نصیب ہو رہی ہے، آسان نہیں ہے۔ محض استغفار اور معافی (کافی) نہیں ہے ، اللہ عزوجل سخت سزا دینے والا ہے۔ یہ ایک ذمہ داری ہے کہ یہ نور المحمدی ﷺ جب لوگوں پر منعکس ہونے لگتا ہے۔ پھر نبی پاک ﷺ پوچھتے ہیں کہ کیا آپ مجھے ان میں نہیں دیکھتے؟ کیا آپ مجھے ان کی صحبت میں محسوس نہیں کرتے؟ کیا آپ اس نور کو محسوس نہیں کرتے اور وہ محبت جو ان کے دلوں میں ان کے پیار کے اظہار میں ہے؟ یہ طریقت ہے! یعنی ہر وہ چیز جس کی وہ اللہ عزوجل کی حقیقت کے بارے میں تعلیم دے رہے ہیں وہ ہمارے نزدیک سیدنا محمد (ص) کی حقیقت کے بارے میں ہے۔ اور پھر نبی پاک (ص) بہت زیادہ قابل رسائی ہوجاتے ہیں۔ آپ کو مدینہ جانے کے لئے ٹکٹ کی ضرورت نہیں ہے۔ آپ ان میں سے ایک محمدیون کو تلاش کریں اور ان کے ساتھ ، ان کے ساتھ رہیں ، ان سے پیار کریں۔ پھر ہر دن آپ کے لئے مدینہ منورہ ہوجائے گا۔ اور جب نبی پاک (ص) آپ کو مدینہ میں بلاتے ہیں تو وہ آپ کیلئے 10 ہزار گنا زیادہ طاقت ور ہو جاتا ہے۔ کیونکہ آپ کی تربیت ہوئی، آپ نے اس محبت کی تربیت لی ، آپ نے اس احترام کے ساتھ تربیت حاصل کی ، آپ نے اس سارے کردار کے ساتھ تربیت حاصل کی۔ یہی وہ چیز ہے جسے طروق پڑھانے آتے ہیں۔ اسی لئے یہ آداب کا اسکول ہے نہ کہ فقہ کا اسکول۔ آداب کیوں؟ کیونکہ نبی پاک ﷺ وہاں موجود ہیں اور آپ سیدنا محمد (ص) کی روشنی کی موجودگی میں اپنے آپ کو کس طرح چلائیں گے؟ انشاء اللہ۔ اور ہر ولی اور تمام اولیا کے اپنے درجات ہیں اور ان کے بھی جو ان سے پیار کرتے ہیں ، سبھی سیدنا محمد (ص) کی اس محبت کو حاصل کر رہے ہیں انشاء اللہ ۔
🌹 سوال: سیدی ، کیا ہمارے لیے ان صلوٰات کے علاوہ جو یہاں تلاوت کی جاتی ہیں، مختلف صلوٰات پڑھنا ٹھیک ہے؟
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): ہاں ، لیکن اگر آپ کسی ڈاکٹر کے پاس جاتے ہیں اور وہ آپ کو اینٹی بائیوٹک دیتے ہیں اور آپ کہتے ہیں کہ آپ کا شکریہ فلاں ڈاکٹر۔ تو میں سمجھتا ہوں کہ میں ٹیمی فلُو (Tamiflu) لے سکتا ہوں یا کوئی اور جو چاہوں؟ ٹھیک ہے آپ جو چاہیں کرسکتے ہیں۔ آپ جس میلاد (صلوٰات) کو چاہیں تلاوت کرسکتے ہیں لیکن مولانا شيخ (ق) نے جو کچھ بھی دیا ہے اوراد و اذکار میں اور صلٰوات کی کتابوں میں ان کے نسخوں پر عمل کرنا بہتر ہے۔ اس کے بارے میں ہم نے کچھ ہفتوں پہلے بات کی تھی کہ جب آپ بہت ساری چیزیں شامل کرنا شروع کردیں گے تو پھر دوا سے مضر اثرات آنا شروع ہوسکتے ہیں۔ کچھ لوگ کہتے تھے کہ میں ان سب چیزوں کا تجربہ کررہا ہوں ، میں یہ سب چیزیں دیکھ رہا ہوں ، یہ ساری چیزیں مجھ پر حملہ کر رہی ہیں۔ رات کے وقت خوفناک خوابوں کی یہ ساری قسمیں آرہی ہوتی ہیں۔ مگر وہ لوگ آپ کو یہ نہیں بتاتے کہ وہ کیا کر رہے ہیں ، وہ کہتے ہیں “نہیں ، نہیں ، مجھے شیخ نے جو کچھ دیا ہے میں تو اسی وظیفہ کی پیروی کر رہا ہوں ، میں روزانہ کی بنیاد پر اس کی تلاوت کر رہا ہوں۔ بعد میں وہ واپس آتے ہیں اور کہتے ہیں کہ حقیقت تو یہ ہے کہ میں فلاں اور فلاں صلوٰات کی 10 ہزار بار تلاوت کرتا ہوں۔” لیکن ہو سکتا ہے کہ آپ میں ان کو سنبھالنے کی اہلیت نہ ہو۔ اور نتیجتاً وہ آپ کو اور زیادہ حساس بنا دے ، شاید آپ میں کچھ کھل رہا ہو۔ آپ کے دل میں کچھ کھل رہا ہو لیکن آپ روحانی طور پر دفاع کے لئے تیار نہیں ہوئے ہیں۔ تو ، پھر آپ کو مسئلہ درپیش ہوگا۔ اسی لئے ایک سسٹم موجود ہے ، بہت آسان ، اس پر عمل کریں۔ اگر شیخ کو لگتا ہے کہ آپ زیادہ سے زیادہ کام کر رہے ہیں اور آپ مستقل مزاج ہیں اور آپ کی روحانی تربیت آپ کا کردار آپ کا اخلاق اس نوعیت کا ہے کہ انہیں لگتا ہے کہ آپ زیادہ سنبھال سکتے ہیں تو پریشان ہونے کی کوئی بات نہیں ، یہ آپ کے پاس ضرور آئے گا۔ لیکن صرف زیادہ گولیاں لینے سے آپ زیادہ صحت مند نہیں ہوسکتے ہیں۔ بلکہ آپ مختلف مشکلات کو کھول دیں گے۔
🌹 سوال: سیدی ، جب ہمیں مراقبہ کے دوران اپنے گنہگار ماضی کے خیالات (flashbacks) آنے لگیں تو ہمیں کیا کرنا چاہئے؟
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق): آپ روئیں، آپ استغفار کریں اور وہ کہتے ہیں کہ اولیا معاف کردیتے ہیں لیکن وہ کبھی نہیں بھولتے۔ یہ کہ جب اللہ (عزوجل) ان کے شعور کو کھولنا چاہتا ہے تو لاپرواہی کی کیفیت ان سے دور ہو جاتی ہے۔ تو ، عام لوگ ایسے ہوتے ہیں کہ وہ بھول جاتے ہیں۔ ہر روز وہ کچھ غلط کرتے ہیں بھول جاتے ہیں ، اگلے دن وہ اسے فوراً ہی دہرانے لگتے ہیں۔ وہ بھول جاتے ہیں کہ انہوں نے کیا غلط کیا ، وہ بھول جاتے ہیں کہ انہوں نے توبہ کی ہے۔ وہ ساری چیزیں بھول جاتے ہیں اور اس کے نتیجے میں شیطان روزانہ انھیں پھُسلاتا رہتا ہے ، “آہ! میں پھر ایسا نہیں کرنے والا تھا”۔ وہ پھر کرنے لگتے ہیں ، وہ پھر کرتے ہیں۔ تو ، وہ مسلسل بھولتے رہے ہیں۔ جب اللہ (عزوجل) ان کے شعور کی اعلی حالتیں کھولنا شروع کرتا ہے، اخلاص کے اونچے مقام، تو ان کو یہ سکھانا شروع کرتا ہے کہ فراموش نہ کرو۔ تم جانتے ہو معاف کرو، معافی مانگو ، پھر ایسا دوبارہ نہ کرو۔ اپنی توبہ کرو لیکن یہ مت بھولنا کہ شیطان نے تمہیں دوبارہ اس میں پڑنے کے لئے کس طرح دھوکہ دیا۔ اور ان کا کردار ایسا ہے کہ جس میں وہ سب کچھ معاف کردیتے ہیں اور وہ کچھ بھی نہیں بھولتے۔ وہ سب کچھ جانتے ہیں جو کچھ بھی ہوا ہے لیکن وہ معاف کردیتے ہیں اور ان کا کردار مسلسل استغفار کرنا ہوتا ہے ، استغفار کرنا، معافی مانگنا۔ لیکن ہمارے کرداروں میں بھی یہ چیز ہونی چاہئے کہ اس لاپرواہی کی کیفیت سے جاگ جائیں۔ جس میں ہر لمحہ ہم اپنا وعدہ فراموش کرتے رہے ہیں کہ جو ہم نے وعدہ کیا تھا کہ ہم دوبارہ نہیں کریں گے لیکن شیطان ہمیں اگلے ہی دن دوبارہ یہ کرنے پر مجبور کر دیتا ہے اور اسی وجہ سے ذکر اب تک ہمارے لئے جو آخری دنوں میں آرہا ہے وہ یہ ہے کہ سارا دن استغفار کیا جائے ‘استغفرُ اللہ العظیم واتوبُ الیہ، ‘استغفرُ اللہ العظیم واتوبُ الیہ،’ سارا وقت دوپہر تک۔ “استغفرُ اللہ العظیم” کیونکہ صفت العظیم ہر چیز کو دھو ڈالے گی اور اللہ عزوجل کی عظمت کے آگے کوئی چیز بھی بڑی نوعیت کی نہیں ہے ، ہر چیز کو بے معنی کر دیا جائے گا۔ اور جب ہم استغفار طلب کرتے ہیں تو ، اللہ (عزوجل) کا جواب ، انشاء اللہ ، “بسم اللہ الرحمن الرحیم” ہوتا ہے۔ ہم معافی مانگ رہے ہوتے ہیں اور اللہ عزوجل بسم اللہ الرحمٰن رحیم سے اس کو دھونے لگتا ہے۔ اور پھر دوپہر کے بعد صلٰوات پڑھیں۔ لہذا ، استغفار ایک شاور کی طرح ہے۔ خود کو دھو ڈالنے کے بعد دوپہر کے بعد نبی پاک (ص) پر درودوسلام رات کے وقت تک جاری رکھیں جب تک کہ آپ ٹی وی دیکھتے ہوں ، اپنے بچوں کے ساتھ کھیلتے ہوں۔ “اَلَّھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ وَعَلَی آلِ سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ “ اپنی زبان اور دل کو سیدنا محمد (ص) کی خوشبو سے پیار سے میٹھا بناتے رہیں، انشاء اللہ۔ اور اس کے ساتھ ہی انشاء اللہ ہم ایک اور رات انشاء اللہ (اپنے پروگرام کو) جاری رکھیں گے اور اللہ (عزوجل) آپ کو آراستہ کرے ، آپ کو برکت دے ، سب کو محفوظ رکھے۔ ایک بار پھر بتایا جاتا ہے کہ ایپ (Muhammadan Way App) میں دعائیں دی گئی ہیں۔ کسی کو اگر تکلیف دینے والی توانائی کا احساس ہو تو دعا “آیت الکرسی” کو پڑھے۔ یہ مت کہیں کہ “نہیں میں آیت الکرسی تو پڑھتا ہوں”۔ نہیں ، نہیں ، یہ دعا ہے جسے آیت الکرسی کی دعا کہا جاتا ہے۔ اس دعا میں آیت شریف کے ایک خادم ہیں جنہیں مولانا شیخ (ق) نے اس میں رکھا ہے، “مالک الکندیاس”۔ سیدنا مالک الکندیاس کی موجودگی میں دعا کریں کہ “اس طاقت کے ساتھ جو اللہ تعالی نے آپ کو اس آیت الشریف کی حقیقت سے عطا کی ہے، اس مشکل کی گھڑی میں میرا ساتھ دینے کیلئے تشریف لائیں۔” لہذا ، آپ یہ دعا پڑھیں اس دعا کی تلاوت کرتے رہیں ، مراقبہ کرتے رہیں ، شیخ کی موجودگی اور سیدنا محمد (ص) کی محبت میں تفکر کرتے رہیں۔
بِحُرمَةِ مُحَمَّد اَلمُصطفٰی وَ بِسِرّ سُورَۃ الفَاتِحَہ 💕
مُحَمَّد اَلمُصطفٰی ﷺ کے تَقَدُّس اور سورۃ الفاتحہ کے راز کے ساتھ (اِس اقتباس کا اختتام کِیا جاتا ہے)۔
ENGLISH:
WATCH HERE:
————————————————————-
URDU TRANSLITERATION:
🌹 TAFFAKUR AUR MURAQBA KE BAAREY MEIN SAWALAAT: 🌹
🌹 GAZABB AUR GUSSA KO KIS TERHAN KAM KYA JAYE? AULIA-ALLAH RASOOL ALLAH ( S ) KI AKKAASI KARTE HAIN. TAJWEEZ KARDAH NUSKHA SE ZIYADA TALAWAT KARNE K KHATRAAT. 🌹
Aoozu Billahi MInashetan Arajeem, Bisillah Al Rehman ArRaheem .
Allah azzwajal ki itaat karo, rasool (S ) ki itaat karo, aur jo tum mein ikhtiyar rakhnay walay hain un ki bhi … ( Quran 4 : 59 ).
Aur meri zaat ke liye hamesha aik yadd_hani ke mein aik zaeef o maskeen o zalim o jaahil bandah hon aur yeh mehez Allah ( azzwajal ) ka ahsaan hai ke hum abhi bhi zindah hain. Allah azzwajal ki rehmat aur karam hum par qaim rahay Insha Allah . Aur Insha Allah ( hum ab ) tfkr aur ghhor o fikar ke baarey mein baat karen ge. “rabita” ko kaisay barqarar rakhna hai, hum is ki ahmiyat ke baarey mein shuru mein hi baat kar chuke hain aur yeh ke Allah azzwajal neh tamam halaat ko kis terhan theek theek banaya hai taakay ab poori duniya ko baydaari ke liye aur har kisi ko un tools ( alaat ) ke sath jo Allah azzwajal neh inhen ataa kiye hain, mutharrak kya jaye. Insha Allah .
Kya hamaray paas aaj raat ke liye koi sawalaat hain ?
🌹 Sawaal : koi aap ki Sabiqa guftagu se mutaliq pooch raha hai, kya koi khaas zikar hai jo is waqt kya jasakay jab aap ko pata ho ke aap ghusse mein hain? Aur kisi aur shakhs neh yeh bhi poocha hai ke jab hamaray ghusse ki hamaray ghar walon aur ajnabi afraad ke zareya azmaish ki jaye ( is waqt konsa zikar karna chahiye? )
Shaykh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q) : haan, phir se pani ki taaqat aur tamam tools ikathay samnay atay hain. Hum khamoshi ka rasta ikhtiyar karen. Lehaza agar aap ko ya hamein maloom hai ke hamein gussa aata hai to apni jaib mein laali paap ( lollipop ) rakhen, kyunkay yeh aik lamhay ki baat hai is se pehlay ke Allah azzwajal aap ko aazamaa_e. Jaisay hi aap ko mehsoos hota hai ke mein kuch bol paron ga aur aap kuch kehnay lagen to laali paap bahar nikalen aur usay –apne mun mein daal den. Agar aap ko yeh lagta hai ke aap ghusse ki qowat se maghloob ho rahay hain to phir wudu karen, dho len, apni namaz ki do rkatin, salaatul wudu ada karen aur dua karen ke Allah ( azzwajal ) aap ki tawanai ko mehfooz kardey, bahar ayen. Ya rabbi is ( ghusse ki ) aag ko thanda aur pur aman bana day. Hum ney kaha,” ae aag, ibrahim aleh salam par thandhi aur par aman hoja.” ( sourah alanbiyah: 69)
aur pani ki taaqat aur is baat ki samajh boojh ke kaisay khud par pani daalna hai jab –apne oopar shetan ka gussa ghalib anay lagey. Aur apni namaz ke baad mun par qaboo panay ke liye –apne mun mein dobarah se laali paap daal len. Aap ziyada se ziyada jaan boojh kar is par qaboo panay ki koshish karte rahen aur yeh nah kahin ke “oh yeh dobarah samnay agaya. ” haan yaqeenan yeh samnay anay hi wala hai. Aik baar jab yeh samnay aajay to yeh pehlay hi khatam hochuka ke aap is imthehaan mein pehlay hi nakaam ho gaye. Is ko anay se pehlay roknay ki ahmiyat hai aur kaisay laali paap rakhen, kaisay pehchanen ke mein theek nahi mehsoos kar raha, mujhe wudu karne jana hoga, jab aap ko maloom hoga ke tassadum honay wala hai to kis terhan se tassadum se bacha jaye jab aap mehez muamlay ko suljhana chahtay hon? Maslay ko hal karna itna ziyada ahem nahi hai ke jab aap jantay ho ke aap is maslay ko hal karne ki koshish kar rahay hain. Aap ko –apne rab se ziyada khaufzadah hona chahiye ke mujhe aap ke maslay ke baare mein ya is ke hal ke baare mein nahi maloom lekin mein apni qabar ke baare mein fikarmand hon. Aur har baar jab mein aap ke sath maamla kar raha hon to yeh jung ki terhan hojata hai. Is se kuch hal nahi hota, aur is se Allah ( azzwajal ) naraaz hojata hai. Lehaza, logon ko lagta hai ke aap mein ( muamlay se ) bhaag janey ka rujhan hai. Nahi yeh bhagna nahi hai yeh to darasal rasool Allah ( s ) ki sunnat ki hai. Agar kuch ghalat hai aur woh shaytani ban’nay ja raha hai to nabi pak ( s ) is se daur chalay jatay. Agar kisi ke kirdaar par gussa zahir hota hai to woh ( s ) shetan ki mojoodgi mein nahi reh satke ab shetan un logon ke ghusse ke zariye aa raha hai. Lehaza woh baith kar baat karne aur behas o mobahisa karne aur kisi aisi sorat e haal par tabadlah khayaal karne nahi baith jatay. Kyunkay woh jantay hain ke woh is shakhs ke sath maamla nahi kar rahay, woh shetan ke sath maamla kar rahay hain. Lehaza, aap ko shetan se daur jana hoga, aap bas daur ho jayen aur jab shetan ( uss shakhs ko ) chore day ( yani is shakhs ka gussa khatam hojaye ) to aap maamla is waqt Suljha len. Lekin log israar karte hain, woh israar karna chahtay hain ke woh is maslay ko ( isi waqt ) hal karna chahtay hain, woh ( isi waqt ) baat karna chahtay hain. Woh kehte hain ke nahi, nahi, yeh ahem nahi hai. Balkay yeh meri jagah aur meri qabar ke baare mein ziyada hai. Agar mein is imthehaan mein nakaam hota rehta hon to Allah ( azzwajal ) ka gussa bande par parna shuru hojata hai .
🌹 Sawaal : kisi ney poocha, ya sidi agar aap muraqba ke mubtadi ( beginner ) hain to kahan se aaghaz karen ?
Shaykh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q): aaghaz se! ( hansi ) hamaray paas Websites par sab kuch mojood hai. Up ko unn videos ko dekhna chahiye ke ( jin mein bataya gaya hai ke ) tfkr kaisay karna hai, muraqba kis terhan karna hai aur phir khud ko allag thalag karne ke asaan se marahil, koi drodoslam chalayein aur saans lainay aur hosh mein rehne aur apna zikar karne ki koshish karna. Yeh tasawwur karen ke aap muqaddas kaaba ke samnay hain aur aap apna zikar karne ja rahay hain aur Allah ( azzwajal ) aap ko aaraasta kere aur aap ko barket ataa kere aur phir yeh ziyada se ziyada marahil mein daakhil hota rehta hai. Hamaray paas muraqba par tamam terhan ki mukhtalif videos aur pallay list mojood hain lehaza, aap muraqba ki pallay list mein jayen. Website ( www. Nurmuhammad. Com ) par bhi muraqba aur tawanai ke barey mein aik section mojood hai aur rabita aur madad ko kaisay qaim kya jaye. Sab kuch, sab kuch wahan mojood hai, Insha Allah .
🌹 Sawaal : muraqba ke barey mein nahi hai. Koi puchta hai ke kya hum –apne rozana ke zikar ya muraqba mein jagah, jaye namaz ya tasbeeh ko tabdeel kar saktay hain ?
Shaykh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q): kya hum usay tabdeel kar saktay hain? Bilkul, jahan aap ko lagta hai ke ziyada tawanai mojood hai ya wahan ( ibadat karna ) ziyada asaan samjhtae hain, aap usay tabdeel kar saktay hain. Aik aisi jagah jis ko aap maqam ki terhan bana satke hon aur jis ko aap muqaddas bana satke hain, koi pak jagah. Aur bohat saari pak shaksiaat wahan namaz parhnay ke liye anay lagen gi, usay aik muqaddas maqam bananay ke liye. Jab taq ke aap usay muratab kiye rakhen ge, woh ayen ge. Izhaar kya hai? Usay banayen aur woh ayen ge … haan bilkul. Lehaza, agar aap achi shaksiaat ke liye acchaa kaam karte hain to, Allah ( azzwajal ) un naik shaksiaat ko wahan namaz parhnay ki targheeb day ga. Taakay is bande ki hifazat aur madad ki jasakay .
🌹 Sawaal : salam o alaikum. Madad mangnay ke baad bhi sargoshian jari rehti hain. Sargoshiyon mein aur ilham mein farq kaisay karen ?
Shaykh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q):: oh haan, waswasay kabhi khatam nahi hotay. Yeh sargoshi ka station hamesha sargoshian karta rehta hai. To, is ke khilaaf koi tahaffuz nahi hai. Hum Allah ( azzwajal ) ki panah mangte hain aur syedna Mohammad ( s ) par drodoslam bhaijtay rehtay hain taakay is roshni ko aur is hifazat ko haasil kya jasakay. Sargoshi hogi, tab woh ( aulia Allah ) aap ko tarbiyat dete hain ke kya suna jaye? Is ka matlab yeh hai ke is saari tarbiyat mein ilham ke liye ( yeh baat zehan mein rakhen ke ) unn ilhamaat ki pairwi karen jin ka talluq ibadat ke sath hai ke maslan mujhe ziyada namaz ada karni chahiye. Mujhe apni slwat ada karni chahiye, mein baith kar apna quran parhna shuru karoon, dalail kheyrat parhon. Yeh saari cheezian jo ibadat ke hawala se hain, woh ilham hosakti hain. Koi bhi ilham jis ka talluq kisi fard se hai hum is ko aachha nahi mante aur usay nafsaani manen ge ke jis mein shetan aap se kisi shakhs se baat karne ke liye keh raha hai. Sirf aik hi fard jis ke barey mein mujhe pareshan hona chahiye woh mein khud hon. Lehaza sirf aik hi ilhaami baat hai ke mein apni ibadat mein khud par kis terhan sakhti kar sakta hon. Kuch bhi jo 1 shakhs ko sargoshi ki aawaz mein araha hai, ( maslan ) falan shakhs ko bitayen ke woh koi ghalat kaam kar raha hai, is ko yeh bitayen woh bitayen waghera waghera. Yeh shetan ki janib se hai aur is se aap ko pareshani ka saamna karna parta hai aur yeh bohat se Rohani logon ke liye aik bara khasara hai. Un ka khayaal hai ke inhen sab ko naseehat karni chahiye lekin jabkay woh khud naseehat par amal nahi karte. Aur phir woh munafqat ke aisay samandar mein daakhil ho jatay hain jo Allah azzwajal ka bande ko saza dainay ke liye bohat khatarnaak samandar hai. Kyunkay aap logon ko is ki taraf bulaa rahay hain jo aap khud nahi karte. Lehaza, is se bachney ke liye ke mein sirf logon ko hi bhalai ki taraf bulaataa hon, mujhe sirf –apne barey mein fikar mand hona chahiye aur apni zaat par aur apni mashqon par sakhti karni chahiye. Alhmd Allah . Aap apni marzi ke mutabiq karne mein azad hain. Jab taq ke aap –apne murshid ke hukum ke tehat nah hon ke baraye meharbani is shakhs ko yeh bitayen ya is ke liye yeh usool bitayen .
🌹 Sawal : Ya Sayyidi, , kaha jata hai ke murshid ki nazar aur raabtey ki taaqat mureed ko zamee par laa sakti hai, kya yeh aisi haalat hai jo rooh ki taaqat ko bahar laane mein madad kere ?
Shaykh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q): haan, intzaar karen ( hanstay hue ). Haan, aulia Allah ki nazar, yeh aik halki si hwa ki manind hai. Aur behtar hai ke hum Allah ( azzwajal ) aur syedna Mohammad ( s ) ke hawalay se baat karen thisishypenhere ke jab nabi pak ( s ) ki nigah aulia Allah ke zareya hamari zindagi mein aati hai to, Aolia Allah farmatay hain ke 3 baar din mein woh hamari zindagion par nazar daaltay hain. Jab un ki woh nazar aati hain to yeh Jalali hoti hai, jmali nahi. Lehaza, jab koi yeh kehta hai ke oh yeh bohat khobsorat hai, hwa ki manind, jaisay sab parinday arhay hon. Nahi, yeh woh nahi hai jis ke baray mein woh baat karte hain. Nabi pak ( s ) ke hukum se nazar aati hai to Aolia Allah un ki tajallii ke sath dekhte hain, yeh Jalali hojati hai. Aisa umooman tab hota hai ke jab tawanai takrata hai aur aap phatt parte hain. Aap kisi terhan ka radd amal day rahay hotay hain jalal aur taaqat ke sabab. Jab kisi ilaqay mein taaqat ki energy daakhil hoti hai to woh har terhan ke baatil par hamla karna shuru kardeti hai. Lehaza, aam tor par yeh is waqt hota hai jab hum cheekhna chalana aur cheekh o pukaar kar rahay hotay hain aur naraaz hotay aur behas kar rahay hotay hain. Aisa tab hota hai jab woh ( aulia Allah ) dekh rahay hotay hain aur yahi wajah hai ke taleem di jati hai ke daur chalay jayen. Dhowen, jaakar khud ko dho len wudu karlen, chalay jayen kyunkay yeh sirf aap ki qabar honi chahiye jis ki aap ko fikar karni hai, kisi aur ki nahi. Aur aap apni tarbiyat haasil karen, aap chup rahen, aap chalay jayen, aap wudu karne jayen kyunkay ( aap ko yeh ehsaas hona chahiye ke ) mere Sheikh ab mujhe dekh rahay hain aur dosra shakhs cheekhna aur chalana chahta hai aur har kaam karna chahta hai, to Sheikh inhen bhi dekh rahay hotay hain aur unko nishaan zada kardiya jata hai ( ke un ka kirdaar achchhaa nahi hai ). Lehaza, yeh nazar ke silsilay mein ahem baat hai aur hamesha yeh sochna ke jab mein muraqba aur tafakar kar raha hota hon to mein Sheikh ki roshni ko haasil kar raha hon ke mere sath rahay aur mere paas mojood rahay. Ittaqullah wakunu ma assadiqeen, Allah ( azzwajal ) ka shaoor rakho aur taqwa ikhtiyar kiye rakho. Aur taqwa dar haqeeqat aap sab ke 5 hawaas ka kulna hai aur sachey bundon ke sath rahen aur Allah ( azzwajal ) duniya ki parwah nahi karta hai .
” ae imaan walo! Allah azzwajal ka shaoor rakho aur un logon ke sath raho jo sachey / mut-taqi ( alfaaz aur amal mein ) hain.” ( surah tauba : 119 )
lehaza, is ka matlab yeh hai ke hamari roshni ki duniya mein hamein hamesha un ke sath rehna chahiye. Lehaza, yeh aisi cheez nahi hai jo hum sirf aik baar karen ke un se milnay jayen balkay yeh muraqba ka poora tasawwur hai. Ke un ki roshni ko apni zindagi mein lana hai aur hamesha isi roshni ke sath rehna hai aur pichli chand raton ke khtabat mein hum ne kaha hai ke “hamain Allah ( azzwajal ) mil gaya” aur ab har cheez haqeeqat ki akkaasi karti hai. Jab Allah ( azzwajal ) ko dhondhna chaha to hum islam mein talaash kar rahay they aur hum laa ilaaha ila Allah taq puhanche, Allah Subhana watala ke siwa sab kuch chore do aur Allah ( azzwajal ) ka zikar karo aur is safar mein Allah azzwajal ki mohabbat ke liye, Allah ( azzwajal ) ne hamein Sayyidina Mohammad ( s ) se muta-arif karaya aur hamaray dilon mein “Muhammadun rasool Allah ﷺ” daal diya. Jab Allah azzwajal bande se mohabbat karta hai aur is bande ki rahnumai karta hai to woh is ke dil mein is ki mohabbat dalta hai jahan se woh hai. Jaisay “woh chhupa hwa hai aur jao usay dhuundo. Mein yahan hun”, woh do dil nahi chahta “ ke aap ( Allah azzwajal ko ) yahan se chaand taq dhoandne lagen. Allah ( azzwajal ) hamaray dilon ke andar targheeb deta rehta hai ke “main yahan hon “. Aur phir hum nabi pak ( s ) se ziyada se ziyada pyar karne lagtay hain aur yeh mehsoos karte hain ke Allah ( azzwajal ) nabi kareem ( s ) ki rooh mein aik posheeda khazana hai. Aur ab woh is se munakis hota hai. Kyunkay atiullah wa atiu alrsol waulil amr minkum tou ulil amr ahbaab aur ashiqueen hain. Aur syedna Mohammad ( s ) ka raaz bhi hain. Jahan nabi pak ( s ) farma rahay hain,” mein aik khazana hon aur mein chahta hon ke jana jaoon. Kya aap ne abhi taq mujhe haasil kya? ” lehaza, jab aap aakar kehte hain ke haan mein nabi pak ( s ) ko daikhna chahta hon, mein nabi pak ( s ) ko daikhna chahta hon, mein madinah jana chahta hon, mein yeh sab kaam karna chahta hon. Lekin yeh pehlay qadam ki manind hai. Jab koi yeh kehta rehta hai ke mein Allah ( azzwajal ) ke sath rehna chahta hon, mein Allah ( azzwajal ) ka zikar karna chahta hon, mein Allah ( azzwajal ) ko daikhna chahta hon, mein yeh saari cheeze chahta hon. Allah azzwajal ne poocha lekin kya tum ne mujhe dekha? Jab aap mujh se sawal kar rahay ho to aap ko mujhe Sayyidina Mohammad ( s ) mein daikhna chahiye tha. Aur aqalmand shakhs ko ehsas ho jata hai ke, “oh mere kkhuda, ya lateef, ya rab! Mein ne tujy pa liya. ” un sab izhaar mohabbat aur khoubsurti aur ansoo aur jazbaat se. Yahi syedna Mohammad ( s ) mein Allah ( azzwajal ) ki roshni hai. To, phir nabi(S) ke aks mein bhi wohi sab kuch hai. Jahan nabi pak ( s ) aap ke paas tashreef layein aur farmaen ke aap bohat ziyada tarap rahay hain, aap ahbaab mein se hain un logon ki terhan sholoun ki tarha hum ne bayan kya hai, aap sab parwanay hain jo un tamam sholoun ke gird jama ho rahay hain. Kya tum mujhe ( s ) un mein nahi dekhte ho? Nabi akram ( s ) hum se batein karte hue farmatay hain ke jo cheez inhen aap ke liye khobsorat banati hai woh mein ( s ) hon. Tum kyun un ki sohbat se lutaf andoz hotay ho ? Yeh mein ( s ) hon. Is shakhs ko kridt nah den. Yeh nabi pak ( s ) ka aks hai. Yahi wajah hai ke tareeqa tamam tar adab ke baray mein hai. Ke jab tum kuch dete ho, to tum usay nabi pak ( s ) ke haath mein dete ho. Jab aap apni khidmat kar rahay hain to, aap syedna Mohammad ( s ) ke aashiqueen ki khidmat kar rahay hain jo aap ke liye is mohabbat ko zahir kar rahay hain ke aap nabi pak ( s ) ko un ke cheharon, un ke aamaal aur un ke Faiz se, un ke ishaaron ke zariye aur un ke mukammal ikhlaq ke zariye dekh satke hain. Ke woh aap ke sath kis terhan sulooq karte hain. Hatta ke, ke agar aap achay aur aqalmand aur mukhlis hain to aap ko khawab aasakta hai jaisay aap nabi pak ( s ) ke sath kuch kha rahay hon. Aur yeh aik takeed ki terhan hojata hai ke jab aap –apne murshid ke sath kha rahay hotay hain to nabi pak ( s ) farmatay hain ke “ ( be shak ) haan, mein aap ke sath hon. ” jab aap kha rahay ho to mein ( s ) aap ke sath hon. Tum mere sath kha rahay ho. Aap mere sath namaz ada kar rahay hain. Tum mere sath roza dukh rahay ho. Aap mere hamrah jad-o-jehad kar rahay hain. Jis cheez ke baais woh ( murshid ) aap ke liye purkashish bantay hain woh hai syedna Mohammad ( s ) ki roshni. Yeh un ki walida ki taraf se ( mili hui cheez ) nahi hai. Woh shakhs to aik taweel arsa pehlay faut hogaya tha. Yeh shakhs jis ki numaindagi karta hai aur yeh auliaallah jis ki numaindagi karte hain woh syedna Mohammad ( s ) ki mohabbat hai. Noor al anwaar, wahan noore Muhammadi ( s ) mojood hai jo un se beh raha hai. Yahi cheez insanon ko Raghib karti hai. Woh syedna Mohammad ( s ) ke baagh ke ghulaab hain. Aur phir nabi pak ( s ) aap se poucheen ge kya aap mujhe nahi dekhte? Kya tum mujhe mehsoos nahi karte? Kya aap is mohabbat ka izhaar mehsoos nahi karte? Aur phir woh aqalmand log jin ko auliaallah taq rasai mili woh kehte hain, jee haan, mein ne aap ( s ) ko pa liya aur jab aap ko pa liya to mein ne un walii Allah ke sath aisa sulooq rava rakha ke goya yeh aap ( s ) hi hain. Aur yahi wajah hai ke mashaiykh ka kuch bura karna bohat hi bara gunah hai. Hatta ke koi aisa shakhs bhi jo abhi Sheikh ban’nay ki tarbiyat mein hai. Aap syedna Mohammad ( s ) ki taaqat aur roshni ko ghalat istemaal kar rahay hain. Jab yeh pyar aap par ghalib ajatha hai aur aap ke kaanon se, aap ki aankhon se aur aap ki saanson se aur aap ki zabaan se zahir honay lagta hai to log aap ko pasand karne lagtay hain, aap ki taraf Raghib honay lagtay hain, to aap ki janib kashish ( magnetism ) mehsoos karne lagtay hain. Up ki apni wajah se nahi. Aap to mehez aik aaina hain lekin jo aap ke zariye zahir hota hai ( woh asal wajah hai ) lehaza rastay se hatt jayen aur logon ko is aks se aaraasta honay den. Usay –apne liye aik zayad-ti ke tor par nah len. Lehaza, yeh aik jaissa nahi hai, aam aadmi ka gunah aik Sheikh ke gunah jaissa nahi hai. Jahan aap sirf ghaltion ko maaf kardete hain. Nahi, woh aik Haqeeqat Muhammadi ( s ) ki numaindagi kar rahay hotay hain aur isi haqeeqat ki bunyaad par log un ki taraf Raghib hotay aur mohabbat karte hain. Inhen bohat ziyada Alla miyaar par Faiz kya gaya hai aur Allah azzwajal ki taraf se un ke gunaaho ki saza bohat ziyada sakht hai. Lehaza, yeh un logon ke liye zimma daari hai jinhon ne yeh rasta ikhtiyar kya ke yeh roshni aa rahi hai, yeh mohabbat jo naseeb ho rahi hai, asan nahi hai. Mehez astaghfar aur maffi ( kaafi ) nahi hai, Allah azzwajal sakht saza dainay wala hai. Yeh aik zimma daari hai ke yeh noor almuhammadi (S) jab logon par munakis honay lagta hai. Phir nabi pak(S) puchtey hain ke kya aap mujhe un mein nahi dekhte? Kya aap mujhe un ki sohbat mein mehsoos nahi karte? Kya aap is noor ko mehsoos nahi karte aur woh mohabbat jo un ke dilon mein un ke pyar ke izhaar mein hai? Yeh tareqat hai! Yani har woh cheez jis ki woh Allah azzwajal ki haqeeqat ke baray mein taleem day rahay hain woh hamaray nazdeek syedna Mohammad ( s ) ki haqeeqat ke baray mein hai. Aur phir nabi pak ( s ) bohat ziyada qabil rasai ho jatay hain. Aap ko madinah janay ke liye ticket ki zaroorat nahi hai. Aap un mein se aik Muhammadiyun ko talaash karen aur un ke sath, un ke sath rahen, un se pyar karen. Phir har din aap ke liye madinah Munawwara hojaye ga. Aur jab nabi pak ( s ) aap ko madinah mein bulatay hain to woh aap ke liye 10 hazaar gina ziyada taaqat war ho jata hai. Kyunkay aap ki tarbiyat hui, aap ne is mohabbat ki tarbiyat li, aap ne is ehtram ke sath tarbiyat haasil ki, aap ne is saaray kirdaar ke sath tarbiyat haasil ki. Yahi woh cheez hai jisay turooq parhanay atay hain. Isi liye yeh aadaab ka school hai nah ke fiqa ka school. Aadaab kyun? Kyunkay nabi pak(S) Wahan mojood hain aur aap syedna Mohammad ( s ) ki roshni ki mojoodgi mein –apne aap ko kis terhan chalayein ge? Insha Allah . Aur har walii aur tamam Aolia ke –apne darjaat hain aur un ke bhi jo un se pyar karte hain, sabhi syedna Mohammad ( s ) ki is mohabbat ko haasil kar rahay hain Insha Allah .
🌹 Sawal : Ya Sayyidi, kya hamaray liye un slwat ke ilawa jo yahan talawat ki jati hain, mukhtalif slwat parhna theek hai ?
Shaykh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q):: haan, lekin agar aap kisi dr ke paas jatay hain aur woh aap ko anti biotic dete hain aur aap kehte hain ke aap ka shukriya falan dr. to mein samjhta hon ke mein timi flow ( tamiflu ) le sakta hon ya koi aur jo chahoon? theek hai aap jo chahain kar saktay hain. aap jis milaad ( slwat ) ko chahain talawat kar saktay hain lekin molana Sheikh ( q ) ney jo kuch bhi diya hai Awdrad o azkar mein aur slwat ki kitabon mein un ke nskhon par amal karna behtar hai. is ke barey mein hum ney kuch hafton pehlay baat ki thi ke jab aap bohat saari cheeze shaamil karna shuru kar dein ge to phir dawa se muzir asraat aana shuru ho saktay hain. kuch log kehte they ke mein un sab cheezon ka tajurbah kar raha hon, mein yeh sab cheeze dekh raha hon, yeh saari cheeze mujh par hamla kar rahi hain. raat ke waqt khofnaak khowaboon ki yeh saari kasmain aa rahi hoti hain. magar woh log aap ko yeh nahi batatay ke woh kya kar rahay hain, woh kehte hain “nahi, nahi, mujhe Sheikh ney jo kuch diya hai mein to isi wazifa ki pairwi kar raha hon, mein rozana ki bunyaad par is ki talawat kar raha hon. baad mein woh wapas atay hain aur kehte hain ke haqeeqat to yeh hai ke mein falan aur falan slwat ki 10 hazaar baar talawat karta hon. ” lekin ho sakta hai ke aap mein un ko snbhalne ki ahliat nah ho. aur nateejatan woh aap ko aur ziyada hassas bana day, shayad aap mein kuch khil raha ho. aap ke dil mein kuch khil raha ho lekin aap Rohani tor par difaa ke liye tayyar nahi hue hain. to, phir aap ko masla darpaish hoga. isi liye aik system mojood hai, bohat aasaan, is par amal karen. agar Sheikh ko lagta hai ke aap ziyada se ziyada kaam kar rahay hain aur aap mustaqil mizaaj hain aur aap ki Rohani tarbiyat aap ka kirdaar aap ka ikhlaq is noiyat ka hai ke inhen lagta hai ke aap ziyada sambhaal satke hain to pareshan honay ki koi baat nahi, yeh aap ke paas zaroor aeye ga. lekin sirf ziyada golian lainay se aap ziyada sahet mand nahi ho saktay hain. balkay aap mukhtalif mushkilaat ko khol den ge .
🌹 Sawaal : Ya Sayyidi, jab hamein muraqba ke douran –apne gunehgaar maazi ke khayalat ( flashbacks ) anay lagen to hamein kya karna chahiye ?
Shaykh Syed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q): aap royain, aap astaghfar karen aur woh kehte hain ke Aolia maaf kardete hain lekin woh kabhi nahi bholte. yeh ke jab Allah ( azzwajal ) un ke shaoor ko kholna chahta hai to la parwahi ki kefiyat un se daur ho jati hai. to, aam log aisay hotay hain ke woh bhool jatay hain. har roz woh kuch ghalat karte hain bhool jatay hain, aglay din woh usay foran hi dohranay lagtay hain. woh bhool jatay hain ke unhon ney kya ghalat kya, woh bhool jatay hain ke unhon ney tauba ki hai. woh saari cheeze bhool jatay hain aur is ke nateejay mein shetan rozana unhein phuslaata rehta hai,” aah! mein phir aisa nahi karne wala tha”. woh phir karne lagtay hain, woh phir karte hain. to, woh musalsal bholte rahay hain. jab Allah ( azzwajal ) un ke shaoor ki Alla halatain kholna shuru karta hai, ikhlaas ke ounchay maqam, to un ko yeh sikhana shuru karta hai ke faramosh nah karo. tum jantay ho maaf karo, maffi mango, phir aisa dobarah nah karo. apni tauba karo lekin yeh mat bhoolna ke shetan ney tumhe dobarah is mein parney ke liye kis terhan dhoka diya. aur un ka kirdaar aisa hai ke jis mein woh sab kuch maaf kardete hain aur woh kuch bhi nahi bholte. woh sab kuch jantay hain jo kuch bhi hwa hai lekin woh maaf kardete hain aur un ka kirdaar musalsal astaghfar karna hota hai, astaghfar karna, maffi maangna. lekin hamaray krdaron mein bhi yeh cheez honi chahiye ke is la parwahi ki kefiyat se jaag jayen. jis mein har lamha hum apna wada faramosh karte rahay hain ke jo hum ney wada kya tha ke hum dobarah nahi karen ge lekin shetan hamein aglay hi din dobarah yeh karne par majaboor kar deta hai aur isi wajah se zikar ab taq hamaray liye jo aakhri dinon mein aaraha hai woh yeh hai ke sara din astaghfar kya jaye, astaghfiru Allah alazim aatubu ilaihi,’ sara waqt dopehar taq. Astaghfirullah alAzeem kyunkay sift alazim har cheez ko dho daaley gi aur Allah azzwajal ki Azmat ke agay koi cheez bhi barri noiyat ki nahi hai, har cheez ko be maienay kar diya jaye ga. aur jab hum astaghfar talabb karte hain to, Allah ( azzwajal ) ka jawab, Insha Allah , “Bismillah Allah Al Rehman arRahim” hota hai. hum maffi maang rahay hotay hain aur Allah azzwajal bsm Allah al-rehman Raheem se is ko dhoney lagta hai. aur phir dopehar ke baad slwat parheen. lehaza, astaghfar aik shower ki terhan hai. khud ko dho daalnay ke baad dopehar ke baad nabi pak ( s ) par drodoslam raat ke waqt taq jari rakhen jab taq ke aap TV dekhte hon, –apne bachon ke sath khailtay hon. apni zabaan aur dil ko syedna Mohammad ( s ) ki khusbhoo se pyar se meetha banatay rahen, Insha Allah . aur is ke sath hi Insha Allah hum aik aur raat Insha Allah ( –apne programme ko ) jari rakhen ge aur Allah ( azzwajal ) aap ko aaraasta kere, aap ko barket day, sab ko mehfooz rakhay. aik baar phir bataya jata hai ke app ( muhammadan way app ) mein duayen di gayi hain. kisi ko agar takleef dainay wali tawanai ka ehsas ho to dua “ayatulKursi” ko parhay. yeh mat kahin ke “nahi mein aayat al kursi to parhta hun”. nahi, nahi, yeh dua hai jisay aayat al kursi ki dua kaha jata hai. is dua mein aayat shareef ke aik khadim hain jinhein molana Sheikh ( q ) ney is mein rakha hai, “Malik Al Kandiyaas”. syedna Malik Al Kandiyaas ki mojoodgi mein dua karen ke “as taaqat ke sath jo Allah taala ney aap ko is aayat alshrif ki haqeeqat se ataa ki hai, is mushkil ki gharri mein mera sath dainay ke liye tashreef layein. ” lehaza, aap yeh dua parheen is dua ki talawat karte rahen, muraqba karte rahen, Sheikh ki mojoodgi aur syedna Mohammad ( s ) ki mohabbat mein tfkr karte rahen .
——————————————————