
Urdu – شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق) کا 21/03/2020 خطاب۔ بِسْمِ اللَّـهِ الرَّح…
شیخ سید نورجان میراحمدی نقشبندی (ق) کا 21/03/2020 خطاب۔
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
اَلَّھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ وَعَلَی آلِ سَیَّدِنَا محَمَّدٍ ﷺ
سیدنا محمدﷺ کی بارگاہِ مبارک میں حاضر ہونے کا تیز ترین اور طاقتور ترین طریقہ:
الحمد اللہ کہ اللہ عزوجل نے ہمیں جو خوبصورت ترین حقیقت عطا کی ہے وہ ہے محبت کی یہ صلاحیت اور محبت کی بے پناہ طاقت جو آپ کی عقل کو نہیں بلکہ آپ کے تمام حواس کو حرکت میں رکھتی ہے۔ ذہن ہمیں نبیﷺ کی بارگاہ میں نہیں لے جا سکتا ۔ ذہن، وہم اور خام خیالی کے سوا اور کچھ نہیں کرسکتا۔ جو اللہ (عزوجل) کا سب سے بڑا تحفہ ہے وہ یہ ہے کہ “میں نے کسی انسان کو دو دل نہیں دئے”۔ لیکن یہ قلب جو اللہ (عزوجل) نے ہمیں دیا اور اس کی قابلیت اور اس کی بے پناہ طاقت (یہ) ہے کہ اس محبت سے اور اس عشق سے جو اللہ (عزوجل) نے اولیاء اللہ کو سکھایا ہے، اولیاء اللہ باہر جاتے ہیں اور اپنے طلباء کو سکھاتے ہیں اور اُن کے طلباء دوسرے طلباء کو سکھاتے ہیں، (وہ یہ ہے) کہ آپ سوچ کی رفتار سے بھی تیز رفتاری سے خلاء اور وقت سے آگے بڑھ سکتے ہیں۔ کہ محض اس محبت کے ساتھ ہی”بُوم” 🎆 (آپ فوراً) سیدنا محمد(ﷺ) کی بارگاہ میں (پہنچ جاتے ہیں)۔ “آپ جس کے ساتھ پیار کریں گے اس کے ساتھ ہوں گے”۔ ، سیدنا محمد(ﷺ) کے یہ الفاظ ایک سو دس فیصد ، ایک سو ہزار فیصد سچ ہیں جو ہمارے لئے اشارات دے رہے ہیں کہ اپنی محبت قائم رکھیں، مجھ (ﷺ) سے پیار برقرار رکھیں۔ حتٰی کہ وہ (اولیاء اللہ) تشریف لاتے ہیں اور فرماتے ہیں کہ اگر آپ سیدنا محمدﷺ سے محبت نہیں کرتے تو آپ کفر میں داخل ہوگئے ہیں۔ آپ اپنے اسلام کے خلاف آگئے ہیں لیکن یہ حقیقت جو اللہ (عزوجل) نے ہمیں دے دی ہے کہ اگر آپ کو یہ پیار ہے تو ، اس محبت کو فروغ دیں پھر آپ ایک لگاتار معراج میں سیدنا محمد (ﷺ) کی بارگاہ میں رہیں گے اور ہر لمحے سیدنا محمدﷺ اللہ عزوجل کی خدائی بارگاہ کی جانب معراج میں ہیں۔ یہ ایک رات نہیں ہے۔ 27 کا یہ راز ایک باب ہے ، ایک دروازہ ہے اور ایک گیٹ ہے، یہ ایک عکس ہےجو اللہ عزوجل بیان فرماتا ہے۔ کہ اپنے مصروف سال میں کم از کم ایک بار رُکیں اور غور کریں۔ اہل الحقائق کی تعلیم اپنی تمام تر زندگی میں یہی ہوتی ہے کہ ہمیشہ اسی دروازے پر رہنا ہے۔ ہمیشہ اس عشق کے ساتھ اور اس محبت کے ساتھ دروازے پر انتظار کرتے رہیں ، دروازے پر انتظار کرتے رہیں، اپنے آپ کو سیّدی رسول اللہ (ﷺ) کے روزہ شریف پر دیکھتے رہیں کہ انا عبدک العاجز ضعیف مسکین و ظالم و جاہل۔ یا سیّدی ، یا رسول کریم ، یا حبیب العظیم ، آپ کبھی بھی کسی ٹوٹے ہوئے دل ، کوئی غریب فقیر ، کوئی بھی جو آپ کے دروازے پر ، آپ کے گیٹ پر ، آپ کی دہلیز پر آتا ہے اسے نہیں واپس لوٹاتے۔ اور اولیا اللہ ایک فارمولا عطا فرمانا شروع کرتے ہیں کہ یہ محبت ہی ہے کہ جس سے آپ “pheew” اڑ کے ( اُن کی بارگاہ میں) پہنچ جاتے ہیں۔ یہ آپ کی عقل کے سوچنے کی بات نہیں ہے، (کہ آپ سوال کریں کہ) یا مرشدی! میں نہیں جانتا کہ کس طرح (اس میں) اضافہ کیا جائے ، میں نہیں جانتا کہ اسے کیسے محسوس کرنا ہے۔” آپ کو یہ محسوس نہیں ہو رہا کیونکہ آپ واقعی اس سے محبت نہیں کرتے۔ آپ کی محبت ابھی وہاں موجود نہیں ہے۔ آپ محض اس کی نقل کر رہے ہیں کیونکہ اگر آپ سے پوچھا جائے کہ آپ کو کتنا پیار ہے؟ (تو اس کا جواب اس بات سے مل جائے گا) کہ آپ روزانہ کتنی تعداد میں سیّدی رسول اللہ (ﷺ) پر درود وسلام بھیجتے ہیں؟ کوئی نہیں ، دو ، سو ، ایک ، پانچ؟ آپ کو اس طرح محبت کیسے حاصل ہو گی؟ آپ اپنے بچے سے بہت زیادہ پیار کرتے ہیں۔ آپ سارا دن اپنے بچے کا نام لیتے رہتے ہیں۔ آپ سارا دن اپنے شریک حیات کے نام کا تذکرہ کرتے رہتے ہیں۔ لہذا ، وہ ہمیں سکھاتے ہیں اگر آپ اُن ﷺ سے پیار کرتے ہیں تو اُن ﷺ کے نام کا اکثر ذکر کریں۔ سیدنا محمد ﷺ کی حمدو ثناء کے ساتھ اپنے ہونٹوں کو میٹھا اور تر رکھیں۔ اگر ہم عشق کو محسوس نہیں کررہے ہیں تو کمی ہماری طرف سے ہے ان کی طرف سے نہیں۔ ہمیں صرف محبت کرنا ہے۔ آپ سب کو کرنا ہے… کیا کوئی گانا ہے؟ “آپ سب کو پیار کی ضرورت ہے” (ایک مدھر آواز میں) … تو ہاں ، ہمیں بس یہی ضرورت ہے۔ تو ، یہ ہے، اور انہوں نے اسے اتنا آسان بنا دیا ہے، باقی دوسری چیزیں جو لوگ کرتے ہیں وہ اپنے نفس کو سُدھارنے کیلئے ہیں۔ (مثلاً) وضو کیسے کریں، میں نے پھر سے ایک دلچسپ ویڈیو دیکھی ، آپ کو معلوم ہے جیسے میں نے ہمیشہ اس کا ذکر کیا ہے کہ ہر دن وضو پر ایک نئی ویڈیو آتی ہے۔ (اس ویڈیو میں) وہ دستانہ پہنتا ہے اور کچھ سیاہی ڈالتا ہے اور ظاہر کرتا ہے کہ وہ وضو کرتا ہے اور اے میرے خدا! وہ سارے حصے جو ابھی تک سفید ہیں ، اسے پوری سیاہی سے ڈھانپنا ہے۔ مضحکہ خیز! مضحکہ خیز! یہ آپ کو کبھی بھی بارگاہ الہٰی تک نہیں پہنچائے گا۔ اس سے آپ کو سیاہی کمپنی کےلئے ملازمت مل جائے گی لیکن یہ خدائی بارگاہ میں داخلہ نہیں دلائے گی۔ بارگاہِ الہٰی کو اس گدھے (یعنی ہمارے جسم) کی پرواہ نہیں ہے۔ آپ کو پانی (کی اہمیت کو) سمجھنا تھا اور تھوڑا سا آپ نے ایک کپ جتنے پانی سے دھو لیا، لیکن آپ کو اپنے اندر اور دل کو دھونا تھا۔
الَّذِينَ آمَنُوا وَتَطْمَئِنُّ قُلُوبُهُمْ بِذِكْرِ اللَّهِ ۗ أَلَا بِذِكْرِ اللَّهِ تَطْمَئِنُّ الْقُلُوبُ
وہ لوگ جو ایمان لائے اور جن کے دل اللہ عزوجل کی یاد سے راضی ہوجاتے ہیں۔ بے شک اللہ عزوجل کے ذکر میں دلوں کو اطمینان ملتا ہے۔ [سورہ الر عد: 28]
کہ ذکراللہ دل کی حقیقتیں کھول دیتا ہے پھر اولیا اللہ تشریف لاتے ہیں اور تعلیم فرمانا شروع کرتے ہیں کہ اللہ سبحانہ وتعالیٰ کا عظیم ترین ذکر، جب “ذکرُللہ تطمن القلوب” کہتے ہیں تو ، حقیقت میں ، کچھ لوگوں نے اسے ایسے سمجھا کہ “اللہ” کہنے کا ذکر دل میں سکون لاتا ہے لیکن حقیقت میں یہ نہیں ہے، اللہ عزوجل کا ذکر کیا ہے جو آپ کے دل کو سکون بخشتا ہے؟ “اللہ” کہنے کا ذکر نہیں بلکہ اللہ عزوجل کا ذکر کیا ہے جو آپ کے دل کو سکون فراہم کرتا ہے اور اللہ عزوجل کا ذکر یہ ہے؛
إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
اللہ اور اس کے فرشتے سیّدی رسول اللہ (ﷺ) پر درود وسلام بھیجتے ہیں: اے ایمان والو! تم بھی آپ (ﷺ) پر درودوسلام بھیجو (اور انہیں (ﷺ) کو پوری عزت سے سلام کرو) [سورہ احزاب: 56]
اللہ (عزوجل ) کا ذکر سیدنا محمد صلی اللہ علیہ وسلم کی تعریف اور صلوات ہے اور بہت سے اولیاء اللہ بیان کرتے ہیں کہ اس حقیقت سے زیادہ طاقتور کوئی چیز نہیں، کہ یہی وہ طریقہ ہے جس سے اللہ (عزوجل) حمدوثناء چاہتا ہے۔ اور عشق کےساتھ کی گئی حمدوثنا۔ یعنی اگر آپ حمدوثنا کرنا شروع کردیتے ہیں اور اس کی حمدوثنا کرتے ہیں کہ جو اتنا سخی ہے کہ آپ کی ایک صلوات کے ساتھ نبی ﷺ کی نظر مبارک آتی ہے اور ہمیں ملبوس کرنا شروع کردیتی ہے۔ اگر آپ اسے محسوس نہیں کررہے ، تو اپنے درود شریف میں اضافہ کریں۔ اگر آپ اُن ﷺ سے پیار محسوس نہیں کررہے تو ، اپنے درود شریف کو بڑھا دیں۔ ایسے مشائخ پر توجہ نہ دیں، ایسے لوگوں پر توجہ نہ دیں جو آپ کو رُسوا کریں اور جو خود ناپائیدار ہوں۔ ورنہ پھر آپ کہیں گے ، “اوہ! میں اس سارے اسلام کو نہیں جانتا” نہیں، نہیں، اسلام کامل ہے اور لوگ نامکمل ہیں اور ان کیلئے ضروری بھی نہیں کہ وہ کامل ہوں۔ وہ سیدنا محمدﷺ کے مقام کے مقابلے میں کہیں بھی نہیں ہیں۔ وہ حقیقت کے اندر محض قطرے ہیں اور ان کا واحد مقصد یہ تھا کہ وہ ہمیں ہدایت دیں اور ایمان کا نمونہ بنیں ، ایک مثال۔ وہ شخص نہیں کہ جس کی پوجا کی جائے اور نہ ہی ایسا شخص کی جس کی مبالغہ آمیز ستائش کی جائے (personality cult) کہ جہاں اپ کو لگتا ہے کہ یہ سب اسی شخص کے بارے میں ہے۔ نہیں ، متقی لوگوں کو تو محض اس کی ایک مثال پیش کرنی تھی ، یہ میں نہیں ، آپ کا پیار سیدنا محمدﷺ کیلئے ہے۔ کیا آپ بہت سارا درود شریف پڑھ رہے ہیں؟ کیا آپ اکثر درودوسلام پیش کر رہے ہیں؟ کیا آپ خود سب سے پوچھ رہے ہیں کہ “میں روزہ شریف پر ہوں” ؟ اور مجھے یاد ہے 15 سال پہلے جب ہم آپ کو تعلیم دے رہے تھے کہ خود کو رُلائیں، اپنے آپ کو اس روزہ مبارک پر رُلائیں۔ اگر آپ ایک ایسے شخص ہیں جو روتا نہیں ہے تو آپ کے دل کے ساتھ ضرور کوئی مسئلہ ہے۔ اگر آپ آئیں تو میں آپ کو رُلانے کیلئے کچھ کروں گا۔ سب کے اندر آنسو موجود ہیں۔ اب آپ نے دیکھا کہ دنیا رو رہی ہے۔ لہذا ، جو لوگ کنبہ کے ساتھ ہیں ، اپنے گھر والوں کو بالکل مایوسی میں تصور کریں کہ ہر طرح کی مشکلات ان کے پاس آرہی ہیں۔ رات کو روزہ شریف میں بیٹھیں اور سوال کریں کہ ، براہ کرم ، یاسیدی ، یا رسول کریم (ﷺ) میں آپ کی مقدس دہلیز پر ہوں مجھ پر نگاہ فرمائیں۔ میرے بچوں پر نگاہ فرمائیں ، میرے تمام پیاروں پر نگاہ فرمائیں۔ برائے مہربانی اپنی نظر مبارک مجھ پر رکھیں۔ اگر میری محبت میں کمی تھی تو مجھے معاف فرمادیں۔ اگر میں نے آپ کو اپنا پیار دکھانے کے لئے کافی کام نہیں کیا اور میں نے دُنیا کی پوجا کی ، تو مجھے معاف فرما دیں۔ اگر میں نے آپ کے لئے اپنی محبت ظاہر کرنے کے لئے کافی کام نہیں کیا تو مجھے معاف فرما دیں۔ سیدنا محمد ﷺ کی دہلیز پر تعلقات استوار کریں۔ اور یہ سب کلام جو ہم پڑھ رہے ہیں کہ وہ (جن کے لکھے ہوئے یہ کلام ہیں) کتنا رو رہے ہیں اور کتنا رو رہے ہیں۔ وہ رسول اللہ ﷺ کی دہلیز پر رو رہے تھے کہ میرا معاملہ اللہ عزوجل کے پاس لے جائیں اور براہ کرم اس بات کو یقینی بنائیں کہ آنے والی تمام برائیوں سے میں اور میرے تمام پیارے محفوظ رہیں۔ مجھے توڑنے اور مجھے کچلنے کی ضرورت نہیں ہے۔ میں پہلے ہی آپ کی دہلیز پر سوال کر رہا ہوں ، میں سیدی ، یا رسول کریم ﷺ آپ ﷺ سے سوال کر رہا ہوں اور دعا کر رہا ہوں ، کہ آپ ﷺ کریم ہیں اور یہ کہ براہ کرم اُن پر نگاہ فرمائیں، انھیں آراستہ فرمائیں ، انھیں برکت دیں اور مجھے معاف فرمادیں اور میری آپ ﷺ کیلئے محبت میں اضافہ فرما دیں۔ تاکہ ہر لمحہ میری سوچ آپ ﷺ کے بارے میں ہو۔ میں اپنی تسبیح نکالنا چاہتا ہوں اور میں آپ کی حقیقت کی حمدوثناء شروع کرنا چاہتا ہوں۔ اور جب بھی میں ایک حمدوثناء سُنتا ہوں تو میری آنکھ اور دل میں آنسو آنے لگتا ہے۔ اور یہی بات ہم نے کل رات کو بیان کی ہے جب اللہ (عزوجل) سے وہ سوال کر رہے تھے کہ، “یا ربی ، تو کہاں ہے؟”۔ وہ کہتا ہے ، “تمہاری اس آواز میں ، یہ پیار جو تمہیں ہے اور جب تم تلاوت کرنا شروع کرتے ہو تو میں اسی آواز میں موجود پیار ہوں”۔
اور جب آپ رونے لگتے ہیں اور آپ اچھی چیزوں کےلئے رونے لگتے ہیں، کسی غلط/بُری چیز کیلئے نہیں روتے کہ اُس نے آپ کو چھوڑ دیا اور کسی نے آپ کی کار کو دھکیل دیا۔ آجکل لوگ اس وجہ سے روتے ہیں کہ ان کی کاروں کو دوبارہ سے قبضے میں لےلیا گیا ہے کیونکہ وہ رقم/اقساط کی ادائیگی نہیں کرپائے۔ نہیں ، نہیں جب آپ پیار اور عشق سے رو رہے ہوتے ہیں ، جس سے اللہ عزوجل محبت کرتا ہے اور آپ سیّدی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے دروازے پر رونے لگتے ہیں ، براہ کرم میرے اہل خانہ کو بچائیں۔ براہ کرم میرے سب جوانوں کو بچائیں۔ مجھے مشکل اور غم سے بچائیں۔ جیسے ہی آپ رونے لگیں اور اللہ (عزوجل) سکھانا شروع کرتا ہے کہ میں آپ کے چہرے میں موجود وہ جذبات ہوں۔ میں آنسو ہوں جسے تم بہا رہے ہو۔ اس کا مطلب یہ ہے کہ اللہ عزوجل ہمارے تمام اچھے جذبات کا جذبہ ہے۔ اگر ہمیں پیار ہے تو اللہ عزوجل کی بارگاہ محبت ہے۔ اگر آپ محبت سے دور ہیں تو ، آپ اللہ عزوجل سے دور ہیں۔ میں وہ پیار ہوں جو آپ کے دل میں پیوست ہے۔ مجھے اپنے دل میں لاؤ ، میری محبت کو اپنے اندر لاؤ اور میری موجودگی کا احساس کرو۔ جب دل میں پیار نہیں ہوتا تو اس کا مطلب ہے کہ اللہ عزوجل دل میں نہیں ہے۔ محبت ایمان ہے ، ایمان محبت ہے۔ ہم پیار کی بات کرتے ہیں اور دوسری ثقافتوں والے لوگ کہتے ہیں، “آپ اتنی زیادہ محبت کی بات کیوں کرتے ہیں؟”۔ ہم حوس (sex) کی بات نہیں کر رہے۔ ہم محبت اور پیار کی بات کر رہے ہیں۔ ہر خوبصورت جذبہ اللہ عزوجل کی بارگاہ الہٰی ہے۔ جب آپ خوبصورتی کے ساتھ روتے ہیں ، یہ اللہ عزوجل ہے جو آنسووں کو بہاتا ہے۔ میں وہ خوبصورت جذبات ہوں جو آپ کے اندر موجود ہیں۔ اور جب آپ غصے میں اور برے ہوتے ہو تو وہ شیطان ہوتا ہے ، اللہ (عزوجل) نہیں۔ اللہ عزوجل اس غضب کے اندر نہیں موجود، یہ اللہ (عزوجل) کی طرف منسوب نہیں ہوتا یہ شیطان کی صفت ہے۔ تو ، پھر اللہ (عزوجل) فرماتا ہے کہ رحمٰن کے پاس آؤ ، ہر اُس چیز کے پاس آؤ جو خوبصورت اور اچھی اور گرمجوش اور محبت کرنے والی ہے۔ ہر وہ چیز چھوڑ دو جس نے اللہ عزوجل کی رحمت اور اللہ عزوجل کی حرارت سے منہ پھیر لیا ہے اور سرد اور گندی ہو گئی ہے۔ لہذا ، ہر خوبصورت جذبات اللہ (عزوجل) کا ہم پر خدائی فضل ہے۔ لہذا ، جیسے ہی ہم اس محبت میں اضافہ کریں گے ہم اڑنے لگیں گے۔ ہر رات سیدنا محمد (ﷺ) سے محبت کی اسراء والمراج ہوگی۔
(آج کل کی وباء سے) پہلے دنیا بہت مصروف تھی اور لوگ بھاگ دوڑ کر نے میں مصروف تھے۔ مگراب اللہ (عزوجل) کی بے حد ہیبت اور بے پناہ زبردست طاقت، سیدنا محمد ﷺ سے اس کی بے پناہ محبت (کے باعث) کہ “اب میرے محمدین ، حضرت مہدی علیہ السلام (تشریف لا رہے ہیں)” یعنی مہدی کا “م” ہدایت اور ہادی کے تمام تر “م “ کا بادشاہ ہے۔ وہ (ع) محمدن ہادی ہیں۔ سب سے اونچے ، واحد اونچے ترین محمدی ﷺ راہنما اب دنیا میں داخل ہو رہے ہیں اور یہ سیدنا محمد ﷺ سے محبت اور احترام کی وجہ سے ہے کہ (جیسا کہ آپ دیکھتے ہیں کہ) اگر آپ دوسرے ممالک جاتے ہیں تو ، وہ تمام ٹریفک کو روک کر حکمران کی شان و شوکت ظاہر کرتے ہیں کہ تمام ٹریفک لائٹس روک دی جاتی ہیں۔ سبھی لوگ سڑکوں پر باہر کھڑے ہوتے ہیں اور قائد اپنی گاڑی پر اپنے تمام جھنڈوں کے ساتھ بلا تعطل گاڑی چلا رہا ہوتا ہے۔ اللہ (عزوجل) پیغمبر اکرم ﷺ کے احترام کے لئے کہتا ہے میں ہر جگہ لائٹس بند کرنے والا ہوں۔ ایک ہی لمحے میں وہ زمین پر کچھ بھیج دیتا ہے کہ ‘بپ ، بوپ ، بوپ ، بوپ’ ، اور سب کچھ بند ہوگیا۔ سب لوگوں کو گھر بھیج دیا گیا۔ ہر وہ چیز جو خلفشار تھی جس نے لوگوں کو اللہ عزوجل کی وحدانیت سے دور کر رکھا تھا، تو اللہ عزوجل نے اس نور کی حقیقت کے لئے انہیں انسانیت میں واپس لوٹا دیا۔ نبی ﷺ کے احترام اور عظمت میں۔ یہ کہ محمدی راہنما علیہ السلام زمین میں قدم رکھنے ہی والے ہیں۔ اور اللہ (عزوجل) فرماتا ہے کہ وہ آپ کی پوری توجہ چاہتے ہیں اور وہ عزوجل ہر چیز کی لائٹس کو بجھ جانے کا حکم دیتا ہے۔ جانے کےلئے کوئی کاروبار نہیں ،کسی کے پاس کوئی کام نہیں جس کےلئے جایا جائے، اب گھر پر بیٹھ جانا لازمی قرار دیا گیا ہے اور یہاں تک کہ وہ اب یہ بھی کہہ رہے ہیں کہ ایک جگہ سے دوسری جگہ نہیں جانا ، بیٹھ جائیں، اپنے گھروں میں ، اپنے گھر اور رہائش گاہ میں جائیں ، اگر آپ اپنے گھر سے باہر آتے ہیں تو آپ مشکل میں پڑ جائیں گے۔
حَتَّىٰ إِذَا أَتَوْا عَلَىٰ وَادِ النَّمْلِ قَالَتْ نَمْلَةٌ يَا أَيُّهَا النَّمْلُ ادْخُلُوا مَسَاكِنَكُمْ لَا يَحْطِمَنَّكُمْ سُلَيْمَانُ وَجُنُودُهُ وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ
یہاں تک کہ جب چیونٹیوں کے میدان میں پہنچے تو ایک چیونٹی نے کہا کہ چیونٹیوں اپنے اپنے بلوں میں داخل ہو جاؤ ایسا نہ ہو کہ سلیمان اور اس کے لشکر تم کو کچل ڈالیں اور ان کو خبر بھی نہ ہو۔ (سورت النمل:18)
جب تک کہ انہیں رزق ، روزی ، خوراک کیلئے اجازت نہ ہو۔ لیکن اللہ عزوجل کی عظمت اب یہ احترام اور عزت دکھا رہی ہے وہ آپ کی پوری توجہ کا حکم دیتا ہے۔ اپنے گھر میں بیٹھیں اور دیکھیں اگر آپ یقین رکھتے ہیں تو۔ اپنی انسانیت کی طرف لوٹ آئیں۔ اور جیسے ہی وہ اپنے گھر میں بیٹھتے ہیں ، شیطان کا فساد بکھرنے لگتا ہے۔ اس نے ہر شخص کو خلفشار اور بھاگنے دوڑنے سے دوچار کر رکھا تھا۔ اب ، لوگ نہیں جانتے کہ اپنے گھر میں کیا کرنا ہے اور اللہ (عزوجل) آپ کو گھر میں بیٹھ کر تفکر کرنے کا موقع فراہم کررہا ہے۔ اپنے گھر میں بیٹھ کر ان علوم سے پڑھیں۔ اپنے گھر میں بیٹھ کر صلوات پڑھیں۔ اپنے گھر میں بیٹھ کر اپنے اطراف سے لطف اٹھائیں اور محبت کے راستے پر گامزن ہوں اور یہی وہ نور المحمدی (ﷺ) ہے جو اب زمین میں حرکت کر رہا ہے۔ ہم دعا کرتے ہیں کہ اللہ (عزوجل) ہمیں وہ نور عطا کرے ، ہمیں اس نور سے نوازے ، ہمیں عاشقوں میں سے بننے کی توفیق عطا فرمائے کہ جیسے ہی ہم تلاوت کر رہے ہوتے ہیں ، اسی محبت کے ساتھ ہم ان کی بارگاہ میں موجود ہوتےہیں۔ عشق اتنا طاقتور ہوتا ہے جب ہم سیدنا مہدی عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ کی شان کے بارے میں تلاوت کرتے ہیں تو اس میں کوئی شک نہیں کہ ہم سیدینا مہدی عَلَيَلَهِ ٱلسَّلَامُ کی بارگاہ میں ہوتے ہیں۔ جب ہم حضرت علی عَلَيَلَهِ ٱلسَّلَامُ کی شان میں محبت کے ساتھ قصیدہ خوانی کرتے ہیں تو کوئی شک نہیں کہ ہم امام علی عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ کی بارگاہ میں ہوتے ہیں۔ یہ تلاوتیں/قصیدہ خوانیاں جیڈائی (Jedi) قوت جیسی طاقتور قوت ہیں۔ جیسے ہی آپ نے تلاوت کی ، آپ ان کی بارگاہ میں حاضر ہو گئے۔ انہیں جہاز کی ضرورت نہیں ہے ، ہمیں وہاں لے جانے کے لئے کسی چیز کی ضرورت نہیں ہے۔ بس اتنا ہی ضروری ہے کہ وہ محبت کے ساتھ اس کی تلاوت کرنا شروع کردیں روحیں ان کی بارگاہ میں ایک لمحے میں حرکت میں آرہی ہوتی ہیں تاکہ وہ انہیں آراستہ فرمائیں۔ انکی برکت سے۔ ہم پر ان کی نظر ، ان کا کمال ، وہ لوگ جن کے اعمال اور کام درست ہیں۔ وہ ہمیں اپنی روشنی سے ملبوس فرمائیں، وہ ہمیں اپنی روشنی سے نوازیں اور وہ ہماری روحوں پر اپنی مدد بھیجیں۔ ہم دعا کرتے ہیں کہ اللہ (عزوجل) اس کو آراستہ کرے، اس پر نوازشیں عطا فرمائے، اور اس میں اضافہ فرمائے کہ ینصرُک اللہ نصراً عزیزا۔ یا ربی! ایک زبردست مدد کے ساتھ ہماری حمایت فرما۔
بِحُرمَةِ مُحَمَّد اَلمُصطفٰی وَ بِسِرّ سُورَۃ الفَاتِحَہ
الحمد للہ ہر شخص اسراء والمراج پر ہے۔ اگر آپ کو یہ محسوس نہیں ہوتا ہے تو سیدنا محمد ﷺ کے لئے اپنے عشق میں اضافہ کریں، ہر ذکر ، ہر انجمن اور خاص طور پر اگلی چند راتیں اپنے آپ کو سیدنا محمدﷺ کی بارگاہ میں تصور کریں۔ ان کا مقدس چہرہ دیکھنے کے لئے مت سوال کریں، ہم اس درجے پر نہیں ہیں…. ہمیں اس کا سامنا کرنے میں شرم محسوس ہونی چاہئے۔ (ایسے کہیں کہ) میں آپ (ﷺ) کا خوبصورت پاؤں دیکھنا چاہتا ہوں۔ آپ (ﷺ) کا خوبصورت مقدس پیر ، خوبصورت سینڈل کے ساتھ کہ میرا مقام انشاء اللہ ہمیشہ آپ (ﷺ) کے مقدس پیر کے نیچے ہے۔ بس مجھے اپنے مقدس پیر میں رکھیں اور مجھے آراستہ فرمائیں، مجھے برکت عطا فرمائیں اور یہئ میری معراج ہے، یہ سب سے بڑا تحفہ ہے کہ اگر اللہ (عزوجل) ہمیں عطا کرنا چاہتا ہے تو وہ مقام یہی ہے کہ ہمیں سیّدی رسول ﷺ کے قدم مبارک تلے رکھے، سیدنا محمد ﷺ کے قدم اور نظر کے نیچے۔ انشاء اللہ۔ 💕💚🌻
سُبحانَ رَبِکَ رَبِّ العِزةِ عَمَّ يَصِفُون وَ سَلاَمُ عَلَي المُرسَلِين وَالحَمدُ الله رَبِّ العَالِمِين بِحُرمَةِ مُحَمَّد اَلمُصطفٰی وَ بِسِرّ سُورَۃ الفَاتِحَہ 💕
————————————————-
WATCH HERE: https://www.facebook.com/shaykhnurjanmirahmadi/videos/1880858825547029/
FOR ENGLISH: https://www.facebook.com/sufimeditationcenterUSA/posts/2955219601234478:0?__tn__=K-R
Sayedna Muhammad ﷺ ki bargaah mubarak mein haazir honay ka taiz tareen aur taaqatwar tareen tareeqa :
Alhamdullilah ke Allah Azujal ne hamein jo khobsorat tareen haqeeqat ataa ki hai woh hai mohabbat ki yeh salahiyat aur mohabbat ki be panah taaqat jo aap ki aqal ko nahi balkay aap ke tamam hawaas ko harkat mein rakhti hai. Zehan hamein Nabi ﷺ ki bargaah mein nahi le ja sakta. Zehan, vahm aur khaam khayaali ke siwa aur kuch nahi kar saktha. Jo Allah (Azujal) ka sab se bara tohfa hai woh yeh hai ke “main ne kisi ensaan ko do dil nahi diye ”. Lekin yeh qalb jo Allah (Azujal) ne hamein diya aur is ki qabliyat aur is ki be panah taaqat (yeh ) hai ke is mohabbat se aur is ishhq se jo Allah (Azujal) ne Awliya Allah ko sikhaya hai, Awliya Allah bahar jatay hain aur –apne talba ko sikhate hain aur unn ke talba dosray talba ko sikhate hain, ( woh yeh hai ) ke aap soch ki raftaar se bhi taiz raftari se khala aur waqt se agay barh satke hain. ke mehez is mohabbat ke sath hi boom ( aap foran ) Syedna Mohammad (ﷺ) ki bargaah mein ( poanch jatay hain ).” Aap jis ke sath pyar karen ge is ke sath hon ge “., Syedna Mohammad (ﷺ) ke yeh alfaaz aik so das feesad, aik so hazaar feesad sach hain jo hamaray liye asharaat day rahay hain ke apni mohabbat qaim rakhen, Mujh (ﷺ) se pyar barqarar rakhen. Hatta ke woh ( Awliya Allah ) tashreef laatay hain aur farmatay hain ke agar aap Syedna Muhammad ﷺ se mohabbat nahi karte to aap kufar mein daakhil hogaye hain. Aap –apne islam ke khilaaf aagaye hain lekin yeh haqeeqat jo Allah (Azujal ) ne hamein day di hai ke agar aap ko yeh pyar hai to, is mohabbat ko farogh den phir aap aik lagataar Miraaj mein Syedna Mohammad (ﷺ) ki bargaah mein rahen ge aur har lamhay Syedna Muhammad ﷺ Allah Azujal ki khudai bargaah ki janib mairaaj mein hain. Yeh aik raat nahi hai. 27 ka yeh raaz aik baab hai, aik darwaaza hai aur aik gate hai, yeh aik aks hai jo Allah Azujal bayan farmata hai. Ke –apne masroof saal mein kam az kam aik baar rukien aur ghhor karen. Ahal al Haqaiq ki taleem apni tamam tar zindagi mein yahi hoti hai ke hamesha isi darwazay par rehna hai. Hamesha is ishhq ke sath aur is mohabbat ke sath darwazay par intzaar karte rahen, darwazay par intzaar karte rahen, –apne aap ko Syedi rasool Allah (ﷺ) ke roza shareef par dekhte rahen ke ana abdukal ajizu daifu miskeen wa zalim wa jahl, Ya Sayyidi, Ya Rasool-e-Kareem, Ya Habeeb al Azeem, aap kabhi bhi kisi totay huwy dil, koi ghareeb faqeer, koi bhi jo aap ke darwazay par, aap ke gate par, aap ki dehleez par aata hai usay nahi wapas lutate. Aur Awliya Allah aik formula ataa farmana shuru karte hain ke yeh mohabbat hi hai ke jis se aap “pheew” urr ke ( unn ki bargaah mein ) poanch jatay hain. Yeh aap ki aqal ke sochnay ki baat nahi hai, (ke aap sawal karen ke) ya murshadi! Mein nahi jaanta ke kis terhan (is mein ) izafah kya jaye, mein nahi jaanta ke usay kaisay mehsoos karna hai. ” aap ko yeh mehsoos nahi ho raha kyunkay aap waqai is se mohabbat nahi karte. Aap ki mohabbat abhi wahan mojood nahi hai. Aap mehez is ki naqal kar rahay hain kyunkay agar aap se poocha jaye ke aap ko kitna pyar hai? (to is ka jawab is baat se mil jaye ga ke ) aur aap rozana kitni tadaad mein Syedi rasool Allah (ﷺ) par duroood o salam bhaijtay hain? Koi nahi, do, soo, aik, paanch? Aap ko is terhan mohabbat kaisay haasil ho gi? Aap –apne bachay se bohat ziyada pyar karte hain. aap sara din –apne bachay ka naam letay rehtay hain. Aap sara din –apne shareek hayaat ke naam ka tazkara karte rehtay hain. Lehaza, woh hamein sikhate hain agar aap unn ﷺ se pyar karte hain to unn ﷺ ke naam ka aksar zikar karen. Syedna Mohammad ﷺ ki hamd o sana ke sath –apne honton ko meetha aur tar rakhen. Agar hum ishhq ko mehsoos nahi kar rahay hain to kami hamari taraf se hai un ki taraf se nahi. Hamein sirf mohabbat karna hai .
Aap sab ko karna hai … kya koi gana hai? “Ap sab ko pyar ki zaroorat hai ” ( aik madhur aawaz mein ). .. to haan, hamein bas yahi zaroorat hai. To, yeh hai, aur unhon neh usay itna asaaan bana diya hai, baqi doosri cheezian jo log karte hain woh –apne nafs ko sudharnay ke liye hain. (maslan ) wudu kaisay karen, mein neh phir se aik dilchasp video dekhi, aap ko maloom hai jaisay mein neh hamesha is ka zikar kya hai ke har din wudu par aik nai video aati hai. (Is video mein ) woh dastaana pehnta hai aur kuch siyahi dalta hai aur zahir karta hai ke woh wudu karta hai aur ae mere khuda! woh saaray hissay jo abhi tak safaid hain, usay poori siyahi se dhanpna hai. Mazhaka khaiz! mazhaka khaiz! yeh aap ko kabhi bhi bargaah Ellahi tak nahi pohnchaye ga. Is se aap ko siyahi company ke liye mulazmat mil jaye gi lekin yeh khudai bargaah mein dakhala nahi dilaye gi. Bargaah Ellahi ko is gadhay ( yani hamaray jism ) ki parwah nahi hai. Aap ko pani ( ki ahmiyat ko ) samjhna tha aur thora sa aap neh aik cupp jitne pani se dho liya, lekin aap ko –apne andar aur dil ko dhona tha .
Allazeena aamanoo wa tatma’innu quloobuhum bizikril laah; alaa bizikril laahi tatma’innul quloob
“Woh log jo imaan laaye aur jin ke dil Allah Azujal ki yaad se raazi ho jatay hain. Byshak Allah Azujal ke zikar mein dilon ko itminan milta hai.” [ surah al Ra’d : 28 ]
ke Zikr Allah dil ki haqiqtain khol deta hai phir Awliya Allah tashreef laatay hain aur taleem farmana shuru karte hain ke Allah Subhana wa Taa’la ka azeem tareen zikar, jab “zikril laahi tatma’innul quloob” kehte hain to, haqeeqat mein, kuch logon neh usay aisay samjha ke “Allah” kehnay ka zikar dil mein sukoon lata hai lekin haqeeqat mein yeh nahi hai, Allah Azujal ka zikar kya hai jo aap ke dil ko sukoon bkhshta hai? “Allah” kehnay ka zikar nahi balkay Allah Azujal ka zikar kya hai jo aap ke dil ko sukoon faraham karta hai aur Allah Azujal ka zikar yeh hai ؛
إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
Innal laaha wa malaaa’i katahoo yusalloona ‘alan Nabiyy; yaaa aiyuhal lazeena aamanoo salloo ‘alaihi wa sallimoo tasleemaa
Allah aur is ke farishtay Sayedi rasool Allah (ﷺ ) par duroood o Salam bhaijtay hain : Ae imaan walo! tum bhi aap (ﷺ ) par darood o salam bhaijho (Aur unhen(ﷺ) ko poori izzat se salam karo ) [ surah Ahzab : 56 ]
Allah (Azujal) ka zikar Syedna Mohammad ﷺ ki tareef aur salawat hai aur bohat se Awliya Allah bayan karte hain ke is haqeeqat se ziyada taaqatwar koi cheez nahi, ke yahi woh tareeqa hai jis se Allah (Azujal) hamd o sana chahta hai. Aur ishhq ke sath ki gayi hamd o sana. Yani agar aap hamd o sana karna shuru kardete hain aur os ki hamd o sana karte hain ke jo itna sakhi hai ke aap ki aik salawat ke sath Nabi ﷺ ki nazar mubarak aati hai aur hamein malbos karna shuru kardeti hai. Agar aap usay mehsoos nahi kar rahay, to –apne duroood shareef mein izafah karen. Agar aap unn ﷺ se pyar mehsoos nahi kar rahay to, –apne duroood shareef ko barha den. Aisay mashaiykh par tavajja nah den, aisay logon par tavajja nah den jo aap ko ruswa karen aur jo khud napaidaar hon. Warna phir aap kahin ge,” oh! mein is saaray islam ko nahi janta” nahi, nahi, islam kaamil hai aur log namukammal hain aur un ke liye zurori bhi nahi ke woh kaamil hon. woh Syedna Muhammad ﷺ ke maqam ke muqablay mein kahin bhi nahi hain. Woh haqeeqat ke andar mehez qatray hain aur un ka wahid maqsad yeh tha ke woh hamein hadaayat den aur imaan ka namona banin, aik misaal. Woh shakhs nahi ke jis ki pooja ki jaye aur nah hi aisa shakhs ki jis ki mubaligha amaiz sataish ki jaye ( personality cult ) ke jahan up ko lagta hai ke yeh sab isi shakhs ke barey mein hai. Nahi, mut-taqi logon ko to mehez is ki aik misaal paish karni thi, yeh mein nahi, aap ka pyar syedna Muhammad ﷺ se ke liye hai. Kya aap bohat sara duroood shareef parh rahay hain? kya aap aksar durood o salam paish kar rahay hain? kya aap khud sab se pooch rahay hain ke “main roza shareef par hun”? aur mujhe yaad hai 15 saal pehlay jab hum aap ko taleem day rahay they ke khud ko rulaayea, –apne aap ko is roza mubarak par rulaayea. Agar aap aik aisay shakhs hain jo roota nahi hai to aap ki dil ki sath zaroor koi masla hai. Agar aap ayen to mein aap ko rulane ke liye kuch karoon ga. Sab ke andar ansoo mojood hain. Ab aap ne dekha ke duniya ro rahi hai. Lehaza, jo log kunba ke sath hain, –apne ghar walon ko bilkul mayoosi mein tasawwur karen ke har terhan ki mushkilaat un ke paas aa rahi hain. Raat ko roza shareef mein bathain aur sawal karen ke, barah karam, Ya Sayedi, ya rasool kareem (ﷺ) mein aap ki muqaddas dehleez par hon mujh par nigah farmaen. Mere bachon par nigah farmaen, mere tamam pyaron par nigah farmaen. Baraye meharbani apni nazar mubarak mujh par rakhen. Agar meri mohabbat mein kami thi to mujhe maaf farma dien. Agar mein ne aap ko apna pyar dikhaane ke liye kaafi kaam nahi kya aur mein ne duniya ki pooja ki, to mujhe maaf farma den. Agar mein ne aap ke liye apni mohabbat zahir karne ke liye kaafi kaam nahi kya to mujhe maaf farma den. Syedna Mohammad ﷺ ki dehleez par taluqaat ustuwar karen. Aur yeh sab kalaam jo hum parh rahay hain ke woh ( jin ke likhay hue yeh kalaam hain ) kitna ro rahay hain aur kitna ro rahay hain. Woh rasool Allah ﷺ ki dehleez par ro rahay they ke mera maamla Allah Azujal ke paas le jayen aur barah karam is baat ko yakeeni banayen ke anay wali tamam buraiyon se mein aur mere tamam pyare mehfooz rahen. Mujhe tornay aur mujhe kuchalnay ki zaroorat nahi hai. Mein pehlay hi aap ki dehleez par sawal kar raha hon, mein; Syedi, ya rasool kareem ﷺ Aap ﷺ se sawal kar raha hon aur dua kar raha hon, ke Aap ﷺ kareem hain aur yeh ke barah karam un par nigah farmaen, unhein aaraasta farmaen, unhein barket den aur mujhe maaf farma dien aur meri Aap ﷺ ke liye mohabbat mein izafah farma den. Taakay har lamha meri soch aap ﷺ ke barey mein ho. Mein apni tasbeeh nikalna chahta hon aur mein aap ki haqeeqat ki hamd o sana shuru karna chahta hon. Aur jab bhi mein aik hamd o sana sunta hon to meri aankhh aur dil mein ansoo anay lagta hai. Aur yahi baat hum ne kal raat ko bayan ki hai jab Allah ( Azujal ) se woh sawal kar rahay they ke,” ya rabbi, to kahan hai? “. woh kehta hai,” tumhari is aawaz mein, yeh pyar jo tumhe hai aur jab tum talawat karna shuru karte ho to mein isi aawaz mein mojood pyar hon” .
Aur jab aap ronay lagtay hain aur aap achi cheezon ke liye ronay lagtay hain, kisi ghalat / burii cheez ke liye nahi rotay ke uss nay aap ko chor diya aur kisi nay aap ki car ko dhakail diya. Aajkal log is wajah se rotay hain ke un ki cars ko dobarah se qabzay mein le liya gaya hai kyunkay woh raqam / iqsat ki adaigi nahi krpaye. Nahi, nahi jab aap pyar aur ishhq se ro rahay hotay hain, jis se Allah Azujal mohabbat karta hai aur aap Syedi Rasool Allah ﷺ ke darwazay par ronay lagtay hain, barah karam mere Ahl e khanah ko bachayen. Barah karam mere sab jawanoo ko bachayen. Mujhe mushkil aur gham se bachayen. Jaisay hi aap ronay lagen aur Allah ( Azujal ) sikhana shuru karta hai ke mein aap ke chehray mein mojood woh jazbaat hon. Mein ansoo hon jisay tum baha rahay ho. Is ka matlab yeh hai ke Allah Azujal hamaray tamam achay jazbaat ka jazba hai. Agar hamein pyar hai to Allah Azujal ki bargaah mohabbat hai. Agar aap mohabbat se duur hain to, aap Allah Azujal se dur hain. Mein woh pyar hon jo aap ke dil mein paywast hai. Mujhe –apne dil mein lao, meri mohabbat ko –apne andar lao aur meri mojoodgi ka ehsas karo. Jab dil mein pyar nahi hota to is ka matlab hai ke Allah Azujal dil mein nahi hai. Mohabbat imaan hai, imaan mohabbat hai. hum pyar ki baat karte hain aur doosri saqafton walay log kehte hain,” aap itni ziyada mohabbat ki baat kyun karte hain? “. Hum hawas ( sex ) ki baat nahi kar rahay. Hum mohabbat aur pyar ki baat kar rahay hain. Har khobsorat jazba Allah Azujal ki bargaah Ellahi hai. Jab aap khoubsurti ke sath rotay hain, yeh Allah Azujal hai jo anso’on ko bahata hai. Mein woh khobsorat jazbaat hon jo aap ke andar mojood hain. Aur jab aap gussa mein aur buray hotay ho to woh shetan hota hai, Allah (Azujal) nahi. Allah Azujal is gazabb ke andar nahi mojood, yeh Allah (Azujal) ki taraf mansoob nahi hota yeh shetan ki sift hai. to, phir Allah (Azujal) farmata hai ke rehman ke paas ao, har uss cheez ke paas ao jo khobsorat aur achi aur garam josh aur mohabbat karne wali hai. Har woh cheez chor do jis nay Allah Azujal ki rehmat aur Allah Azujal ki hararat se mun phair liya hai aur sard aur gandi ho gayi hai. Lehaza, har khobsorat jazbaat Allah (Azujal) ka hum par khudai fazl hai. Lehaza, jaisay hi hum is mohabbat mein izafah karen ge hum udney lagen ge. Har raat Sayedna Mohammad (ﷺ) se mohabbat ki Isra wal Miraj hogi .
( Aaj kal ki wabaa se ) pehlay duniya bohat masroof thi aur log bhaag daud kar ney mein masroof they. Mgr ab Allah ( Azujal ) ki be had Haibat aur be panah zabardast taaqat, syedna Mohammad ﷺ se is ki be panah mohabbat ( ke baais ) ke “Ab mere Muhamadion, Hazrat Mehdi Alaihi Salam ( tashreef laa rahay hain ) ” yani Mehdi alaihi salam ka “meem” hadaayat kay aur hadi key tamam tar “meem” ka badshah hai. Woh ( AS ) Muhammadan haadi hain. Sab se ounchay, wahid ounchay tareen Muhammadi ﷺ rahnma ab duniya mein daakhil ho rahay hain aur yeh Sayedna Mohammad ﷺ se mohabbat aur ehtram ki wajah se hai ke ( jaissa ke aap dekhte hain ke ) agar aap dosray mumalik jatay hain to, woh tamam traffic ko rokkk kar hukmaran ki shaan o Shaukat zahir karte hain ke tamam traffic lights rokkk di jati hain. Sabhi log sarkon par bahar kharray hotay hain aur Quaid apni gaari par –apne tamam jhandon ke sath bila ta’attul gaari chala raha hota hai. Allah (Azujal) paighambar akram ﷺ ke ehtram ke liye kehta hai mein har jagah lights band karne wala hon. Aik hi lamhay mein woh zameen par kuch bhaij deta hai ke’ beep, boop, boop, boop ‘, aur sab kuch band hogaya. Sab logon ko ghar bhaij diya gaya. Har woh cheez jo khlfshar thi jis ney logon ko Allah Azujal ki wahdaniyat se daur kar rakha tha, to Allah Azujal ney is noor ki haqeeqat ke liye inhen insaaniyat mein wapas lota diya. Nabi ﷺ ke ehtram aur Azmat mein. Yeh ke Muhammadi rahnma Alaihi salam zameen mein qadam rakhnay hi walay hain. Aur Allah (Azujal) farmata hai ke woh aap ki poori tavajja chahtay hain aur Woh Azujal har cheez ki lights ko bujh jaany ka hukum deta hai. Jaany ke liye koi kaarobar nahi, kisi ke paas koi kaam nahi jis ke liye jaya, ab ghar par baith jana laazmi qarar diya gaya hai aur yahan taq ke woh ab yeh bhi keh rahay hain ke aik jagah se doosri jagah nahi jana, baith jayen, –apne gharon mein, –apne ghar aur rahaish gaah mein jayen, agar aap –apne ghar se bahar atay hain to aap mushkil mein par jayen ge.
حَتَّىٰ إِذَا أَتَوْا عَلَىٰ وَادِ النَّمْلِ قَالَتْ نَمْلَةٌ يَا أَيُّهَا النَّمْلُ ادْخُلُوا مَسَاكِنَكُمْ لَا يَحْطِمَنَّكُمْ سُلَيْمَانُ وَجُنُودُهُ وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ
hattaaa izaaa ataw ‘alaa waadin namli qaalat namlatuny yaaa aiyuhan namlud khuloo masaakinakum laa yahtimannakum Sulaimaanu wa junooduhoo wa hum laa yash’uroon
“yahan tak ke jab chiontyon ke maidan mein puhanche to aik choonti ney kaha ke chiontyon –apne –apne bilon mein daakhil ho jao aisa nah ho ke Sulaiman aur is ke lashkar tum ko kuchal dalain aur un ko khabar bhi nah ho”. ( Surah Namal : 18 )
Jab tak ke inhen rizaq, rozi, khoraak ke liye ijazat nah ho. Lekin Allah Azujal ki Azmat ab yeh ehtram aur izzat dikha rahi hai woh aap ki poori tawajah ka hukum deta hai. –apne ghar mein bathain aur dekhen agar aap yaqeen rakhtay hain to. Apni insaaniyat ki taraf lout ayen. Aur jaisay hi woh –apne ghar mein baithtay hain, shetan ka fasaad bikharne lagta hai. Is ney har shakhs ko khlfshar aur bhagnay dornay se dochar kar rakha tha. Ab, log nahi jantay ke –apne ghar mein kya karna hai aur Allah ( Azujal ) aap ko ghar mein baith kar tafakar karne ka mauqa faraham kar raha hai. Apne ghar mein baith kar un aloom se parheen. –apne ghar mein baith kar salawat parheen. –apne ghar mein baith kar –apne atraaf se lutf utthayen aur mohabbat ke rastay par gamzan hon aur yahi woh noor Al Muhammadi (ﷺ) hai jo ab zameen mein harkat kar raha hai. Hum dua karte hain ke Allah (Azujal) hamein woh noor ataa kere, hamein is noor se nawazay, hamein aashiqon mein se ban’nay ki tofeq ataa farmaiye ke jaisay hi hum talawat kar rahay hotay hain, isi mohabbat ke sath hum un ki bargaah mein mojood hotay hain. Ishhq itna taaqatwar hota hai jab hum Syedna Mehdi علیْه ٱلسلام ki shaan ke baray mein talawat karte hain to is mein koi shak nahi ke hum Syedina Mehdi علیله ٱلسلام ki bargaah mein hotay hain. Jab hum hazrat Ali علیله ٱلسلام ki shaan mein mohabbat ke sath Qasida khawani karte hain to koi shak nahi ke hum imam Ali علیْه ٱلسلام ki bargaah mein hotay hain. yeh tilawatien / Qasida khuwania jedi qowat jaisi taaqatwar qowat hain. Jaisay hi aap ney talawat ki, aap un ki bargaah mein haazir ho gaye. Inhen jahaaz ki zaroorat nahi hai, hamein wahan le jaanay ke liye kisi cheez ki zaroorat nahi hai. Bas itna hi zurori hai ke woh mohabbat ke sath is ki talawat karna shuru kar dein roohein un ki bargaah mein aik lamhay mein harkat mein aa rahi hoti hain taakay woh inhen aaraasta farmaen. Unki barket se. Hum par un ki nazar, un ka kamaal, woh log jin ke aamaal aur kaam durust hain. Woh hamein apni roshni se malbous farmaen, woh hamein apni roshni se nawaazain aur woh hamari rohoon par apni madad bhejen. Hum dua karte hain ke Allah (Azujal) is ko aaraasta kere, is par nawazishen ataa farmaiye, aur is mein izafah farmaiye ke wa yansurakAllahu nasran ‘aziza, Ya Rabbi. wa yansurakAllahu nasran ‘aziza,
ya rabbi! aik zabardast madad ke sath hamari himayat farma .
Bi Hurmati Muhammad al Mustafa wa bi siri Surat al-Fatiha Alhamdullilah har shakhs Isra wal Miraj par hai. Agar aap ko yeh mehsoos nahi hota hai to Syedna Mohammad ﷺke liye –apne ishhq mein izafah karen, har zikar, har anjuman aur khaas tor par agli chnd raatain –apne aap ko Syedna Mohammad ﷺ ki bargaah mein tasawwur karen. Un ka muqaddas chehra dekhnay ke liye mat sawal karen, hum is darjay par nahi hain …. hamein is ka saamna karne mein sharam mehsoos honi chahiye. (aisay kahin ke ) mein Aap (ﷺ ) ka khobsorat paon daikhna chahta hon. Aap (ﷺ ) ka khobsorat muqaddas paiir, khobsorat sandle ke sath ke mera maqam Insha Allah hamesha Aap (ﷺ ) ke muqaddas paiir ke neechay hai. Bas mujhe –apne muqaddas paiir mein rakhen aur mujhe aaraasta farmaayen, mujhe barket ataa farmaayen aur yehi meri mairaaj hai, yeh sab se bara tohfa hai ke agar Allah ( Azujal ) hamein ataa karna chahta hai to woh maqam yahi hai ke hamein Syedi rasool ﷺke qadam mubarak taley rakhay, Syedna Mohammad ﷺ ke qadam aur nazar ke neechay. Insha Allah . 💕💚🌻
Source