
Urdu – سوال ۴: اگر ہم فاصلے سے (کسی دور جگہ سے ) تفکر اور شیخ سے روحانی رابطہ بنان…
سوال ۴: اگر ہم فاصلے سے (کسی دور جگہ سے ) تفکر اور شیخ سے روحانی رابطہ بنانے کی کوشش کر رہے ہیں ، تو کیا ہمیں بعض اوقات شیخ سے چیک کرنا چاہئے تاکہ یقین ہو جائے کہ ہم یہ ٹھیک طریقے سے کر رہے ہیں ؟
اَعُوْذُ بِاللہ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ ۞بِسْمِ اللہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ ۞
اللَّهُمّ صَلِّ عَلَى سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ النَّبِّيِّ الأُمِّيِّ وَعَلَى آلِهِ وَصَحْبِهِ وَسَلِّمْ
مولانا شیخ سید نورجان میر احمدی نقشبندی (ق)
آپ کر سکتے ہیں … دور سے ہر ایک کو کرنا چاہئے۔ دور رہنے والے … بہت اچھے سوالات کر رہے ہیں ، اس سے پتہ چلتا ہے جو لوگ بہت قریب ہیں ، وہ اتنا کام نہیں کررہے ۔ لہذا ، ان سوالات اور جوابات کے بارے میں ایک اچھی بات یہ ہے کہ ہمارے مقامی لوگ سن رہے ہیں اور کہتے ہیں ، ‘اوہ ، مجھے تو ایسا تجربہ نہیں ہوا ، مجھے یہ تجربہ نہیں ہوتا ، مجھے یہ محسوس نہیں ہوتا ، مجھے ایسا محسوس نہیں ہوتا ‘ کیونکہ ، جو قریب ہیں، یہ ایسا ہے، جو ہم نے پہلے بیان کیا تھا: وہ لوگ جو مکہ مکرمہ میں ہیں وہ حج نہیں کرتے ، تو (اسی طرح جو شیخ کے قریب رہتے ہیں )وہ اس رشتے کا شرف ادانہیں کر پاتے۔ لہذا ، فاصلہ اور وقت آپ کیلئے ایک برکت اور ایک نعمت ہے، جو دور رہتے ہیں اور شرکت کرتے ہیں ، وہ عطیات دے رہے ہیں ، وہ دے رہے ہیں ، وہ مدد کررہے ہیں ، وہ مراقبہ (تفکر) کررہے ہیں ، یہ وہ لوگ ہیں جو سب زبردست سوالات پوچھتے ہیں ، ‘مجھے یہ محسوس ہوتا ہے ، مجھے وہ محسوس ہوتا ہے ، میں یہ تمام چیزیں محسوس کر رہا ہوں ،’ جیسے ہی وہ تفکر میں بیٹھتے ہیں ، وہ ای میل کر تے ہیں کہ وہ بڑھتی ہوئی حرارت محسوس کر رہے ہیں ، وہ موجودگی (حضور) اور نظر محسوس کر رہے ہیں ، اور یہ سب ،ایک بہت عظیم نعمت ہے اور آپ کو بس یہ سب چیک کرنا ہے ۔کیونکہ تفکر کی ہدایات (کیلئے ) ہمیں ای میل کریں —میں نہیں جانتا کہ تفکر کیسے کرنا ہے ‘ ہم آپ کو ایک خط بھیجتے ہیں، جس میں واضح ہدایت ہیں کہ کیسے کرنا ہے ۔ آپ کو واپس بس یہ چیک کرنا ہے کہ ، ‘میں رابطہ بنا رہا ہوں ، میں کوئی بھی خیالی باتیں نہیں سن رہا جو میرے تفکر میں آتی ہیں ۔ میں صرف طاقت کے سمندر تک پہنچنے کیلئے درخواست کر رہا ہوں اور کیا سب کچھ ا بھی تک ٹھیک ہے’۔ کیونکہ یہ ایسا نہیں ہے کہ آپ کہیں اور ‘میں مراقبہ کرتا ہوں اور اب مجھے یہ سارے خیالی تصورات آ رہے ہیں ، میں نے ایسے دیکھا ، میں نے ویسے دیکھا’۔ ایسی خیالی سوچ کے بارے میں بات کرنے سے خود کو باز رکھیں، کیونکہ وہ آپ کو انتہائی خطرناک سمتوں میں لے جاسکتی ہیں۔ جب وہ (خیال )آتے ہیں تو بس یہ کہیں : ‘میں کچھ نہیں ، میں کچھ نہیں ، میں ناچیزہوں ، میں صرف طاقت کے سمندر (بحر القدرۃ)میں داخل ہونا چاہتا ہوں’۔ اس طاقت کے سمندر (بحر القدرہ)، اس کا ثبوت کہ آپ بحر القدرہ سے اور آپ طاقت کے سمندر سے آراستہ ہیں ، ہم نے دو راتیں قبل بیان کیا تھا۔
رجال( روحانی طور پرپختہ ہونے) کا ثبوت کیا ہے جو بحر القدرہ سے آراستہ ہے؟
خُلق ، خُلق (حُسنِ اخلاق)
کیونکہ ہمارے آقا (سیدنا محمد المصطفی ﷺ) کو اللہ (عزوجل) نے کیا لقب دیا؟ جب آپ ہمارے آقا کو جاننا چاہتے ہیں کہ اُن کا اعلی مقام کیا ہے ، اللہ (عزوجل) نے فرمایا— خُلق العظیم —’نہ صرف میں نے اُن (ﷺ) کو طاقت کا تاج دیا ، میں نےاُن کو قرآن کریم کے اسرار دیئے ، میں نے اُن (ﷺ) کو سب چیزوں سے نوازا’۔ لیکن اللہ (عزوجل) کے حقائق کی مہر “خُلق العظیم” ہے
| آیت مبارکہ |
وَإِنَّكَ لَعَلَىٰ خُلُقٍ عَظِيمٍ
اور بے شک آپ بڑےاعلی ،عظیم اخلاق کے مالک ہیں۔
سورۃ القلم (68) آیت (4)
کہ اللہ ( عزوجل) کیلئے جس کی عظمت ایسی ہے کہ سمجھی نہیں جا سکتی ہے، مخلوق کی ہر شئے جس کا ہمیں شعور ہے، اُس سے بلندو بالا ہے ، اللہ (عزوجل) یہ “عظیم” نبی کریم (ﷺ) کی حقیقت کو عطا کر کے فرما تاہے— یہ عظیم ہیں ، تصور سے بڑھ کہ آپ (ﷺ) کا اخلاق عظیم ہے، أَدَّبَنِي رَبِّي فَأَحْسَنَ تَأْدِيب۔
أَدَّبَنِي رَبِّي فَأَحْسَنَ تَأْدِيب
میرے رب نے مجھے حُسن ادب سکھایا ہے اور اُس نے مجھے احسن طریقے سے سکھایا ہے
نبیِ کریم سیدنا محمد المصطفی ﷺ
|حدیث نبویﷺ|
اور پھر نبی کریم (ﷺ) ہمارے پاس تشریف لائے اور فرمایا:، ‘میں صرف آپکے اخلاق کو کامل کرنے کیلئے بھیجا گیا ہوں اور اللہ (عزوجل) جس بات سے رضی ہے ، اُسکی خیرات دینے کیلئے بھیجا گیا ہوں۔’ اسلام ایک انعام نہیں مطلب آخر ی مقصدنہیں ہے… لیکن نبی کریم (ﷺ) دین لیکر آئے تاکہ آپکے اخلاق کو کامل کیا جائے۔ آپ کا اخلاق انجام اور نتیجہ تھا۔ وہ اس لئے تشریف نہیں لائے کہ فرمائیں،’یہ لو اسلام’ ، اب تم یہ کہتے پھرو، میرے پاس اسلام ہے ، میں نے آسمان فتح کر لیے، میں اللہ (عزوجل) کا جنتی بندہ ہوں ۔ لیکن نبی کریم (ﷺ) کی عظمت جو (انعام ) لا رہی ہے وہ ایک دین ہے جو آپ کو حیوان سے رضوان بنا دے گا، آپ اپنی حیوانیت اور جانوروں کی قوم سے آزادہوجائیں گے ، اور جنت کی سلطنت میں داخل ہوں گے۔
لہذا ، اسلام ایک ذریعہ تھا کہ یہ حتمی مقصد نہیں تھا ، ‘اوہ مجھے اسلام مل گیا، اب میں زمین کا سب سے بڑا انسان ہوں’ ۔نہیں ، اب آپ کو اسلام مل گیا ہے، اب آپ کے پاس موقع ہے کم از کم بچ کے رہیں اور جانوروں کی قوم سے نکل جائیں ۔ لہذا، اس لئے نبی کریم (ﷺ) نے ہمارے لئے بیان فرمایا ہے: ‘میں بھیجا گیا… یہ سب دین، یہ تمام کتابیں، یہ ساری طاقت، اس لئے ہےکہ آپ کو حیوان سے نجات دے، اپنے جنگلی اور حیوانی کردار چھوڑ دیں اور خود کو رضوان بنائیں ، وہ جسے اللہ (عزوجل) محبت کرتا ہے اور اُس اخلاق کو محبت بھری نظر سے دیکھتا ہے ۔
إِنَّمَا بُعِثْتُ لِأُ تَمِّمَ مَكَارِمَ الْأَخْلاقِ
میں اعلیٰ اخلاق کی تکمیل کے لئے بھیجا گیا ہوں/
مجھے آپ کے اخلاق کو کامل کرنے کیلئے بھیجا گیا ہے
نبیِ کریم، سیدنا محمد المصطفی ﷺ
|حدیث نبویﷺ|
لہذا، دنیا میں تمام مراقبے، تمام تصوراتی لباس، ‘میں یہ ہوں ، میں وہ ہوں ‘، اگر آپ طاقت کے سمندر (بحر القدرۃ) تک نہیں پہنچ رہے اور یہ طاقت آپ کو ڈسپلن (نظم ضبط) دیتی ہے اور آپکی ساری بُری خواہشات نیچے لاتی ہے اور اگرآپ کا اخلاق خوبصورت طبیعت کا نہیں ہوا ، آپ اسے غلط کر رہے ہیں۔ آپ کو غصےنہیں ہونا چاہئے ، آپ کو یہ ساری بھڑاس نہیں ہونی چاہئے ، آپ کی یہ ساری بُری عادات نہیں ہونی چاہئے۔ لہذا ، ہمارا مقصد بہترین اوصاف (حُسن اخلاق) کا حصول ہے۔ آپ جہاں بھی جائیں اور جس طرح کی صورتحال میں بھی وہ آپ کو رکھیں– شائستہ (عاجز) رہیں ، اچھے رہیں ، صبر کریں ، اور الحمدللہ۔ انشاء اللہ ، (عزوجل) ہمیں اس حقیقت سے آراستہ فرمائے اور اسکی برکت سے نوازے۔
???????????????
||Sawal : agar hum faaslay se ( kisi daur jagah se ) tafakkur aur Shaykh se rohani rabita bananay ki koshish kar rahay hain, to kya hamein baaz auqaat Shaykh se check karna chahiye taakay yaqeen ho jaye ke hum yeh theek tareeqay se kar rahay hain ?
Mawlana Shaykh Sayed Nurjan Mirahmadi Naqshbandi (Q)
Aap kar satke hain. .. daur se har aik ko karna chahiye. Daur rehne walay … bohat achay sawalaat kar rahay hain, is se pata chalta hai jo log bohat qareeb hain, woh itna kaam nahi kar rahay. Lehaza, un sawalaat aur jawabaat ke baarey mein aik achi baat yeh hai ke hamaray muqami log sun rahay hain aur kehte hain,’ oh, mujhe to aisa tajurbah nahi hwa, mujhe yeh tajurbah nahi hota, mujhe yeh mehsoos nahi hota, mujhe aisa mehsoos nahi hota’ kyunkay, jo qareeb hain, yeh aisa hai, jo hum ney pehlay bayan kya tha : woh log jo Makkah Mukarama mein hain woh Hajj nahi karte, to ( isi terhan jo Shaykh ke qareeb rehtay hain ) woh is rishte ka tazeem nahi kar paate. Lehaza, faasla aur waqt aap ke liye aik barket aur aik nemat hai, jo daur rehtay hain aur shirkat karte hain, woh atiyat day rahay hain, woh day rahay hain, woh madad kar rahay hain, woh muraqba ( tafakkar ) kar rahay hain, yeh woh log hain jo sab zabardast sawalaat puchhte hain,’ mujhe yeh mehsoos hota hai, mujhe woh mehsoos hota hai, mein yeh tamam cheeze mehsoos kar raha hon,’ jaisay hi woh tafakkar mein baithtay hain, woh email karte hain ke woh barhti hui hararat mehsoos kar rahay hain, woh mojodgi ( huzoor ) aur nazar mehsos kar rahay hain, aur yeh sab, aik bohat azeem Nemat hai aur aap ko bas yeh sab check karna hai. Kyunkay tafakkar ki Hadayat ( ke liye ) hamein email karen —mein nahi jaanta ke tfkr kaisay karna hai’ hum aap ko aik khat bhaijtay hain, jis mein wazeh Hadayat hain ke kaisay karna hai. Aap ko wapas bas yeh check karna hai ke,’ mein rabita bana raha hon, mein koi bhi khyaali baatey nahi sun raha jo mere tafakur mein aati hain. Mein sirf taaqat ke samandar taq pounchanay ke liye darkhwast kar raha hon aur kya sab kuch abhi tak theek hai ‘. Kyunkay yeh aisa nahi hai ke aap kahin aur’ mein muraqba karta hon aur ab mujhe yeh saaray khyaali tasawurat aa rahay hain, mein naay aisay dekha, mein naay waisay dekha ‘. Aisi khyaali soch ke baarey mein baat karne se khud ko baz rakhen, kyunkay woh aap ko intahi khatarnaak simtao mein le ja sakti hain. Jab woh ( khayaal ) atay hain to bas yeh kahin :’ mein kuch nahi, mein kuch nahi, mein nacheez hon, mein sirf taaqat ke samandar ( Bahraul Qudra ) mein daakhil hona chahta hon ‘. is taaqat ke samandar (Bahraul Qudra), is ka saboot ke aap Bahraul Qudra se aur aap taaqat ke samandar se aaraasta hain, hum nay do raatain qabal bayan kya tha .Rajal ( Rohani tor per pukhta honay ) ka saboot kya hai jo Bahraul Qudra se aaraasta hai ? Khulq, Khulq ( Husn-e- ikhlaq ). Kyunkay hamaray Aaqa ( Sayedena Muhammad saws ) ko Allah (AJ) ne kya laqab diya? jab aap hamaray aaqa ko janna chahtay hain ke unn ka Alla maqam kya hai, Allah (AJ) ne farmaya—Khuluqal ‘azheem —’ nah sirf mein ne Unn (saws) ko taaqat ka taaj diya, mein ne Unn (saws) ko Quran Kareem ke asaraar diye, mein ne Unn (saws) ko sab cheezon se nawaza ‘. Lekin Allah (AJ) ke haqayiq ki mohar” Khuluqal ‘azheem ” hai. { Surah Qalam 68:4 – aur be shak aap to barray aala, Azeem ikhlaq ke maalik hain} .Ke Allah (AJ) ke liye jis ki Azmat aisi hai ke samjhi nahi ja sakti hai, makhlooq ki har shye jis ka hamein shaoor hai, uss se buland-o- baala hai, Allah (AJ) yeh” azeem” Nabi Kareem (saws) ki haqeeqat ko ataa kar ke farma tahay — yeh Azeem hain, tasawwur se barh ke aap (saws) ka ikhlaq Azeem hai. {Hadith Mubarka -Mere Rab ney mujhe husn adab sikhaya hai aur uss ney mujhe Ahsen tareeqay se sikhaya hai } Aur phir Nabi Kareem (saws) hamaray paas tashreef laaye aur farmaya :,’ mein sirf apke ikhlaq ko kaamil karne ke liye bheja gaya hon aur Allah (AJ) jis baat se razi hai, usakee khairaat dainay ke liye bheja gaya hon.’ Islam aik inaam nahi matlab aakhir maqsad nahi hai. .. lekin Nabi kareem (saws) deen leker aeye taakay apke ikhlaq ko kaamil kya jaye. aap ka ikhlaq anjaam aur nateeja tha. woh is liye tashreef nahi laaye ke farmaayen,’ yeh lau Islam ‘, ab tum yeh kehte phiro, mere paas Islam hai, mein ney aasman fatah kar liye, mein Allah (AJ) ka janati bandah hon. Lekin Nabi kareem (saws) ki Azmat jo ( inaam ) laa rahi hai woh aik deen hai jo aap ko hewan se Ridwan bana day ga, aap apni hewaniyat aur janwaron ki qoum/badshahat se azad ho jainge aur jannat ki Saltanat mein daakhil hon ge . Lehaza, islam aik zareya tha ke yeh hatmi maqsad nahi tha,’ oh mujhe Islam mil gaya, ab mein zameen ka sab se bara insaan hon ‘. nahi, ab aap ko islam mil gaya hai, ab aap ke paas mauqa hai kamaz kam bach ke rahen aur janwaron ki qoum se nikal jayen. Lehaza, is liye Nabi kareem (saws) naay hamaray liye bayan farmaya hai :’ mein bheja gaya. .. yeh sab deen, yeh tamam kitaaben, yeh saari taaqat, is liye hai ke aap ko hewan se nijaat day, –apne jungli aur hewani kirdaar chore den aur khud ko Ridwan banayen, woh jisay Allah (AJ) mohabbat karta hai aur uss ikhlaq ko mohabbat bhari nigah se dekhta hai. { Hadith Mubaraka – “Mein aala ikhlaq ki takmeel ke liye bheja gaya hon /mujhe aap ke ikhlaq ko kaamil karne ke liye bheja gaya hai” Sayedena Muhammad saws} lehaza, duniya mein tamam mraqbe, tamam tasaworati libaas,’ mein yeh hon, mein woh hon ‘, agar aap taaqat ke samandar (Bahraul Qudra) taq nahi poanch rahay aur yeh taaqat aap ko discipline ( nazam zabt ) deti hai aur apkee saari burii khwahisaat neechay latayen hai aur agar aap ka ikhlaq khobsorat tabiyat ka nahi hwa, aap usay ghalat kar rahay hain. Aap ko ghusse nahi hona chahiye, aap ko yeh saari bharas nahi honi chahiye, aap ki yeh saari burii aadaat nahi honi chahiye. Lehaza, hamara maqsad behtareen Aousaaf ( husn ikhlaq ) ka husool hai. Aap jahan bhi jayen aur jis terhan ki sorat e haal mein bhi woh aap ko rakhe– shaista ( aajiz ) rahen, achay rahen, suber karen, aur Alhamdulilah. Insha Allah , (AJ) hamein is haqeeqat se aaraasta farmaiye aur uski barket se nawaze .||
Q4: If we are trying to establish tafakkur and connection with the shaykh from a distance, should we check with him from time to time to make sure we are doing it right?
??????? ?????? ?????? ?????????: You can… from a distance everybody should be doing. The ones on… at a distance are giving very nice questions that show the people who are very close that they’re not doing as much. So, the good thing about these question and answers is because our local people are listening and saying, ‘Oh, I don’t experience this, I don’t experience that, I don’t feel this, I don’t feel that.’ Because those whom are near it’s like we said before: the ones whom are in Mecca they don’t do Hajj (pilgrimage), they take it for granted the relationship that they have. So, the distance and time is a barakah and a blessing to you for those whom are distant and participating, they’re donating, they’re giving, they’re supporting, they’re meditating, those are the ones with all these amazing questions, ‘I feel this, I feel that, I’m sensing all these things,’ soon as they sit for tafakkur they’re emailing they’re heating up, they’re feeling the presence and the nazar (gaze) and all of that is an immense blessing and all you have to check because the tafakkur instructions, email us – ‘I don’t know how to do tafakkur.’ We sent you the one letter that has the exact guidance on how to do it. All you have to check back is that, ‘I’m making the connection, I’m not listening to any of the imaginal things that are coming in my tafakkur. I’m asking only to reach to the ocean of power,’ and is everything still okay. Because it’s not about you go and, ‘I meditate and now I’m having all these imaginal things, I saw this, I saw that.’ Those, sort of divorce yourself from talking about those imaginal understandings because those can lead you in very dangerous directions. When they come just say, ‘I’m nothing, I’m nothing, I’m nothing, I just want to enter into the ocean of power.’ This ocean of power it’s proof if you be dressed by the ocean of power and you be dressed by the ocean of power.. we said two nights ago: what’s the proof of rijal (people of maturity) that been dressed by ocean of power? Khuluq (character), khuluq. Because our master, what is the title that Allah (AJ) gave? When you want to know our master how great his station is Allah (AJ) Said, ‘Khuluqal ‘azheem. Not I dressed him only by power. I gave him secrets of Qur’an, I did all of these things,’ but Allah’s (AJ) stamp of realities: “Khuluqal ‘azheem.”
وَإِنَّكَ لَعَلَىٰ خُلُقٍ عَظِيمٍ ﴿٤﴾68:4 –
“Wa innaka la’ala khuluqin ‘azheem.” (Surat Al-Qalam)
“Truly, You (O Muhammad!) are of a magnificent character.” (The Pen, 68:4)
That for Allah (AJ) whose ‘Azimat (Magnificence) is something that cannot be understood, above anything that we understand of creation, Allah’s (AJ) lending that “Azim” to the reality of Prophet (saws) Saying, ‘It’s immense, beyond imagination his character (saws).’ “Addabanee Rabbi fa ahsana ta’deeb.
أَدَّبَنِي رَبِّي فَأَحْسَنَ تَأْدِيبِي
“Addabanee Rabbi fa ahsana ta’deebee”
My Lord taught me good manners and He taught me in the most excellent way”
Prophet Sayedena Muhammad (pbuh)
And then Prophet (saws) came to us and said, ‘I’m only been sent to perfect your character and give the goodness of what Allah (AJ) is pleased with.’ Islam was not the… was not a… the prize in the sense as the end goal, but Prophet (saws) brought the deen (religion) to perfect your character – your character was the end and the result. He didn’t come say, ‘Here’s the Islam,’ now you go around saying: “I have Islam, I conquered the heavens, I’m the heavenly servant of Allah (AJ).” But the magnificence of what Prophet (saws) is bringing is a religion that will take you from your haywan (animal) to ridwan. You’ll lose your animal badness and the animal kingdom, and enter into the paradise kingdom. So, Islam was a means it wasn’t the end goal – ‘I just, oh I got Islam now I’m the greatest person on earth.’ No, now you’ve got Islam is now your chance to at least survive and leave the animal kingdom. So, that’s why then Prophet (saws) is describing for us: ‘I’ve been sent… all this religion, all these books, all this power is to take you from haywan – leave your wild and animal characteristic and make yourself to be ridwan – one whom Allah (AJ) Loves and Loves to Look at that character.
’إِنَّمَا بُعِثْتُ لِأُ تَمِّمَ مَكَارِمَ الْأَخْلاقِ
“Innama bu’istu le Utammima makarimal Akhlaq.”
“I was sent to perfect your manners.”
Prophet Sayedena Muhammad (pbuh)
So, all the meditation in the world, all the imaginal dress, ‘I’m this, I’m that,’ if you’re not reaching to the ocean of power and that power it disciplines you and pushes every bad desire down and that your character is not of a beatific nature, you’re doing it wrong. You shouldn’t have angers, you shouldn’t have all these explosions, you shouldn’t have all these bad characteristics. So, our goal is to have the best of characteristic. Wherever you go and every type of situation they put you – to be humble, to be good, to be patient, and alhamdulillah. InshaAllah Allah (AJ) dress us and bless us with that reality.
یہ بیان اس لنک پر دیکھا جا سکتا ہے
Watch this Bayan on YouTube
@ 10:11
مضامین کے اُردو ترجمہ پڑھنے کیلئے
Read Urdu Translations:
Nurmuhammad.com/category/urdu/
مولانا شیخ سید نور جان میر احمدی نقشبندی (ق) کا فیس بک پیج لائک کیجئے
Official Page: Shaykh Nurjan Mirahmadi
facebook.com/shaykhnurjanmirahmadi/
فاطمہ زہراء ہیلپنگ ہینڈ— یتیم بچوں کی کفالت ،صدقات وعطیات کیلئے
Fatima Zahra Helping Hand
fzhh.org
پہلا اوردوسرا سوال
Questions 1 and 2
تیسرا سوال
Question3:
https://www.facebook.com/SMCURDU/photos/a.130668968324252/606238254100652/